This written update is from the 22nd Nov video update by pele45… but it looks like the US update cos I remember reading updates about these scenes… anyways… it's a nice episode… so wrote the whole episode in dialogue format… enjoy reading….
Note: if you dont understand much of hindi, an english update is available on the same page below....
Pari – Main jaanti hoon aap sab bahut hairan hain… main jaanti hoon aap yeh soch rahe hain ki yeh vrat sirf ek suhaagan hi rakh sakti hain… main yeh vrat kaise rakh rahi hoon? duniyan ki nazar main sowmya nahin hain lekin mere yaadon main woh aaj bhi zinda hain… aap sab aapke pati ki lambi umr ke liye yeh vrat rakh rahe hain… main bhi apne pati ki yaadon ki lambi umr ke liye vrath rakh rahi hoon… yeh jo aap sapedh saadi dekh rahe hain naa… yeh mere liye koi laal rang ki saadi se kam nahin hain…
Everyone is shocked to hear this… kyon ki isme mere… mere sowmya ka pyaar hain..
Mere sowmya aaj bhi mere saanson main mere dil main mere dhadkan main aaj bhi zindaa hain… maine yeh vrath apni pari ki yaadon ki lambhi umr ke liye rakhkha hain….
Woh apne haath zodke poochti hain sabse ki kya aap log mujhe izaazat denge ki main aap logon ke saath yeh pooja kar sakoon?
Kamya has tears in her eyes… the camera zooms on everybody's face and then in between kamya and Pari…. Kamya walks towards Pari and hugs her….
Kamya - Izaazat hain… main deti hoon tumhe yeh izaazat… abhay, taujee and sameer are all happy and taijee and chameli are also crying…. Shukriya Pari… bahut bahut shukriya…. Apne pati ke jeete jee toh har aurat yeh vrat karti hain… lekin tum… mere sowmya ki yaadon ke liye yeh vrat…. Yeh vrat sirf tum hi kar sakti ho… sirf tum kar sakti ho Pari and then she remembers sowmya falling down from the cliff and his death scene and all… and she lets go off Pari… she walks off from there and goes and sits inside on the couch… abhay joins her…. Pari wipes away the tears from her face…
Abhay – kamya tum iss tarah…
Kamya- mujhe yakeen hi nahin ho rahaa… mujhe yakeen hi nahin ho rahaa ki maine Pari ko gale lagaa liya…
Abhay – kamya tumhaara dil iss baat ko maanne ke liye tayyar nahin ki Pari tumhaare dukh ki wajah nahin hain… who doshi nahin hain…. Nirdosh hain…. Tum kyon apne dil main Pari ke liye itni kadwaahat itni naphrath bhare baiti ho? Agar tumhaare dil main Pari ke liye bhaavnaaye hain pyaar hain … toh unhe apne zabaan pe le aao kamya… kyon tum donon ke beech phaasle badaa rahe ho?
Kamya-kyon ki who mere sowmya ki patni hain… harr woh cheez jo mere sowmya se judi hain… jisne mere sowmya ko mujhse door kar diya hain… mujhe bahut dukh de jaati hain… mujhe uski yaad dilaati hain… aur aaj main apne bete ki yaad main behki chali gayi… main pari ki taraf behki chali gayi… lekin jab uska chehra mere saamne aa gaya toh mujhe phir se sab kuch yaad aa gaya… yaad aa gaya ki usee ki wajah se mera beta iss duniya se chala gaya… abhay yeh dil kabhi kabhi itna bebas itna bekaaboo kaise ho jaata hain? Kabhi dimag pe dil haavi ho jaata hain kabhi dil dimag par… isee kashmakash main jeeti rehti hoon main…. Lekin… lekin tum itne sawaal kyon kar rahe ho mujhse? Tum samajh sakte ho na abhi… tum mere haal ko samajh sakte ho na? haan main jaanti hoon bahut azeeb hain mera yeh naphrat… lekin iss naphrat main pyaar ke rang bhi nazar aayenge tumhe… pooja ka waqt ho gayaa hain chalo… and she gets up and goes from there and then everyone is doing the pooja with their husband…. And seeing their husband's face from the sieve and they feed their wives to break the vrath…. Back ground song plays…
Aisi yeh pati vratha hain….
Kisne itihaas rach hain….
Sab ke sang vrath yeh nibhaa rahi hain ooo…
Kismat ne kiya abhagan ….
Mann se phir bhi hain suhaagan….
Aansuon ka arpan chadaa rahi hain ooo…
Mann se mann ka yeh Milan hain…
Sang uske dil ki lagan hain…
Aankhon se chupkar jo bass gaya hain praanon main….
Pari is imagining the face of Sowmya from the sieve and then she breaks the vrath by drinking water by herself….
Dr.manav is sitting on the terrace all y himself and watching the moon…. He is thinking of the past when Pallavi is waiting for him with the pooja ki thali and he comes home late…
Manav – I am sorry… I am sorry… I am really sorry… lekin main kya karoon… surgery pe surgery… surgery pe surgery… lekin yeh saari kitni achchi hain… aur yeh blouse bhi kitna match kar raha hain…. Pallavi smiles…
Pallavi – bass bass rehne do… its okay… der ho gayi toh ho gayi…. Waise dekha jaaye toh mere liye achcha hi hain… tumhe der ho gayi… isee liye mujhe zyaada waqt bhooka rehna padaa… toh uska phal bhi toh bhagwah mujhe dega na… tumhaari umr aur bhi lamba kar degaa… toh actually its good for me…. And laughs…
Manav – arre bhagwan ji … mere saath saath mere pallavi ki umr bhi badaa dena….. akele umr badaake kya karoonga main? Tumhaare bina jeena bhi kya jeena hoga?
Pallavi – so sweet… par aise baatein karne se kuch nahin hota hain…. Uske liye kuch karma padta hain… Bhagwan se duwaa maangne ked saath saath vrath rakhna padta hain… samjhe?
Manav – rakha hain na…
Pallavi – kya?
Manav – na.. na.. na… na….khaana khaaye?
Pallavi – manav tumne vrath rakha hain? I told you not to….
Manav – saare mehnat pe paani pher diya manav…. Kya karoon… pallavi hum donon ne saath saath jeene marne ki vaada ki hain (sort of wasn't able to catch this dialogue… its all muffled up… this manav does not even know to say his dialogues clearly… not my fault)… tumhaare bina ek pal nahin jee paaoongaa main… and then they hug and its back to the present….
Manav – he removes his glasses and wipes his tears… kyon bhagwan kyon kiya tumne aise mere saath? Pallavi ki har maang har praarthana maan li aur meri…. Kya mere pyaar mere shradhdha main koi kami thi? Main pallavi se behad pyaar karta tha… karta hoon.. karta rahoonga… uss pyaar main kabhi koi kami nahin aayegi… yeh baat tum achchi tarah se jaante ho bhagwaan … phir kyon? Kyon kiya mere saath aisa tumne? kyon kiya? Pallavi ke jaane ke baad sirf… sirf saans le rahaa hoon main… jeena toh kab ka bhool gayaa… kabka bhool gayaa…
Taijee, Taujee, Abhay, Sameer and Alisha are sitting in the hall next morning…
Taijee- mann dukhta hain mera… bahut takleef hoti hain…. jab Pari ke saamne saj dhaj ke jaati hoon… muskuraati hoon… main jaanti hoon Pari bhi muskuraati hain… hamaari khushiyon main woh apni khushiyaan dhoondti hain… lekin hum sab jaante hain who kitni akeli hain… usne sowmya ki yaadon ke liye karwa chauth ka vrath rakha… iss vrath ki mahaanta ko aur badaawa diya hain usne… lekin yaadon ke sahaare jiya toh nahin jaata na? Pari kehti hain woh Sowmya ke yaadon ke sahaare apni poori zindagi guzaar degi… yeh kehna bahut aasan hain lekin karna mushkil… a buss bechaare ki umr hi kya hain…. Mujhe toh lagta hain hum sab ko Pari ki doosri shaadi ke bare main sochna chaahiye…
Taujee – yeh baat mere bhi dimaag main chal rahaa tha lekin samajh main nahin aa raha tha ki yeh Pari se kaise kahe… we all know woh Sowmya se kitna pyaar karti thi… mujhe nahin lagta woh doosre shaadi ke liye maanegi…
Taijee – I know Vijay… main jaanti hoon… Pari nahin maanegi… lekin mujhe lagta hain… humein ek baar usse baat karni chaahiye….
Smeer - Mom I think you are absolutely right… dekhiye main jaanta hoon ki mujhe aap logon ke beech baat karne ka koi haq nahin hain… kyon ki baat Pari bhabhi ke bare main hain… unki khushiyon ke baare main hain… main sirf yeh kehna chaahta hoon ki Pari bhabhi iss duniya ki saari khushiyon ko deserve karti hain …. Pari bhabhi hameshaa hamaare khushiyon main apni khushiyaan doondthi rehti hain… main yeh chaahta hoon ki unki ek apni duniyaa ho… jisme woh saari khushiyaan paaye… humein Pari bhabhi se baat karni chaahiye…
Taujee – haan lekin Pari se baat kaun karega?
And everyone is thinking….
Taujee – mujhko toh himmat nahin hain…
Abhay – main baat karoonga Pari se… main manaaoonga use doosri shaadi ke liye… ek sasur ka pharz pata nahin nibha payaa hoon ya nahin…. Lekin ab Pari mere liye beti se bhi badkar hain… aura b yeh baap ek beti ki khushiyon ke liye har pharz nibhaayega… bahu banaakar Pari ko iss ghar main laaya tha… ab beti banaakar iss ghar se use vida karne main bahut khushi milegi mujhe… main baat karoonga Pari se… and it ends there….