LYRICS from the RAMAYAN serial - Page 14

Created

Last reply

Replies

204

Views

246.8k

Users

30

Likes

16

Frequent Posters

ananyacool thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 16 years ago

Lav-Kush singing in Ram darbar

(From Uttar Ramayan,old)
Hum katha sunate Ram sakal guNdham ki, yeh Ramayan hai puNya katha Shrii Ram ki

Hum katha sunate Ram sakal guNdham ki, yeh Ramayan hai puNya katha Shrii Ram ki

Jambu dweepE,Bharat KhanDE, AryavartE, Bharat varshE, ek nagari hai vikyat Ayodhya naam ki

Yehi janma bhoomi hai param pujya Shrii Ram ki...hum katha sunate Ram sakal guN dham ki

Yeh Ramayan hai puNya katha Shrii Ram ki...... yeh Ramayan hai puNya katha Shrii Ram ki

Raghukul ke Raja dharmatma ,chakravarti Dashrath punyatma; Santati hetu yagya karvaya, dharm yagya ka shubh phal paya.....

nrip ghar janme char kumaraa ,Raghukul deep jagat adhaara...charon bhratonke shubh naama: Bharat Shatryghna Lakshman Rama...

Guru Vashishtha ke gurukul jaake alpa kaal vidya sab paake, puran huyi shiksha Raghuvar puran kaam ki.....yeh Ramayan hai puNya katha Shrii Ram ki

(Narrator)

Mruduswar, komal bhavana, rochak prastuti dhang.....ek ek kar varnan kare Lav-Kush ,Ram prasang;

Vishwamitr mahamuni raayi, inke sang chale do bhai; Kaise Ram Tadka ,kaise naath Ahilya taari;

Munivar Vishwamitra tab sang le Lakshman, Ram; Siya swayamvar dekhne pahunche Mithila dham........

Lav-Kush singing:

Janakpur utsav hai bhaari,Janakpur utsav hai bhaari....

Apne var ka chayan karigi Sita sukumari.....Janakpur utsav hai bhaari,

Janak raj ka kathin praN suno suno sab koi.....jo toDe Shiv dhanush ko, so Sita pati hoye

Jo toRe Shiv dhanush kathoR ;sab ki drishti Ram ki oar; Ram vinayguN ke avtaar, guruvar ki aagya siroddhar..

Sehej bhaav se Shiv dhanu to~da....Janak Suta sang naata jo~Da.....

Raghuvar jaisa aur na koi..Sita ki samata nahi hoyi , jo kare parajit Kaanti koti Rati-Kaam ki hum katha sunate Ram sakal guNdham ki

Yeh Ramayan hai puNya katha Siya- Ram ki

Sab par shabd mohini daali mantramugdha bhaaye sab nar naari, yun din rain jaat hai beetE Lav-Kush ne sab ke mann jeetE.....

Van gaman, Sita haran, Hanumat milan, Lanka dehen, Ravan maran phir Ayodhya punaraagaman.......sab vistar Katha sunaayi ;Raja Ram bhayE Raghuraai

Ram-Raj aayo sukh daayi, sukh samriddhi Shrii ghar,ghar aayi......

Part2

Kaal chakra ne ghatna kram me aisa chara chalaya,

Ram Siya ke jeevan mein Ghor andhera chaaya!!

Avadh mein aisa.........aisa ek din aaya nishkalank pe praja ne mithya dosh lagaya!! avadh mein aisa .aisa ek din aaya

Chadi Siya jab toDke sab sneh-naatae moh ke...pashaN hridayonmein na angaare jagE vidhroha ke,

Mamtamayi maaonke aanchal bhi simat kar reh gaye, Gurudev gyan aur neeti ke sagar bhi ghat kar rehgaye....

Na Raghukul na raghukul nayak, koi na hua Sia ka sahayak...

Maanavta ko kho baithe jab sabya nagar ke vaasi, tab Sita ko hua sahayak van ka ek sanyaasi....

Un rishi param udaar ka Valmiki shubh naam, Sita ko aashray diya, le aaye nij dham..

Raghukul mein kul-dep jalaye..Ram ke do sut,Siya ne jaayE.....

Kush-Lav naarating plight of Sita:

Kush : Shrota gaN, jo ek raja ki putri hai, ek raja ki putrvadhu hai aur ek chakravati samrat ki patni hai,

Lav: wohi maharani Sita, vanvaas ke dukho mein apne dino kaise kaat ti hai

Kush: apne kul ke gaurav aur swabhimaan ki raksha karte huye kisi se sahayta maange bina kaise apna kaam woh swayam karti hai...

Lav: swayam van se lakdi kaant ti hai, swayam apna dhaan kooTti hai swayam apni chakki peesti hai

Kush: aur apni santaanonko swavalambi banane ki shiksha kaise deti hai ab uski karuN jhaani dekhiye.

Janak dulari kulavadhu dasharath ji ki raj rani ho ke din van mein bitati hai......

Rehti thi gheri jise das- dasi aatho yam ,daasi bani apni udaasi ko chupati hai...

Dharam praveena sati param kulina sab vidhi dosh-hina jina dukh mein sikhati hai

Jagmata hari-priya Lakshmi swarupa Siya koonti te hai dhaan, bhoj swayam banati hai;

Kathin kulhaDi leke lakdiya kaant ti hai , Karam likhe ko par kaant nahi paati hai...

phool bhi uthana bhaari jis sukumari ko tha dukh bhari jeevan woh uthathi hai

Ardhangi Raghuveer ki woh dharE dheer, bharti hai neer, neer jal mein nehlati hai

jiske prajake apvaadon kuchakra mein peesti hai chaaki ,swabhiman bachati hai....

Paalti hai bachchonko woh Karmayogini ke bhaati, swavalambi safal banati hai

aisi Sita mata ki pariksh leti niThur niyati ko daya bhi nahi aati hai...O...us dukhiya ke raj-dulaare...

Hum hi sut Shrii Ram tihaare.... O....Sita maa ki aankh ki taarE...EE ... Lav-Kush hai Pitu naam hamare....

hE pitu bhagya hamare jaage , Ram katha kahe Ram ke aage.......

(Any other wishes , Swati😉)
ananyacool thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 16 years ago

Originally posted by: _LalithaJanaki_

Thanks so much Ananya!🤗

You're most welcome,Lalitha😊
sitakshii thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 16 years ago

wow !! ananya ,thanks for posting the lyrics !!!

truly appreciate ur hard work !!!!😛
jingjing thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago
Thanx Ananya didi 4 the lyrics😃
Vibhishna thumbnail
16th Anniversary Thumbnail The Rang- Rasa Cronicles Participant Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
Thanks everyone for posting the lyrics and translations. It helps me learn the language faster.

I have a request. Can someone post the lyrics and translations for the songs of 16th March episode. I can almost understand it but I'd like to know the actual words - so that I can learn the language better. 😳

Can someone please post the lyrics and translations?
DamRyeong thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 5
Posted: 16 years ago
SITA JAYMAAL SONG FROM OLD RAMAYAN.......

shree raghuvar komal kamalnayan ko pahnao jaymala
pahnao jaymala
yah punya muhurat swarnim avsar phir nahi aane wala....
pahnao jaymala
shree raghuvar komal kamalnayan ko pahnao jaymala
pahnao jaymala


do char charan chalte chalte shree raghuvar tak aise pahunche
ju chhui mui k pallav ho simte simte sakuche sakuche
simte simte sakuche sakuche
shri ram chakit chitve sita ka adbhut roop nirala
pahnao jaymala
shree raghuvar komal kamalnayan ko pahnao jaymala
pahnao jaymala
yah punya muhurat swarnim avsar phir nahi aane wala....
pahnao jaymala
shree raghuvar komal kamalnayan ko pahnao jaymala
pahnao jaymala
shree raghuvar komal kamalnayan ko pahnao jaymala
pahnao jaymala
😊

Edited by SwatiAgrawal - 16 years ago
ananyacool thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 16 years ago
Great job !!Swati 👏
This song is my all time fave...
DamRyeong thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 5
Posted: 16 years ago

Originally posted by: ananyacool

Great job !!Swati 👏

This song is my all time fave...

thanx yaar.....😊
DamRyeong thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 5
Posted: 16 years ago

Originally posted by: Vibhishna

Thanks everyone for posting the lyrics and translations. It helps me learn the language faster.

I have a request. Can someone post the lyrics and translations for the songs of 16th March episode. I can almost understand it but I'd like to know the actual words - so that I can learn the language better. 😳

Can someone please post the lyrics and translations?

plzzzzzz tell the situation of the song....
Edited by SwatiAgrawal - 16 years ago
DamRyeong thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 5
Posted: 16 years ago
16th mar song......

jitne muh utni hi baatein
baatein kareman pe ram k ghate
satya pramanit karne ko di siy ne agni pareeksha
fir bhi alochna ruki nahi hoti rahi sameeksha

ram baan se bhi ghatak ye vyangya k baan nukeele
ram maun ho sahta jaye nain kare nahi geele
siya ram ne jinhe sada putro ki bhaanti nihara
chhalni hota jaye hriday khud apno k hi dwara

raja se hara manav raja se hara manav
prativaad ko mukh nahi khole
raghukul ka raja chintit vyakul dole
nar se ban narayan chintit vyakul dole.........😭

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".