Sameer drove into the student parking space of their college and got out of his car. He opened the door for Naina . Naina looked around and slowly got out of Sameer's car.
Sameer put his arm around Naina 's shoulder and asked, 'Chale Madam?'
Naina jerked free of his hold which resulted in Sameer sulking.
Naina-'Pagal ho? Hum na sirf dost hai filhal.. Kisi ne aise dekh liya to? '
Sameer-' Accha matlab tumhe PDA se koi problem nahi hogi ekbar hum officially relationship mein as jaye?'
Naina blushed and said-'Tab to hak se sabke saamne tumhara haath pakadkar ghoomoongi . Accha sunona .. woh main.. mera matlab hai ki mujhe.. uff samajh nahi aa raha kaise kahoon'
Sameer-' Offo Naina bolona .. itna kya hesitate kar rahi ho? '
Naina closed her eyes and uttered in one breath-'Sameer mujhe tumse mere birthday ke khaatir ek tohfa chahiye'
Shocked would be an understatement. Sameer was surprised, happy, excited ,all at the same time. He remembered a day 8 months ago.
Flashback begins:
It had been a week of them having recollected their past birth, more specifically Naina, and they having become friends to begin with after much convincing from Sameer. Sameer had brought a box of imported chocolates as a gift for Naina.
Sameer- Naina, mujhse tumhe kuch dena hai .
And presented the box of chocolates.
Naina was astonished and stared at Sameer for a while then looked down.
Naina-Main tumse yeh gift nahi le sakti. Isliye nahi ki hum sirf dost hai abhi. Bas mujhe yeh sab expensive gifts wagera pasand nahi.. Aajkal ki life bohut fast hai.. kami hai to bas wakt ki.. stability ki..
Sameer, mujhe tumse bas ek hi tohfa chahiye, zindagi bhar ke liye tumhara saath aur tumhara pyaar. Please, samajhne ki koshish karo.
Sameer was upset but smiled to cover it up and gave in to her wishes.
Naina- accha ruko.. jab tum laaye hi ho to ek kaam kar sakte hai. Yeh chocolates hum share karke khayenge. Theek hai?
Sameer-Its okay Naina iski zaroorat nahi. Main dukan pe louta doonga.
Naina took away the box from his hands and looked up mischievously at him. She took out a chocolate and smeared it on his cheeks lightly and was about to feed him when Sameer held her hand firmly with a serious look on his face.
Naina got a bit afraid and looked down, thinking perhaps he hadn't liked her mischief, not knowing that Sameer was smirking at her. He ate the chocolate from her hands ,and before she could realise, repeated her mischief with her too..
Naina -'Sameer ke bacche tum' and they ran after each other laughing .
Though Naina had cheered him up but Sameer never gifted her anything after that nor had Naina asked for anything .
Flashback ends..
Sameer-'Naina bolona kya chahiye. Tum jo maangogi main poori koshish karoonga tumhari khwaish poori karne. Pata hai jab bhi main dekhta hoon boyfriends ko apni girlfriends ko gift karte hue.. mujhe lagta tha ki kyu hum normal couples ki tarah nahi hai. Mera matlab ki humlog relationship mein bhale hi na ho.. pyaar to karte hai na ek doosre se.'
Naina-'Haan hum doosri couples ki tarah nahi hai. Aur accha hai ki nahi hai. Hum har doosre din make-up break up bhi to nahi karte. Kyu? Tumhe yeh sab chahiye kya đ
Sameer-'hum masoom nirdosh dost hai. Aur dost breakup nahi karte' and ran his hand through his hairs with a swag.
Naina dreamily looked at him.
Sameer clicked his fingers in front of her to bring her back to senses.
Sameer-Ab batao Na kya chahiye tumhe.
Naina-woh na meri ek bucket list hai. Usmein se ek wish main chaahoon ki tum poora karo.
Sameer- Naina, ek kyu saare wishes poori karoonga. Poora list batao mujhe.
Naina-Shaadi ke baad.
Sameer glared at her with the 'Are you serious' look
Naina-'Haan.. but filhaal main chaahti hoon ki tum mere liye 2 gaana gaao, guitar ke saath aur unmein se ek gaana duet ho.. mujhe tumhare saath gaana hai. Mere birthday ke din.
I know tum music ki pooja karte ho.. and aise casual baat ka shayad tumhe bura lage. Main tumhare jaisa to nahi gaa sakti.. pad mera sapna tha ki jo mera jeevan Saathi hoga uske saath aise baithkr guitar sang gaana gaoongi.
I promise main apna best try karoongi kyunki mujhe pata hai tumhe besure sangeet se kitni nafrat hai. Pad woh..
Sameer held Naina's shoulders lightly and said -
'Tum sahi keh rahi ho. Sangeet mere liye pooja hai.. besure gaane se sakt nafrat hai mujhe. Pad tum to meri zindagi ho. Tum woh ho jisne meri boli ko sur diya, jisne meri feenki si zindagi mein rang bhara.
Tum jaisa bhi gao, mujhe fark nahi padega.. balki accha lagega kyunki pehli baar tumhe gaate hue sunoonga. Aur yeh bhi ki tumhare saath wakt guzaarne ko milega.
Naina- Pad zyada bura gaoon to daantoge to nahi na? Maine tumhare gusse ko dekha hai ..
Sameer- Tumne pehli baar mujhse kuch maanga hai Naina. Main tumhe kaise daant sakta hoon? And yeh wish tumhari main zaroor poora karoonga.. I promise. Pad ek baat batao, tumne specifically birthday ke liye hi kyu manga.. aise bhi to keh sakti ho? Main to tumhare saamne kitni baar gaa chuka hoon?
Naina- Woh kabhi himmat nahi juta paayi.
Sameer- Toh madam mujhe bhi tumse kuch chahiye badle mein. Aise free mein Sameer koi kaam nahi karta. Pakka business minded hoon.
Naina- Batao kya chahiye.
Sameer- To suno, wada karo ki aajke baad bejijhak jo chahiye woh kahogi mujhse, maangogi mujhse, tumhara hak hai Naina. Yeh hak to Naina bade asaani se jataati thi. Paakhi ji, aap bhi seekh jao.
Naina- Theek hai Sandeep ji.
To be continued..
______________________________________________
Thank You everyone for the likes and the comments. Do leave feedback đ