Samaina ff : The Cursed Child (part : 2 on page 2) - Page 2

Created

Last reply

Replies

22

Views

2.6k

Users

9

Likes

39

Frequent Posters

Yudkbh thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 6 years ago
#11

Originally posted by: sadhikasamaina

it was too good

sbko imagine krna possible that
nanu and sameer will meet
I am sure sameer naam
shayd nanu hi de

Thanks, yess usko sameer naam kisne diya ye janna bi interesting hoga
Yudkbh thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 6 years ago
#12

Originally posted by: Albelipari

Lovely start

So sameer is born ..and in what difficult condition
Really looking forward to next part

Hahaha ha thoda imagination ka sahara le liya bcoz show mai to kuch bi nhi dikhaya
I hope jayada dramatic na laga ho
Yudkbh thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 6 years ago
#13

Originally posted by: Labhya

Beautiful introduction... 😃

Hey thanks yr...
I hope jayada filmy to nhi bana diya na maine uska birth 😆
Yudkbh thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 6 years ago
#14

Part : 2 The happiness

Sorry so sorry guys,
I know almost 10 days ho gye last update ko, but kya karu yar thoda busy tha aur demotivated bi,
Busy islie ki offifce mai kaam jyada tha aur demotivated is story pe mile response ko dekhke,
Ye bilkul waisa nhi tha jaise maine socha tha. 13 likes in 10 days 😆
But koi na jarur kuch kami hogi, so please koi kami ho to bata diya karo. Mai dil pe nhi lunga
Aur ab jyada lecture na dete hue sidha aate hai hamari story pe

Vishakha aur sanjeev ne us nanhi si jaan ko apne hantho mai le rakha tha, aur us samay wo ek bilkul hi naye anubhav ko mehsus kar rahe the.
Abhubav maa baap banne ka, kyunki ek vayakti yu to apni zindagi mai kai rishte nibhata hai.
Ek beta hona ka, ek bhai hone ka, ek husband hone ka, par sach puchiye to uska jeevan tab hi safal hota hai jab wo ek pita banta hai.

But this beautiful moment was disturb by the new member.

Kyunki wo golu molu sa bacha zor zor se rone lagta hai..

Sanjeev : are are kya hua mere raja beta ko, bas bas bas chup ho jao, kya hua aapko...

He tries his best to confort the littile bundle of joy. But the boy doesn't stop and keep crying...

Aur usko rota hua dekh sanjeev ke aankhe bi nam ho jati hai.

Sanjeev(worried) : vishakha dekho na ye chup hi nhi ho rha, kya hua hai isko kahi isko dard to nhi ho rha na, ya... Ya maine isko galt tarike se to nhi pakad rakha na.

Vishakah : sanjeev ji aap khamka tension le rhe hai. Bache to rote hi hai na ab wo hamari tarh bol to nhi skte na. Jarur isko bhukh lagi hogi, laiye isko mjhe dijiye.

Narrator : kehte hai ki maa ko apne bache ke bare mai sab kuch pata hota hai, ki kab unhe kya chahie, ya kab unhe bhuk lagti hai...
Par hmare nanhe shaitan ke bare mai hm aisa nhi keh sakte...

Vishakha : are ye to mjhse bi chup nhi ho rha, kya hua hai mere raja beta ko haan, bhuki bi nhi lagi hai aapko,
Sanjeev : kya kar rhi ho vishaka ye chup kyu nhi rha, roye hi ja rha hai, mjhse iska rona aur nhi dekha jayega.
Mai doctor ko bula ke lata hoo.

He goes to open the door But before that door opens and nanu comes into the room after listening his grandson crying..

Nanu : are vishakha kya hua, ye ro kyu raha hai itni der se.
Vishakha : dekhiye na papa, kab se ro raha hai shant hi nhi ho rha... Pata nhi kya hua hai isko.

Nanu : acha lao zara mjhe do mere pota, dekhu to kya chahie hmare rajkumar ko,

Fir nanu us bache ko apni godh mai le lete hai. Aur nanu ki god mai aate hi wo natkhat shant ho jata hai. Jaise usko na to bhook thi aur na hi koi takleef bas shayad wo apne nanu ka chehra dekhna chehta tha, wo us god mai aana chahta tha jaha kabhi uski maa thi, aur mano nanu ke hantho ki garmahat jaise us bache ko shant kar deti hai.

Vishakha : badmash !! Apne Nanu ke pass aate hi shant ho gya, aur yaha hm kitni der se ise chup karane ki koshish kar rhe the. Bhut dramebaaz hai ye.

And the small bundle of joy smiles on this, like vishakha is complimenting him

Nanu's vo : aaj bi us pal ko yaad karta hoo to aisa lagta hai jaise kal ki hi baat ho,
Mera sameer mere hantho mai tha. Aur mere hantho mai aate hi wo shant ho gya, jaise wo meri god ko apni maa ka anchal smjh rha ho.
Wo apne chote chote pair bar bar chala rha tha jo ki mere hantho ki hatheli pe aakar lag rhe the.
Use dekhte hi aisa laga ki mano mjhe sansar ki sari khushiya mil gyi ho, aur meri puri duniya us bache mai aakar simat gyi ho,
jaise... Jaise mano usne aakar is bhudde ki berang zindagi mai rang bhar diye ho.
Aur... Aur jab maine uske gaalo pe apni ungliya lagai to usne apni aankhe band kar li mano jaise wo mera sparsh () pehchanne ki koshish kar rha ho.
Aur uski wo aankhe,,,,, aaj tak maine itni pyari aankhe nhi dekhi.
Ek alag hi bholapan ek alag hi sachai thi uski aankho mai.
Use yuhi dekhte dekhte mai apni puri zindagi bita skta tha.
Aur jab vishakha ne use meri god se lene lagi to pata hai kya hua wo nanha shaitan fir se rone laga, hahaha

Aur usne jhat se meri ek ungli ko apne chote chote se hantho se kas ke pakd liya mano jaise mera sath uske lie sbse jaruri

Lekin Mjhe kaha pata tha uska yu meri ungli pakdna sirf ek ittefaq nhi balki ek ishara tha kyunki aage use na sirf meri ungli pakdkar chalna tha balki mjhe uska eklota sahara bi banana tha...

Vishakha : laiye papa, ise mai sula deti hoo.
Nanu : are uski jarurt nhi hai, tumhara beta pehle hi so gya hai. Meri god mai.

Vishakha : sach mai, mjhse jyada to ise aapke pass rehna acha lagta hai, jaise mai nhi aap ho iski mummy.
Nanu : are iske lie to mai duniya ke sare rishte nibhane ke lie taiyar hoo.

Rameshwar : bade saab gaadi lag gyi hai, aap mem saab aur chote baba ko leke aa jaiye.

Sanjeev : thik hai kaka, papa mai doctor se vishakha ke discharge ki baat karke aata hoo.
Nanu : are uski koi jarurat nhi hai, maine sari formalities puri kar di thi, Tu vishakha ko lekar aa, mai apne laadle ke sath aata hoo.
Sanjeev : ye galat baat hai papa, ye aate hi aapka laadla ban gya...
Nanu : buddu hai tu pura ka pura. Are ye mera laadla isilie hi to hai kyunki ye tere aur vishakha ke pyar ki nishani hai.

Everyone smiles and they share a group hug with the new member

After sometime :

Rameshwar : maalik hm phuch gaye.

Vishkaha : papa laiye isko mjhe de dijiye aap thak gye honge,
Nanu : vishakha tum nhi smjhogi, apne pote poti ko leke bi koi thakta hai kya, mai to ise sari zindagi apne seene se laga ke rkh skta hoo.
Vishkaha : thik hai aap laiye isko.

Sanjeev : aao vishakha, aaram se utro !!

They all move towards the gate, but before they knock it opens and a middle aged lady comes in a saree.

Vishakha : maa...
Nani : bahar hi ruk pehle teri nazar utarne de.
"Ab aa andar "

Nani : kaisy hai tu, koi takleef to nhi hui na. Ab sun le 1 mahine tak bed se hilegi nhi tu smjhi..

Vishakha : are bas bas maa aate hi itne sawal, aur ha mai bilkul thik hoo maa sanjeev ji aur papa jo the mere sath.
Nani : ha wo to mjhe pata hai, kitna pyar krta hai ye bhuddu tujhe
Sanjeev : kya maa, aap bi shuru ho gye, papa kam the kya jo aap bi mjhe bhuddu bulane lage
Nani : are tujhe to mai tere bache ke samne bi buddhu hi bulaungi.

Lekin bhagwan se dua krti hoo ki aisa bhuddu pati har aurat ko de

Nanu : are bhai koi hmse bi puch lo hm bi hai yaha

Nani comes towards nanu, but instead of talking to him, she takes the small boy in her hand. And kisses his forhead

Nani : bilkul damad ji pe gya hai. Whi nen naksha, whi baal...
Nanu(trying to initiate a convo) : are nhi ye to mjhpe gya hai.
Nani : aap to baat hi mat kijiye mjhse, abhi tak maine aapko maaf nhi kiya hai.
Sanjeev : kya papa aap logo fir ladne lage, is umar mai bi ladte ho aap bacho jaise.
Nanu : ohho dekho to gyan kon de rha hai.
Aur rahi baat ladai ki to beta ek baat yaad rakhna jo log ladte nhi wo log pyar karte nhi.
Vishakha : kya aap dono bi, aur aaj kya hua hai jispe lad rhe ho.
Nani : maine inse itna kaha ki mjhe bi le chalo aspatal par nhi inhe kya fark padta hai, mjh akeli jaan ko is ghar mai akela chod ke chal diye.

Nanu : are kamla tum janti to ho, ki us samay mousam kitna kharab tha, aise mai tumhe kaise le ja skta tha, mai khud badi mushkilo se pahucha tha aspataal.
Nani : ha bas baate banani aate hai apko.

Days passes with lot of happiness,
Because kehte hai jab aapke parivar mai kisi bache ka janam hota hai to khushiya dugni ho jati hai.
Wo muskurata hai to pura ghar muskurata hai.
Wo rota to sb chinhit ho jate.
Sanjeev roz office se jaldi aata taki uske sath samay bita sake.

And finally wo din bi aa jata hai jiska sabko besabri se intezar tha.
Us nanhi si jaan ka aaj naamkaran jo tha,
Yu to pura ghar use alag alag namo se bulata tha.

Papa ke liye wo unka laadla tha to
Mummy ke lie unka rajakumar
Nanu ke lie wo unka shehjada to
Nani ke lie unka baal gopal

Lekin itte sare naamo ke bich ab uska alsi naam kya hoga ye badi chinta ka vishya tha

Pandit : ji bache ki kundli ban gyi hai, aur rashi ke anusar iska naam s () shuru hoga. Aap sb logo ko jo naam uchit lage wo rakh skte hai.

And jaise hi sb ye sunte hai. Everyone giving their suggestions,

Vishakha : maine to soch liya hai mere bete ka naam hoga sanjay
Nanu : are ye bi koi naam hai, naam to aisa hona chahie jisme thodi wajan ho, jaise... jaise. Samraat
Nani : are are nhi bache ka naam to aisa hoga jise lene par bhagwan ka naam bi juban pe aaye jaise suryadev

Rameshwar : bhaiya hm bataye,
Nanu : ha ha bata tu bi bata.
Rameshwar : naam agar () s se hi rkhna hai to kyu na hm chote baba ka naam sabji rakhe

Everyone looks towards rameshwar angrily

Sanjeev : taki school mai sb mere bache ka mazak banaye, ki wo dekho sabji aa rha hai

Everyone laughs

Sanjeev : pandit ji aap bi kuch bataiye na,
Pandit ji : hm kya bataye jajman.
Nani : pandit ji mere pote ki kundli dekh ke bataiye na kaisa rahega iska bhavishya.
Pandit : ji maaji abhi batata hoo.

And the pandit starts to read the kundli of the child with full attention and predict his future.

Nanu : kya hua pandit ji, sab thik to haina,

Pandit : ji kuch bi thik nhi hai,
Everyone : kya

Pandit : ha thik nhi hai balki bahut acha hai.

Ye bacha aage bada hoke aap sab ka naam roshan karega,
Ye bacha swasth aur lambi aayu wala hoga.

Sabka laadla hoga ye sb ise pyar karenge.

Kisi bi apne ko akelepan ka ehsas nhi hone dega ye.

Ye jaha kahi hoga waha ke logo pe apna alag hi prabhav chodega,
Jis kisi se milega uski zindagi khushiyo se bhar dega,

Yu smjh lijiye ye jis kisi ke bi jeevan mai kadam rakhega uske sare dukho aur pareshaniyo ko apne sath baha le jayega.

Behti hawa sa hoga ye bacha, jaise wo jaha bi jati hai, apne piche ek sheetal ehsas chod jati hai usi prakar...

Pandit ji told all the possible future of the littile boy. And he was smiling all the time listening his future.

Pandit ji ne jis tarh se us bache ke bare mai bataya use sunkar har kisi ki zuban pe bas ek hi naam aaya...

" SAMEER" behti hawa ka jhoka jo sbki zindagi se dar aur dukho ke kaale baadlo ko uda dega aur Apne piche chod jayega ek ugta hua surj.
Jaisa uske paida hone pe hua tha...

Vishakha : to mere raja beta ka naam hoga sameer. Pasand aaya tumko haan acha laga na tumko tumhara naam.

And with that littile boy started laughing, like giving his consent to the name

Nanu : ha bada acha naam hai, sameer jaiprakash maheshwari sunne mai hi kitna acha lagta hai na,
Sanjeev : ha papa sahi kaha aapne, acha aap log baat kijiye mai zara pandit ji ko chodkar aata hoo.

Nanu : kamla kamla kamla aaj mai bhut khush hoo.
Nani : ha sahi kaha aapne aisa lag rha hai jaise bhagwan ne is sansar ki sari khushiya hmari jholi mai daal di ho.
Nanu : Mai sabko party dunga is shehar ke sare bade bade logo lo invite krunga. Ab bas bhagwan se yhi prarthna hai ki hmari in khushiyo ko kisi ki nazar na lage...

Outside the mansion

Sanjeev : kya hua pandit ji bade pareshan lag rhe hai, sab thik to hai na.
Pandit : dekhiye sanjeev ji, hmne saalo se aapke parivar ke sabhi karya kiye hain. Aur... Aur islie mai aapse kuch chupana nhi chahta.
Sanjeev : kya baat hai pandit ji, saaf saaf kahiye.
Pandit : dekhiye sb andar the islie mjhe bolna uchit nhi laga, parntu satya to ye hai ki, aapke bache ke bare mai jo bi maine adar kaha..wo...
Sanjeev : wo jhut tha !!!!

Pandit : nhi sanjeev ji, wo sb jo maine andar kha wo sach hi tha parntu...
Sanjeev : parntu kya ?? Pandit ji...
Pandit : parantu wo aadha sach tha...

Continue...

I really don't know guys what is wrong with this story.
Bcoz jis hisab se isko votes mile hai ek chiz to tay hai ki isme kuch na kuch kami to hai.
And jab tak aap batayenge nhi tab tak na mai apni us kami ko thik kar paunga aur na hi is story mai koi sudhar hoga.
So keep supporting keep advising

Bye bye
Have a nice day

Edited by Yudkbh - 6 years ago
AnjaanMishra thumbnail
7th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 6 years ago
#15
Bahut bhandhiya story hai ,
Mujhe toh bahot achi lag rhi hai , naamkran wala part superb tha ,


Pandit ji ka aadha sach , toh hum guess kar sakte hain thoda 😭



Aapki story Mai koi kami nhi hai , agar jinhe lagta hai , unhe comments Mai btana chaiye ,


Mai yanha koi fight nhi shuru krna chahta , but Maine notice Kiya hai

Yanha hindi stories Ko response nhi milta 😭


English Mai likho aur romance hona chahiye ,


Maine bhi try Kiya tha , par story complete hogyi par response nhi aaya.

Kam se kam criticism hi sahi , reply toh kro.

P.s - I don't have problems with anyone , maine sirf apna view diya hai , kisko bura Lage toh sorry
munchkinland thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 6 years ago
#16
Everything was so happy happy
lekin yeh pandit ji ne kya suspense rkh dia
can not wait
continue soon
Labhya thumbnail
7th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 6 years ago
#17
Your story is perfect...
Aap apne friends aur bnao usse bhi votes badhenge ...
Vo kehte h na kabhi kabhi der se cheeze aage badhti hai but badhti zaroor hai
Aap vo tortoise and frog ki story ko to jaante hi hoge...
Uska moral yaad hai na ki

Slow and steady wins the race...

You'll also win...
Hindi ko mana itni priority nahi dii h yaha but we all respect hindi from the bottom of our hearts...

Likhna mt chhodna aur haar mt Maannaa...
The story is amazzziiinnggg...

Keep writing
Keep smiling
Labhya

P.S:- ram dhaari ka suggestion mujhe best lga sbziii😆😆
sadhikasamaina thumbnail
6th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 6 years ago
#18
Yeh bhut acha thaa
sameer ke naam ke piche ki khani jankr mujhe bhut acha laga
Nanu uske liye bachpan se hi pyare hain
pandit ji ka raaz hoga next update main pardafash

mujhe koi bhi kmi nhi lagi isme
hoti toh pkaa btati
Labhya thumbnail
7th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 6 years ago
#19

Originally posted by: AnjaanMishra



Aapki story Mai koi kami nhi hai , agar jinhe lagta hai , unhe comments Mai btana chaiye ,

You're right mai bhi koi fight nahi kar rahi sirf apne views rakh rahi hu hope you don't mind
Mai yanha koi fight nhi shuru krna chahta , but Maine notice Kiya hai

Yanha hindi stories Ko response nhi milta 😭

I know ki aapka fight krne ka intention nahi h but I'll disagree with you...
Ha thoda english jyada use hota h yaha but mostly dialogues sbk hindi me hote hai...to ye kehna galat hai ki hindi stories ko koi response nahi milta...

Aap shayad bhul rahe hai ki samaina ek Indian show ko belong krte hai jiska naam bhi hindi me hai

YEH UN DINON KI BAAT HAI


English Mai likho aur romance hona chahiye ,

Ji nahi its your choice
ek writer k upr depend karta hai use konc language me likhna hai...
Kai saare log h yaha jo hindi me likhte hai aur unki stories ko acche response mile hai...
Ha scene describe krne k liye mostly log english prefer krte hai but iska ye mtlb nahi h ki hindi bilkul use nahi hotiii...
Hoti h hindi bhi use...
India ki official language h yaar hindi use to krenge hi...

Aur is forum pr hamare allmost sbhi states k log participate krte hai...
To isliye un sabka bhi dhyaan me rakh k English description hota h qki south and eastern states me hindi ki jgh english jyada boli jaati hai...

Sbka sochna padega right ?

Maine bhi try Kiya tha , par story complete hogyi par response nhi aaya.

Yaha aapki baat se mai fir sehmat nahi hu aapki story maine b padhi h mujhe bohot acchi lagi it was very nice and aapko story ka response bhi mila tha...

Ha epilogue thoda sa gadbad hua aur us baat ko aap bhi agree kroge...
Lekin tell me jb tk Try nahi kroge to fir aage kaise badhoge ????
Just because aapko response aapk according nahi mila aapne to likhna hi bnd kr diya ?

Not fair!!!!!
You should write ...

Aur rahi baat romance ki to yaar ye aapka nazariya hai please index pr jaao aur ek baar dekho aisi bohot saari stories one shots two shots hai jo romantic nahi hai...

Samaina is an example of love ...
And we all are samaina and YUDKBH fan...

Ham sirf romance nahi pdte hai...
We read everything related to them...
Friendship family 90s era
O BAiii hai ni hai ni by god bhagwan jhoot na bulaye
And most importantly love ...

To ye galat allegation mt lagaye please ki sirf romance ko preference milta hai... It is one of the things in the list ...

Kamse kam criticism hi sahi , reply toh kro.

Aap try kijiye naaa criticism hi nahi appreciation bhi milega

P.s - I don't have problems with anyone , maine sirf apna view diya hai , kisko bura Lage toh sorry

Sorry bolne ki zaroorat nahi hai views of every person matters...


I felt like clearing some of things
So my responses are in bold...

Also mai offend hoke ya bura maan kr reply nahi kr rahi hu...
Mujhe aapka reply genuine lga lekin jo cheez acchi nahi lagi uska baare me maine bola...

Mai khud ek LAALCHI READER hu aur trust me story pdhne m mujhe aur sabhi readers ko maza aata h fir chahe vo koi b language me kyu na ho

Keep smiling
Labhya😃

Edited by Labhya - 6 years ago
Labhya thumbnail
7th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 6 years ago
#20

Originally posted by: Yudkbh

Hey thanks yr...
I hope jayada filmy to nhi bana diya na maine uska birth 😆


Story aapki h to full Liberty h aapk paas jo Krna h kr sakte ho😃

Mazedaar tha by god 😆

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".