LYRICS from the RAMAYAN serial - Page 12

Created

Last reply

Replies

204

Views

247.6k

Users

30

Likes

16

Frequent Posters

jingjing thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago
wow...thanx ananyacool...U really rock.....n thanx for loving agnipariksha lyrics :-))
ananyacool thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 16 years ago
Thank you very much Jingjing, glad u liked it.😊
Lyrics for Meghnad's Pranghatini shakti attack on Lakshman.

Bijli jaisi chamki parchi aur, kaal ki bhaati chali parchi ranbeeran ke ur cheeran ko baidagan kar chali parchi.

Indrajeet orders his soldiers to lift up Lakshman so that he presents Lakshman body to Ravan as a gift.

The soldiers try to lift the unconscious Lakshman but....are unable to even move him.

Indrajeet tries to lift Lakshman but he in vain.

Bhaar lakhan ka ho gaya Shiv ke dhanush saman hila dula tak na sake asur maha balwan... chur hua abhiman

Achal adol akamp hai Lakhan, Shesh avatar; Meghnad yoddha prabal murchit se gaya haal uthe na Lakhan kumar.

At last Hanuman lifts Lakshman and takes him to their camp where Ram is waiting.

Parvat tha jo shatru ko , Hanumat ko hua phool... pavan vaeg se le chale lakhan ko mangal mool, Kapivar mangal mool.

sitakshii thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 16 years ago
all applauses for your great work jingjing & ananya 👏
u hv written the exact lyrics with explanation !!! great job gals !!!!👏
ananyacool thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 16 years ago
Thanks Sita.😊
Lyrics for Lakshman Meghnad duel
Do paramveer, do prakhar surya, do tejvant baldhar;i Lakshman aur Meghnad ka yeh sangram pralayankari...

Yeh dharanidhar sheshavatar, woh adbhut mayachari; Lakshman aur Meghnad ka yeh sangram pralayankari Har har Mahadev(2)

dono suveer ranprangan mein teeron pe teer barsate hai, dono dono ke teeron ko raste mein kaat girate hai

abhi miti Ravan ki aas, abhi Ram ki shakti na hari Lakshman aur Meghnad ka yeh sangram pralayankari Har har Mahadev(2)

Indrajeet ne smaran kar prakat kiya Brahmastra ko vijay shatru par prapt ho karne laga yeh prangana....

nikat pahuch kar laksh ke ruk gaya shastra pradhan ,namaskar kar Lakhan ne diya use sanman

Indrajeet hua harshit garvit Pashupatastra sahaj pragatake shastra chala chalta hi gaya aur tehra nikat saumitra ke jake

sadar pranam kiya Lakhan ne shastra palat gaya laksh pe aake

Smaran kare Narayan astra ka veer dhanush par chaap chadhake .....

Chaupai sung while Lakshman releases the last arrow:

amal achal mann tron samana

samyam niyam silimukh nana

Kavach abhed vipra gura pooja

ye hi sam vijay upay na duja

sauraj dheeraj tehi rath chaka satya seel dradh dwaja pataka

Bal vivek parhit ghore Kshama kripa samta raju jore....

(sorry if posted earlier)

ananyacool thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 16 years ago
Uttar Ramayan, Promo song Lyrics
(couldn't help adding)😳


Ram rajya mein, poorna ki, Ram ne sab ki aas ,
Janak suta ke bhagya mein kintu wahi vanvaas.....😭😭
😭Van van bhatki Sita Mata ,Valmiki bane aashray daata,
Apne aashram mein le aaye, jaha mata ne do sut jaaye ;
Mata ne nij dharm nibhaaya ,shishuon ko balveer banaya;
Siya balidan ki aisi pratima kahi na jaye jiski mahi~ma...
Atmasamman pe aanch jo aayi, Bhumi suta bhumi mein samayi;
yehi kandan karti atma, manav Ram ki.........




Edited by ananyacool - 16 years ago
Khalrika thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 16 years ago
Does anyone have the lyrics for the song "Namami Baktha Vatsalam?" If it has been posted already, I really apologize because I am unable to find it. If it hasn't been posted, can someone post the lyrics for this song please?
ananyacool thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 16 years ago

Originally posted by: Mandodari

Does anyone have the lyrics for the song "Namami Baktha Vatsalam?" If it has been posted already, I really apologize because I am unable to find it. If it hasn't been posted, can someone post the lyrics for this song please?



Its already posted on pg 6 by Swati:
https://india-forums.com/forum_posts.asp?TID=871350&TPN=6

Edited by ananyacool - 16 years ago
ananyacool thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 16 years ago
You're Welcome Swati😊
Here's more......

The song when Ramji along with Sita ma n others reache Ayodhya: A very beautiful song; Ramji salutes the holy mud of his motherland Ayodhya.


Sthan janmabhoomi ka toh swarg se bhi upar hai varshon ke baad huyi phir iski vandana;
Kan kan iS maati ka sneh se sughandit hai, chandan ko tucch kare maati yeh chandana..
maati ko sheesh jhuka, sheesh laga ,prabhu soche ,yeh sukh ,santosh kahi itna anand na ........
sara jag vicharan kar aaj yeh abhaas hua shwas kahi le paye aise swachhand na......

ananyacool thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 16 years ago
The song before the final war between Ram-Ravan
yeh lanka mein kaisi kathin raat aayi hai vyakul sabhi, neend sabki udayi yeh lamka mein kaisi kathin raat aayi
bahut ratna anmol jisne ho khoye woh lankesh nishchint ho kaise soye?? Tha kal tak jahan bandhu bandhav ka mela waha rehgaya aaj Ravan akela ,nahi iSse anjan das sheesh gyani ke bhagvan se shatruta usne thani wahi shtruta kaal ko keench layi, yeh lanka mein kaisi kathin raat aayi....
yeh lanka mein kaisi .........

Hua randh aarambh Sita haran se swayam naata Ravan ne naata joda maran se bhali bhaati mandodari jaanti hain ki jo hai Siya pati Ramaapati wahi hain
kisi ek ki maang mein hogi laali ; suhagan koyi ek hai rehnewali woh mandodari ho ya ho Sita mayi.......yeh lanka mein kaisi......

Kutil rakshasonko uchit dand dene ajanma ko bhi janm padte hai lene nikat ant ke aagayi hai kahani ke lanka mein ab sar se upar hain paani
vachan devtaon ko jo deke aaya unhe shighr hi jaayega ab nibhaya ke honi hai kal nirnayak ladai yeh lanka mein......

Nahi Ram bin ek pal sukh se beeta ke birha mein mar mar ke jeeti hai Seeta, nain mein he pani hriday mein hai jwala....nab tan se pran jaaye sambhala kahi dhairya ka baandh hi dehna na jaye daras kamana mann mein hi reh na jaaye ab aajao Ram ab Siya ki duhai yeh lanka mein kaisi raat aayi....... hai vyakul sabhi, neend sabki udayi .......
DamRyeong thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 5
Posted: 16 years ago
wowwwwwwwwww anu soooooo sweet of u...thanx a ton.......

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".