Vishakha ki baat kare to.. Vishakha naina ko like nahi karti. Uski najar se dekhe to, Naina ko us par jabardasti thopa ja raha hai. To use koi phark nahi padta, naina ke Adhikar or Samman say. Kyoki wo uske dil me kahi bhi nahi hai.
Par jab vishakha naina ko dil se accept kar legi. tab use phark padne lagega, naina ke insult se.
-------
Dusra usne ab tak ye hi dekha hai, ki husband Chahe Puri Duniya Se, wife ko protect kare. Lekin Jab Patni Aur parivaar main se Kisi ek ko chunne ki baat aaye to akasar husband apne parivaar ko hi chunte hai. Chahe galti kisi ki bhi ho. Aur patni se ye hi hope ki jati hai, Ki ye sab chup chap sahe. Aur apne pati ko kuchh na kahe.
Jisa humesha vivek ne bhi apni ma ki galti par bhi humesha vishakha ko chup rahne aur sahne ke liye kaha hai.
Jab vishakha ko dadi ke baare me pata chala tha, ki sameer ko pareshan karne ke liye wo kisi bhi had tak ja rahi hai. Tab bhi vishakha ne ghar me shanti banaye rakhne ke liye na kuchh kiya, na vivek ko bataya. Chahe sameer ko kitne hi dard kyo na sahna pada ho. Par Vishakha ne kuchh nahi kiya.
Wahi hope wo naina aur sameer se karti hai.
Lakin naina ne sameer ko sab bata diya, sameer ne bhi is rule se alag jakar naina ko protect kiya.
Jise vishakha nhi sah saki.
Ek baat samjh nahi aati, ki ladki se ye kyo expect kiya jata hai, ki wo chup chap sab sahe. Aur sasural me to apni aur apni family ki self respect ko Kahi Chhod Kar aaye. Jise dekho wo uski aur uski family ki insult kar deta hai. hope karta hai, ki koi bhi palat kar kuchh na kahe. Agar kisi ne kuchh kah diya. To wo unki insult kar raha hai. Apni samman ki itni phikar hai. To Be wajah, bina kisi galti ke kisi ko galat kahna band karo. Agar kaho to sunne ki bhi himmat rakho.
------
Vishakha ne ye bhi kaha, ki naina ke ghar me humare baare me kitni galat baate hoti hongi. par naina ne kabhi bataya. Jo ye baat bata di.
Sahi hai naina ne nahi bataya. Par sameer ne bhi to apne ghar me ho rahi, naina aur uske parivaar ke baare jo bhi wrong baate hoti hai. wo bhi nahi batai.
Aisi baate aksar life partner apne life patner se chhupa jate hai. Kyoki we chhupi hui hai, samne nahi aati.
Aur har kisi ko hak hai. apne ghar me kuchh bhi kahne ka. Apne maan ki baate kahne ka. Apni bhadas nikalne ka. Par tab tak jab tak uska koi negative effect nahi padta. Par jab we samne se attack karne lage tab life patner ko janne ka pura hak hai. Aur un wrong baato rokne ka bhi. Warna we baate Badhkar kab badi ho jayengi, pata bhi nahi chalega. Chup rahne par hi, Gharelu hinsa ke karan aise hi bante hai. Wo galat vyavahar chahe ladki kare ya phir parivaar wale. Chup nahi rahna chahiye. Use rokna chahiye.
Mujhe lagta hai, ki kisi ko bhi hak nahi, kisi ki insult karne ka. Agar kuchh wrong lagta hai. To uske baare me kaho. Be wahjah kisi ko kuch nahi kahna chahiye.
Ye sahi hai ki apne ghar me apne maan ki bhadas nikalte hai sab. Aur hak bhi hai kuchh bahi kahne ka.
Par tab tak jab tak, uska koi bhi wrong effect na pad raha ho. Ye baate apne ghar tak hi thik hai. Par jab we baate samne aati hai aur wrong effect dalti hai. Tab aapko maaf nahi kiya ja sakta. Tab aapko face to karna pdega na.
-------
Ab rahi naina aur sameer ki baat. To we ek beautiful rishta share karte hai. Jo shayad hi koi karta ho. har life partner ko aisa hi hona chahiye. We ek dusre se har baat share karte hai. Chhupate bai hai, par we baate jo ya to unhe pareshan me daal sakti hai. Jise we khud handle kar sakte hai. Ya Jiska unpar koi wrong effect nahi pad raha ho. Par batne par pad sakta ho.
Naina nahi batane wali thi. Par wo Pareshan thi. Jo sameer se nahi chhupa. Aur usne usse force kar ke jaan liya. Naina ne mana kiya kuchh bhi kahne ki liye. Sameer ne kuchh kaha bhi nahi. Par vishakha aur mami ne ek ring ke liye jo baate sunai wo to galat thi. Tab gusse me aakar usne wo sab kah diya.
---------
Rahi baat sameer ke sandwich banne ki, to har ladke ke samne ye sitution aati hai. Kuchh sidha rasta chun lete hai. Ya to humesha apne parivaar ke saath ho jate hai, ya puri tarah se wife ke saath ho jate hai. Galti chahe kisi ki bhi ho.
Par ye wrong hai. Use kisi ka saath nahi chhodna chahiye. Dono hi uske apne hai. Dono ke adhikar, samman mayane rakhte hai. Use humesha sahi baat ke saath hona chahiye. Jo side wrong hai. Usse pyaar ke saath samjhana chiye. Bina dil dukhye. Ha.. ye mushkil hai. Jo sirf tabhi ho sakta hai. Jab dono taraph se rishte majbaat ho. Ek achchhi undarstanding ho. Aur friendly bhi ho.
Naina sameer ke mamle me jab naina kahi galat hogi tab sameer usse aasani se samjha payega aur sambhal bhi payega. Unke beech ke bond ke karan. Par jab mahshwari aur somani ki baat hogi tab sameer use nahi sambhal payega. Kyoki wo unke saath aisa bond share nahi karta. We sameer ki side ko nahi samjh payenge. Jisa ki kal vishakha ne kiya.
Ye soch liya, ki Naina ne ye sab Sameer ko bata diya aur sameer ne hume sunaya. Par apni galti nahi maani, ki hume aisa nahi kahna chahiye tha.
Edited by Bhawna7 - 6 years ago