Posted:
Hi.. friends
Sameer ka na dimaag kharab ho gya hai. Kuchh bhi soch raha hai. Wo naina ko era - gera bata raha hai. Pyaar ki garmahat kam ho rahi thi. Use ignore kar raha hai. Mummy ki kahi baat yaad kar raha hai. Aur na jane kya kya. Baaki Aage ke episode se pata chalega ki wo aur kya kya soch raha hai.
-------
Naina kahi bhi galat nahi hai. Use to pata bhi nahi tha ki eisa hoga. Ya to kartik ne ye janbujh ke kiya hai. Ya Last moment per jo script change hui thi, usme ye hug wala scene add kiya gya tha. Jise sirf kartik ko bataya gya. Jab kartik ne script padi thi, tab uske chahre par
shaitani chamak thi. Par jo bhi ho naina ko bina bataye
achank se hug kar liya gya. Naina achank hue hamle
ki tarah, kuchh samjh nahi pai. Wo stage par thi. Wo
nahi samjh pai, ki wo kya kare.
Agar koi galat hai to kartik aur punawala. Agar kartik ne ye jaanbujh ke kiya hai, to punawala ne kyo kuchh nhi kaha. Naina, sameer kisi ne bhi un dono ke against kuchh bhi nahi kaha, na hi kiya hai abhi tak.
--------
Par kya kare ye track itna aage pichhe kiya hua hai. Ki pata nahi chal raha hai. Konse scene pahla hona tha konsa baad me. Bahut kuchh missing hai es track me aur mess up bhi. Shoot bhi to aage pichhe hua hai. Es track ka. Esliye CVS gadbada gye hai. editing karte hue. Ya wo hum fans bhatka rahe hai. Compitition ke turant baad chhutiya ho gaye. Taiji ko pichhe laga diya naina ke. Taki naina sameer mil na paye. Aur unki misunderstanding bani rahe. Aur gahri hoti rahe.
---------
Sameer ko dekh kar to yahi lag raha, ki sameer ko lagta hai ki ye sab naina ne janbujh kar kiya hai. Aur usne drama compitition jitne ke liye hug karne ki, haath pakdne ki permission de di.
Ya use lag raha hai ki naina ko koi pharak nhi padta ki kartik ne uska haath pakda aur usse hug kiya, use to bas compitition jitna tha.
Use baar baar apni mummy ki baat yaad aa rahi hai. Naina dimaag se sochti hai dil se nahi. Pyaar ki garmahat kam ho rahi thi. ka kya matalb...
Kal koi aa kar naina par kuchh galat iljam laga dega, to wo to naina par blame laga kar naina ko chhod dega. Wo apna pyaar naina ke liye khatam kar dega. Kya Use naina par vishvash nahi hai.
Sameer ko dukh hua, bahut dukh hua hai. Uska dil tuta hai. Per naina per blame dena, wo bhi puri baat jane bina. Ye to galat hai. Sab se badi baat usne es baat per yakin kaise kar liya, ki naina es baat ki permission di sakti hai. Ya usse koi phark nhi padta. Use to ye bhi ahsaas nhi hai. Naina par kya beet rahi hogi us waqt.
Aur naina wo to bhul gai, ki uske saath kya hua. Use to bas phikar hai to bas sameer ki. Sameer ko kitna dard ho raha hoga. Wo usse naraj to nhi.
---------
Khud jo bhi kare wo sahi hai. Khud ne bet lagai, delhi me bad boys ke saath dosti karke na jane kya kya kiya. Wo sab naina ko bataya bhi nahi. Phir sunaina ke haath pakad kar chalna. Bike ride. Sunaina ka sameer ke shoulder per haath. Sunaina ko apne haath se samosa khilana (kamiya ki kahi baat ke anusaar). Naina ki burai karna sunaina se. Na jane kitni ladkiya use kuchh bhi kah jati hai. flying kiss deti hai. Sameer un ladkiyo ko rokne ke bajaye muskura deta hai. Naina ne to kuchh nahi kaha sameer ko.
---------
Ye ladke na kuchh bhi kare wo sahi hai. Unhe pata hai. Unki gf/wife (Family, society) unhe jhat se maaf kar dengi. Detail me Kuchh puchhengi bhi nahi. Hum chahe jo bhi kar le. Esliye we jo bhi karte hai bina dare karte hai. Yaha tak ki kuchh to apna Character bhi gira dete hai. Bewafai bhi kar dete hai apni gf/wife se. Aur galat kar ke bhi apni gf/wife (Family, society) ke aage eise behave karte hai jise kuchh hua hi nahi tha.
Aur ladkiya bechari. Unke paas se koi ladka bhi nikal jaye. To unhe ye dar lagne lagta ki koi unhe galat na samjhne lag jaye. Aur koi unhe kuchh kah de to unhe apni Innocent sabit karni pdati hai.
---------
Ab ye hi dekh lo galti kartik, punawala ne ki, blame naina par aa gya.
Naina ko kartik ko maaf nahi karna chahiye tha jab usne naina aur sameer ko badnam karne ki koshish ki thi. Kartik 1 week ke rusticate na karwa kar, use college se hi niklwana chahiye tha. Naina ne use kya soch kar maaf kiya. Kartik to apne plan me kamyab ho hi gya tha. Wo to naina ki kismat achchhi thi, jo wo baach gayi. Warna naina ka kya hua hota wo kahne ki jarurt nahi hai mujhe. Sab jante hai.
------
Aur Ye kya hai. galti koi kare aur uska badla usse judi ladies se lo.
Sameer ne rakhi bandhwai. Bhugtna naina ko pada.