Sab paa kar bhi lagta hai sab khoya hai
Uss se chah kar bhi lagta adhura hai
Jo Jaan nyochawar karti hai mujh par
Maine uss se aaj tak sirf kosa hai
Main sagi nahi hu uss ki
Usko har roz yaad dilaya hai
Maa ko khone ka ilzaam main uss par daala hai
Uss se uska pyaar cheena hai
Bura lagta hai ki jhooth par main Abhimanyu ke saath rishta jod Rahi hu
Par kabhi kisi ne na kaha nahi meri kisi zidd ko
Shayad isiliye galat raah par chal rahi hun
Par kya karu, aaj tak maine Akshara se sirf Cheena hai
Kisi ne Toka nahi toh Dena maine seekha hi nahi
Avval aane ki chah mein
Maine dukh ko sukh maan liya hai
Bewakoofi aur zidd mein maine apni
AbhiRa ko alag kar diya hai
Jo Prem karte hai maine unn ko bichoda hai
Par kya karun, kisi ne jodna sikhaya nahi toh bas issi raah par chalte jaana hai
Maa ke jaane ke baad
Akshu ne maa ban kar sambhala hai
Par papa ki daant suni nahi toh
Uske laad ko maine , halke mein liya hai
Jab usne pehli baar aawaz uthayi toh Darr laga tha
Par wo bholi hai
Jawab bas mujhe deti hai
Aur Abhiamanyu jo uss par jaan chidhakta hai
Uss se andhere mein rakhti hai
Aur main?
Main toh hun hi Aarohi
Aaj Tak jo maanga hai
Sab kuch paaya hai
Toh bas waqt aur halat ko apna maan kar
Uska faayda uthaya hai
Kisi ne daant lagayi nahi
Kabhi galti karne par samjhaya nahi
Shayad isiliye galat raah par hu
Par jo hun woh Kahan hi kisi ki smjh mein hu
Aur jiski smjh mein hu
Usne hi toh har galti par parda daala hai
No tomatoes on me. My best friend asked me to write on her and this is on the spot poetry... So please be little considerate of the Tomatoes... Mehange hai bhai wo bohot. Mere par waste na karein.
This is from Aarohi POV I guess...