Mujhse alag ho jao, lekin apne dil se meri yaadein kabhi alag mat hone denaHumare pyaar mein kabhi judaai na aaye, do din bas yahi dua karna
Kuchh aisa hi kaha tha Sameer ne jab woh Naina se aakhri baar mila tha. Lekin usse kaha pata tha ki pyaar ka doosra naam hi judaai hai. Kitabon mein sahi kaha gaya hai dooriyon se pyaar khatam nahi hota, balki pyaar aur gehra ho jaata hai. Aaj jab woh Naina se milo door hai, tabhi toh woh uss tadap ko samajh pa raha hai. Uss se raabta karne ki tadap, uski awaaz bas ek baar sunn ne ki tadap, usse bas ek baar dekhne ki, usse mehsoos karne ki tadap. Jitne zyada din woh Naina se door hai utna uska yakeen pakka hota ja raha hai ki uske pyaar mein milo ki dooriyan toh aa sakti hai, par dilo mein dooriyan kabhi nahi aa sakti. Usse yakeen hai ki Naina bhi uske liye utni hi bechain aur udaas hai jitna woh uske liye hai. Naina ko bhi Sameer ki tasveer dekhe bina chain nahi pad raha. Sameer na sahi, aakhir uski tasveer se toh apna mann bhar paaye, yahi soch ke toh woh roz uss tasveer ko apne seene se laga ke uske aane ki raah dekhti hai.
Aur ab jaake, Sameer na sahi, lekin kam se kam uska khat toh aaya. Naina ne maano itne dino ke kaale baadlon ke baad jaise aaj khula aasmaan dekh liya ho. Suraj ki roshni ki tarah Sameer ka khat Naina ki zindagi mein bhi roshni le aaya. Mohabbat mein shayad yahi taakat hoti hai. Sanam ka likha chhotasa khat jeene ki wajah ban jaata hai. Uske pyaar bhare do kalaam padhke insaan ka dil khushi se jhoom uthta hai.
Jab milo ki dooriyan hoti hai, tab har insaan ko ek darr humesha sataata hai, chahe phir woh pyaar karnewala aaj ke zamane ka ho ya beete zamane ka. Darr iss baat ki naye log, nayi duniya aur naye shehar ki bheed mein kahin woh mujhe aur meri mohabbat ko bhul toh nahi jayega? Sameer aur Naina bhi koi alag nahi. Aaj jab Naina Sameer ka khat padhke jhoom rahi thi, tab uske chehre par sirf khat milne ki khushi nahi thi. Uske chehre par ek itminaan tha, iss baat ka itminaan ki uss naye shehar ki bheed--bhaad mein bhi mera Sameer mujhe aur mere pyaar ko yaad karta hai. Usne apne pyaar ka izhaar iss khat mein bhi kiya hai, matlab uske dil mein abhi bhi main hi kirayedaar hoon. Woh mere bina nayi school jaana pasand nahi karta, matlab woh duniya mein jahaan bhi jaaye, mujhe apne saath apne paas chahta hai.
Khair Sameer toh shayar hai, so usne toh woh shayari kitne khoobsurati se keh di. Naina koi shayar nahi, lekin Naina ke dil ka haal shayad iss sher mein bakhoobi bayaan ho jaaye:
Jazbon ki sadaaqat ka bharam toot na jaaye
Main tujhse bahot door hoon, milne ki dua kar
Let the belief of sincerity of emotions never break
I'm far away from you, pray we meet soon
Jab do log pyaar mein hote hai, woh humesha iss meethe se bharam mein hote hai ki unke ek doosre ke liye jazbaat sachhe hai. Unke jazbaat sadaaqat (sincerity) bhare hai. Lekin milo ki dooriyaan dilo mein darr paida karti hai iss bharam ke toot jaane ka. Tabhi toh do dil judaai mein dua karte hai ek doosre se mulaqat ki, ek doosre ko ek nazar dekhne ki, ek doosre ko mehsoos karne ki, taaki yeh bharam aur yeh yakeen bana rahe kuchh aur samay tak. Aaj Sameer ke uss pyaar bhare khat ne bhi Naina ke bharam aur yakeen ko kuchh isi tarah pakka kiya hai. Aur ab dono bas ek doosre se jald milne ki dua kar rahe hai.
PS: Philophical long (and may be boring) post. Aaj ka episode dekh ke bahot dino baad mann hua kuchh achha likhne ka. Hope you liked it! If not bring on the ande, tamatar, pyaaz, I will cook something. 😆
Edited by KashafZaroon30 - 7 years ago