Adoption track ki story in purple colour
Place:- Dkp office
Senario
Sare writers baith ke script ready kar rahe hote Hain Ki tabhi vahan per Rajan Shahi a jaate Hain .
aur unmen se head of the creative ko Apne room mein bulate hain.
Conversation between head of the creative n rajan sahi.
Rajan sahi:- yeh mai kya sun raha hu?
Creative writer :- kya sir?
Rajan sahi :- tum log adoption track tik se handle nahi kar pa rahe ho?
Creative writer:- aise nahi hai sir.
Actually team change hone se confusion ho gaya hai.
Rajan Shahi :- I don't care !
Show n fan upset nahi chahiye.
Aur tum log kya dikha rahe ho yeh Sab!
Abhimanyu birla adopted hai aur neil ko adopted bataya gaya hai
What this rubbish!🤦🤷😡🤔
Dono mai age difference hai !
Aur abhi adopted hai toh harshvardhan birla ko kaise nahi pata?
Yeh kis type ki creativity hai?🤷🤷🤷🤷
Creative writer thinking in his mind.
Yeh toh hume hi pata hai jada research karne se track ki khichdi ban gai.
Rajan sahi :- answer fast.
Tabhi ek spotboy dada door knock karta hai.
Spot boy dada :- may i coming sir?
Rajan sahi :- come in!
Spot Boy dada :- sir, yeh adoption kand ! I mean track ka conclusion writer ki team ne head sir ko dene bola hai.
Woh yaha hai ishliye ish room mai Mai ah gaya.
Creative head:- tik hai file meko de doh main check karke final script actors ko de dunga😬
Tabhi Rajan Shahi ji bolate Hain ek minute ruko Jara mujhe bhi to pata chale aisa kya conclusion likha hai?
Rajan sahi ji spot boy Dada se file le lete hain aur apna chashma pahan kar file read karne lagte Hain .
Ki tabhi woh shocked ho jate hai.😳
https://tenor.com/view/joongcat-gif-24989606
Nalayakon! yah kya likha hai!!!!
Ish mai toh 90s ki itv ke adoption track ki stories Hai.
Aur yeh kya hai.
References ke liye tum pagalo ki team ne
Shaktiman
Amar ,akbaar , Anthony
Mahabharat
Superman
Blah blah blue blue
Aur yeh kya
Bahubali
Sab ki story mix kar di!
Abey nalayakon !
hum daily soap bana rahe hai ki supernatural show?
Abhimanyu human hai
Sach ka doc man nahi! ki
Shaktiman ki adoption ki katha us ke saath fit kar doge.🤷
Aur yeh kya hai
Amar akbaar Anthony?
Ish se kya reference milta Hai ?
Creative head :- sir , yeh final script nahi hai bas ek rough draft hai. Abhi tak kuch final nahi hua!
Rajan sahi :- kya!!!
Script final nahi hua !
toh kis bases pe precap mai stress de rahe ho.
Oh god! Tum log last minute manjari ka accident kand part 2 na bana doh isko.
Yaad hai na fans ki dhamki🤷
Phir sach main sab Birla Hospital mein pade milenge.
Set Ke Nahin asali ke.🤦🤷
Creative head:- sir, actually first team ki story achi thi but problem yeh hua .
Contract khatm hote hi half story unke saath hi chali gayi.
Ishliye hum sab confused ho gaye. 🥴
Tabhi ek writer chillate hue Rajan Sahi Ji ke room mein aata Hai.
Writer:- sorry sir ! Bina bole ah gaya.
But mere dimaag mai ek solid story ghum rahi hai adoption track ke uper.
Rajan sahi :- ha bas tumare reference ki hi Kami thi!
Anyways bolo kya story hai.🤷🥱🥱
Writer:- sir, kyu na hum aise kare ki Avni Rathore ko Harshvardhan Birla ki girl friend bana dete hai.
Jo abhimayu ki mom hogi
but shaddi se phele pregnant ho gai hogi .
Aur harshvardhan ko yeh baat pata nahi hogi
harshavardhan ke papa jabardasti harsh ka rishta manjari ke sath karwa dete hai.
kyu ki
unko hospital ke liye Ek acche plot ki jarurat hoti hai.
Aur woh zameen sirf manjari se shaddi karne per hi uske papa harshvardhan ko dege.
Yaha Avni Rathore ko misunderstanding ho jati hai ki Harsh ne usko dhoka diya
aur woh bina bataye apne pregnancy ka sach
woh waha se chali jati hai.
Yaha pe ek twist hai sir!
Avni Rathore Manjari ki best friend bhi Hoti Hai.
per use yah Nahin pata hota ki uski shaadi Harshvardhan Birla se Tay ho gai hai.
Kuch salo baad manjari Avni Rathore se milati hai.
Jaha manjari Avni Rathore se puchti hai ki vah Achanak kahan gayab ho gai thi?
TabHi Avni Rathore use batati hai ki kisi ne usko Dhokha diya tha.
Aur shaadi se pahle vah pregnant Ho gai thi.
Jab tak vah use Insan ko yeh Bata pati,
usne Kisi Aur se shaadi Kar Li thi.
badnami ke karan majburi mai usko apna beta seva Sadan anathalay mein Dena pada.
Baton hi baton mein ab Avni Rathore Harshvardhan Birla Ka Naam le leti Hai.
Yeh sun kar manjari shocked ho jati hai. Aur bina kuch bole waha se chali jati hai.
Manjari ko bahut guilty feel hota hai ki uske vajah Se uski dost ki zindagi kharab ho gai .
Aur uske dost ke bete ko Ek anath Ke Taraf jivan bitana ped raha hai.
Jo ki Harsh ji ka hi beta hai.
Kuch dino Baad manjari ko pata chalta hai woh pregnant hai.
Aur usi bich harsh n Manjari mein jhagada hota Hai jiske Karan Manjari kuchh salo ke liye Ghar chhodkar Chali jaati Hai.
Manjari ek bacche ko janm deti Hai.
Manjari kisi ke hatho neil ko usi anath aashram mein bhej deti Hai.
Jaha abhi hota hai.
Phir waha ja kar abhi ko adopted karti hai
Abhi aur neil ke date of birth mai Manjari ulat fair kar deti hai. Abhi neil se doh ka bara hota hai
But woh uska date of birth change karwa kar doh saal Kam certificate mein likhvati hai.
Jab abhi 8 saal ka ho jata hai (actually mai 10 saal)
Tab Harsh ko apni galti ka ehsas hota hai aur vah manjuriya aur apne bete ko Lene uske Ghar aata Hai.
Harshvardhan birla Apne bete Ko dekhkar bahut khush hota Hai.
Aur Manjari aur abhi ko Apne sath le jata hai.
Kuch sal beet jaate Hain.
Jaha manjari harsh ko ek bachha adopt karne ke liye bol ti hai.
Jis Karan Harsh aur Manjari mein bahut kaha Suni hoti hai.
Per fir Bhi Manjari Harsh ke faisle Ke khilaf jakar
Neel ko adopt kar leti Hai.
Neel ki age woh adoption paper mein change karva leti Hai Aur 2 sal kam batati hai.
Kyunki Neel aur abhi Ek age ke nahin hote.
(Neil abhi se doh saal chota hai )
Kisi ko shak na ho isliye vah yeh karti hai.
Rajan sahi ji story sun kar soh so jaate Hain.
Tabhi writer bolta hai.
https://tenor.com/view/sleeping-beauty-kiss-gif-19176127
Sar uthiye
Rajan sahi :- toh kya adoption track ka Rahasya solve hui? 🥱🥱🥱🥱
Dono writers Ek dusre ko dekhte hain ki tabhi phone call a jata hai aur Rajan sahi phone mein busy Ho jaate Hain.
Conversation end
Ps :-
guys yeh Ek imaginary story hai mujhe nahi pata actually mai story kya hai but according to me sayad aise kuch hi sakta hai.
Yaha ek kalpanik vartalap hai jo Manoranjan ke maksad se likha gaya hai .
yaha Kisi bhi roop Se Kisi bhi Charitra ko nicha dikhana Nahin Hai.
Padhne ke liye dhanyvad 😀🙏
4