Chapter-2
2007
Inside Conference Hall
"Kalyani, listen, we can't take a call on such a high pay package without consulting CEO Sir," suit-tie pehne ek middle-aged Adhikari ne kaha.
"Come on, Mr. Bose, aap is company ke Executive Director hain. Har chhoti chhoti cheez ke liye kisi se permission lena apke designation ko suit nahi karta," Kalyani apne legs cross karte huye boli.
"Magar Kalyani, the pay package you're asking for is too much. This is not States."
Kalyani apni chair se uth kar boli, "To fir theek hai. Aapki vajah se mera kaafi time waste ho gaya. Now I have no other option other than to accept your rival company's offer."
"Kalyani, ruko," Mr. Bose bole, "Agar tumhare jaisi highly sought after employee rival company me chali gayi to hamara bahut bada loss ho jayega. Theek hai General Manager ki post tumhari at the package you're asking. Is it fine now?"
"Perfectly fine, Mr. Bose," Kalyani ne kaha, "Vaise kahaan hain aapke CEO Sir?"
"Vo unke bete ki tabiyat kharab ho gayi thi to unke ghar se unhe call aaya tha. Usi ko doctor ko dikhane gaye the."
"Office timing me personal kaam niptaana. So professional he is," Kalyani ne taana kasaa aur baahar jaane lagi. Darwaze par kisi se takrane ke baad jaise hi bande ne "I'm sorry" bola, Kalyani vahin thithak kar reh gayi.
"Mr. Bose. Sorry. Aapka message maine dekha tha urgent meeting ke liye. Magar Moksh ki tabiyat bigadne ki vajah se Aayi thodi zyaada ghabra gayi thi. Mujhe pehle pata bhi nahi tha aaj aapne is time koi meeting rakhi hai," Malhar apni hi row me bole jaa raha thi.
"Sir US se Harvard University se MBA kiya hai inhone. And she has got too many achievements for us to lose her to a rival company."
Malhar chair me baithkar kucch documents par sign karte huye bola, "Sirf bade college me padh lene se koi bhi accha worker nahi ban jaata. Hard work aur work ethic bhi koi cheez hoti hai. Jo ladki apne achievements ke dam par hame Aaj blackmail kar rahi hai, kya guarantee hai ki hamari company ko as a step in a ladder use karke vo doosri company me switch kar jaaye? Vaise bhi hamari industry me company switching ka to trend chal raha h. By the way, naam kya h uska?"
"Ms. Kalyani Deshmukh..." Malhar ka pen wala haath vahin ruk gaya. Theek hai raat me Moksh ke rone ki vajah se aur din bhar office me kadi mehnat karne ki vajah se vo bahut thaka rehta hai aajkal, magar itna bhi zyada nahi ki bhari dopahar me uske ateet ke sabse daraavne bhoot ka naam use sunai dene lage. Maybe, Aai sahi kehti hain. Use apni health ka bhi dhyaan rakhna chahiye.
Pakka Mr. Bose ne Kalyani Deshmukh nahi Kalyani Deshpande bola hoga.
"Fir se naam repeat karenge aap," Malhar bola, "Main theek se sun nahi paaya."
"Kalyani Deshmukh hai mera naam," Kalyani finally Malhar ki taraf palatkar boli. Aankhon par ek rimless chashma aur mehengaa suit pehne Malhar ko dekhkar ek pal ke liye Kalyani ko laga uski saari zindagi ek prank me badal chuki hai.
Malhar ek pal ke liye bhi Kalyani ki shakal nahi dekhna chahta tha. Jab bhi vo uski zindagi me aayi thi, dukh hi laayi thi. Magar yahaan sabke saamne vo bole bhi kya? Yahi ki is ladki ki baat sunkar vo apni vidhwa aayi ko chhorkar Satara bhaagne vala tha? Na Kalyani uski zindagi me aayi hoti, na uski Aayi ko wheelchair ki zaroorat parti, na use apni aai ke saath apna gaon beijjat hokar chhorna parta...
Malhar ne ek baar fir CV dekha. Koi raasta nahi tha ki Malhar Kalyani ko us post ke liye reject kar sake.
"Ms. Deshmukh," Malhar bola, is ummeed ke saath ki uski aawaz me ek CEO ka vajan ho, na ki gaon ke berojgar ladke ka, "Aap har 1.5 year me company switch karti hain. Am I right?"
"Haan," Kalyani boli, "Where I'll get better opportunity, I'll switch to that place."
"Shayad aapke liye loyalty ya apni baat par kaayam rehne ka koi matlab nahi hoga," Malhar bola, "Magar is company me mujhe talented aur highly qualified employees se zyada loyal aur dedicated employees chahiye. I hope you are understanding."
Kalyani ne haan me sar hilaaya.
"Theek hai to you are given the post of GM," Malhar said, "Magar you'll be on probation for one year and apko ek agreement par sign karne honge ki aap teen saal tak is company ko chhorkar nahi jayengi."
"Main or probation par? That's ridiculous," Kalyani boli.
"Mere paas waste karne ke liye bilkul time nahi hai Ms. Deshmukh," Malhar apni seat se uthkar bola, "Now it's your call. Mere is kamre se baahar jaane se pehle aap koi jawaab de dijiye varna main samajh loonga ki aap hamari company me GM ki post ke liye interested nahi hain."
Malhar jaise hi darwaaze ke paas pahuncha, Kalyaani ne Haan kaha. Malhar jaanta tha ki ye company ke liye acchi khabar thi vo baat alag hai ki khud use roz apne ateet ko yoon saamne dekhkar torture hona hoga.
Kalyani ko tabhi yaad aaya ki Mr. Bose ne kaha tha ki CEO Sir apne bete ko doctor ke paas le gaye hain.
"Aapki shaadi ho gayi hai Sir?" Kalyani ne poocha.
Malhar ko koi dikkat nahi hoti Kalyani ko ye samjhaane me ki uske saath hue vaakye ke baad use shaadi aur pyaar se nafrat si hone lagi thi aur Moksh ko usne orphanage se god liya tha. Magar kyon de vo apni safaai?
"Ms. Deshmukh, mujhe nahi lagta mere marital status se aapke area of work me koi fark parta hai," Malhar bola, "Now if you please excuse me."
"Obviously," Kalyani ne socha, "Jis aadmi se uske sapne poochne par jo kahe ki uska iklauta sapna h ki use apni Biwi ke liye Aakashwani ke presenter ko Aapki nazron ne samjha gaane ki farmaish bhejni hai, usne to pakka usi din pehli ladki jo use dikhi hogi usse shaadi kar li hogi jis din vo railway station par nahi aai thi. Kahaan vo roz aise aadmi ke baare me sochkar das saalon tak apna mood kharab karti Rahi. Agar Kalyani ke station par na pahunchne ka use koi dukh hua hota to vo biwi bacchon ke saath apni happy family basaakar maze na kar raha hota. Magar ajib baat ye thi ki aisa satka hua aadmi CEO kaise ban gaya?"
"Ye badtameez, baddimag ladki," Malhar kaam karte karte badbadaye jaa raha tha, "GM banengi ye Technosys ki. Na seniors ka lihaaj hai aur saamne vaale ki ijjat karna to ise kabhi aaya hi nahi. Bas bina baat ke attitude dete rehna. Malhar Rane, concentrate. Tujhe CEO ki kursi apni unsuccessful premkahaani ko kosne ke liye nahi mili hai. Vo sirf teribek employee hai, usse zyaada kucch nahin."
Malhar ne decide kar liya ki ab vo roz sone se pehle sirf 15 minute tak Kalyani ko man bharkar kosega aur bache huye poore din me aise rahega jaise vo Kalyani se kabhi milaa hi nahi tha.
https://youtu.be/iJ_78teQz-k
Edited by Autumn09 - 3 years ago