"Taay kar liya maine apne hisse ka fasla
Ab milne ko kuch kadam tu bhi badha ke dekh...
Faasle bhi ajeeb cheez hain.. Kabhi dooriyon ka ehsaas iss kadar karwa dete hain ki bass saha nahi jaata... insaan bass haar jata hai inn faaslon se. Par inn faaslon ka ek aur pehelu bhi hain;
yeh faasle aapno ki kadar karwa detein hain.
hum inn faaslon ko mitane ki koshish karte rehetein hai.
Jaise ki hum ek jang ladh rahein...
"Naa jaane kitni baatein
Apni jaa bhi hawa mein bhikhri hui hain
Halki si baarish hoti hai
Aur har zarre mein wahi goonj jaati hain......
Humari baatein---- baaton ke anek zariyein hote hain
Aur humne toh kayi zariyein apnaye. Baatein sirf jubaan see nahi ki jaati hain; baatein to aankhon se ki jaati hain... baatein to andaaj se ki jaati hain.
Baatein aur Baarish ek deadly combination hain.
Baarish mein ki gayi baatein itihaas bana deti hain...
Aur jabhhi hum baarish mein bheeg rahe hote hain tab tab wohhh baatein yaad aati hain...
Aaj ke liye bass itna hii...izzajat dijiye.