So now that we all know that Samaina separation is on its way...may it be through any track... but yes...we will have to face the anguish of their separation... so that we can get some amazing Samaina scenes in their college😃...hopefully. But we don't know whether they would be able to meet each other before going away from each other... 😕So the only song that comes to my mind for this situation is this one from the movie...Veer Zara. I have tried to relate the lyrics to our favourite Samaina...hope you all like it...I'm doing this in Hindi...hope all of you are ok with this.😊
Do Pal Ruka Khwabon Ka Karvan
Aur Phir Chal Diyeh Tum Kahan Hum Kahaan
Do Pal Ki Thi Yeh Dilon Ki Daastaan
Aur Phir Chal Diyeh Tum Kahaan Hum Kahaan
Abhi abhi to in dono ne ek saath zindagi guzarne ke sapne dekhna shuru kiya tha... abhi kuchh hi din huye jo inhone apne dil ki baat ko zubaan par laakar ek doosre se apne pyar ka izhaar kiya tha... abhi kuchh hi din pehle in dono ke pyar ki shuruaat hui thi... Aur bas do hi palon mein in dono ki raahein juda ho gayi... Pata nahi jaane se pehle yeh ek doosre ko dekh bhi paye ya nahi... jaane yeh fir kab milenge...jab milenge...agar mile to... Wo waqt...wo lamha kaisa hoga... Kaun jaane...?
Tum The Ke Thi Koi Ujli Kiran
Tum The Yaa Koi Kali Muskayi Thi
Naina Sameer ke jeevan mein ek ujli kiran banke aayi jisne use uske akelepan ke andhere se pyar ki roshni mein laakar khada kar diya tha... Wo jab bhi muskurati thi... Use aisa lagta tha jaise saara jahaan muskura raha ho...uski us muskurahat ke liye hi to usne itni mehnat kit hi...ab us muskurahat ka kya hoga...?
Tum The Yaa Sapnon Kaa Thaa Saavan
Tum The Ke Khushiyon Ki Ghataa Chaayehe Thi
Sameer ke aane ke baad Naina ne wo sapne dekhe jo uski aankhon se bahut door rehte the...jinke liye uske jeevan mein koi jagah nahi thi...uske pyar ne ise pyar ki bearish mein bhiga diya tha... usne baarish ki boondon ke ehsaas ko samajhna shuru kar diya tha...par ab wohi baarish use uske na hone ka ehsaas dilayengi...baarish ki boondon mein wo apne aansu chhupane ki koshish karegi...par kya chhupa payegi...?
Tum The Ke Thaa Koi Phool Khilaa
Tum The Yaa Milaa Thaa Mujhe Nayaa Jahaan
Dono ka jahan badal gaya tha...pyar ka phool unke dilon mein khila...lekin ab judai ke kaaton bhari raah se guzarna padega... kya inka pyar waqt ke imtehaan ko paar kar payega... ?
Do Pal Rukaa Khwabon Kaa Kaarvaan
Aur Phir Chal Diyeh Tum Kahaan Hum Kahaan
Do Pal Ki Thi Yeh Dilon Ki Daastaan
Aur Phir Chal Diye Tum Kahaan Hum Kahaan
Kuchh hi palon ke saath ke baad jab wo alag ho jayenge...kya unke dilon ki dastaan adhoori reh jayegi... Kya yeh dono yeh dard seh payenge... kya hoga inke un sapnon ka...jo inhone ek saath dekhe the...?
Tum The Yaa Khushboo Hawaon Mein Thi
Tum The Yaa Rang Saari Dishaaon Mein The
Sameer ke hone se Naina ko hawaon mein khushboo mehsoos hoti thi...har taraf khushali thi... rangon ki khubsoorti kya hoti hai...usne uske pyar mein hi jaana...khoobsurat lagna...usne sirf uske liye hi seekha... kahani likhna aata hai...par unhe sunane ki ichha sirf uske saamne thi...par kya ab koi hai jo uske saath baithkar uski kahani sunega...ya wo kabhi fir kahani likh payegi...?
Tum The Yaa Roshni Raahon Mein Thi
Tum The Yaa Geet Goonje Fizaaon Mein The
Naina uske jeevan ki wo roshni thi jisne use nayi raah dikhayi... Jispe chalkar Sameer ne kitne logon ke dil jeete... usne ise bilkul badal diya...wo ek naya Sameer ban gaya...jo doosron ke sapne poora karta hai...unhe todta nahi... jo apne dil ke jazbaat kavitaon ke zariye Naina tak pahuncha deta tha... jab wo uske saath nahi hogi tab kya yeh fir koi kavita likh payega ...?
Tum The Mile Yaa Mili Thi Manzilein
Tum The Ke Thaa Jaadoo Bharaa Koi Samaa
Inke pyar ki manzil abhi bahut door hai...par inke masoom dilon ne ise hi apni manzil samajh liya...inhe kahan pata tha ki zindagi bahut imtehaan leti hai...jise paar karke hi apni manzil payi jaa sakti hai... Aur inki judaai uska pehla kadam hai... aage bahut se imtehaan baaki hain... kya inka pyar in imtehaanon se guzar kar aur mazboot ho payega...?
Do Pal Rukaa Khwabon Kaa Kaarvaan
Aur Phir Chal Diyeh Tum Kahaan Hum Kahaan
Do Pal Ki Thi Yeh Dilon Ki Daastaan
Aur Phir Chal Diyeh Tum Kahaan Hum Kahaan
Do palon ki khushiyon ke baad inke raaste alag hone ja rahe hain... kya hum sab inke dard se alag reh payenge? Kya hum sab bhi inke saath aansu nahi bahayenge...?😕
I hope you like it...i know its a bit sad and emotional post...but pardon me for this... i just had this song in my mind which related with their situation...so i made this post😊