Mythology Fun in Swara Niwas 🤴👸 Scene Index updated on pg 1 - Page 9

Created

Last reply

Replies

95

Views

4264

Users

4

Likes

151

Frequent Posters

Kalma18 thumbnail
Anniversary 4 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 3 years ago

Originally posted by: Priyapriyu

Is samvaad me Aryaputra  Malhar ki do dharm patniya hai.. Sampada evam Kalyani 

Ek divas ki ko Aryaputr Malhar apni dono patniyon  k sang bhraman ko gaye huye the..

Marg me lautate samay devi kalyani  ki Drashti ek pushp par padi.. devi kalyani  ko vah pushp itna aakarshak pratit hua..devi kalyani  ne apne arya se vinti ki..

Kalyani- Hey Arya tanik rukiye.. dekhiye us or wah pushp atyadhik sundar hai, humare man ko ati priy prateet ho rha hai, kripya kar hume wah pushp prdaan kare 

MJ- kis or Devi kalyani, purv ki or ya pashchim ki or kis or dekhe hum..

Kalyani- purv ki or dekhe aarya, Laal varn ka vah pushp kitna aakarshak Hai  kripyakar use Hume pradan kare swami.. hum aapka aabhar maanenge..

MJ- Yeh aabhar maanne ka vishay nahi hai devi. Aapki har manokaamna ko purn karna humara dharm hai. Hum abhi aapko wah pushp lakar dete hai 

Tabhi Rani sampada kehti hai 

Sampu- Devi Kalyani  bhi ek pushp ke prati aakarshit ho rahi  hai.. ek pushp k liye aap Aarya ki kasht kyu de rahi hai pushp to humari vatika me bhi hai 

Devi kalyani aapko jitne pushp chahiye daasi se kehkar samaksh prastut karwa diye jayenge..

Aap aarya ko kasht na de...

Kalyani- Parantu Devi sampada yeh pushp humari vatika me nahi hai. Hume yahi pushp chahiye..

Sampada- Aapko kaise gyaat hai yeh pushp nahi hai humari vaatika me..

Kalyani- Hume gyaat hai kyunki hum vatika k har vriksh, pushp, laatao se parichit hai.. ve sab humare mitr hai 

Samada hasya karte huye - Aap bhi na Devi, ab bhi aapka  ek balika ke saman vyavhar kar rahi hai ..

Pushp vriksh se mitrta...

Kalyani- Devi Sampada aap sadaiv hi humare uphaas karti hai , Aap bhi to aarya se bhet ka agrah karti hai, humne kabhi aapke vishay me hastakshep nahi  kiya, to aap kyu vyarth me humara uphaas kar rahi hai 

Arya kripya kar hume wah  pushp pradan kare ..

Sampada- Ye   baalika ke samaan vyavhar aapko shobha nahi deta Aap vyarth  ka hatth na kare 

Hume vilamb ho rha hai Aarya.... chaliye  prasthan karte hai 

Malharji- Devi Sampada ,Devi Kalyani aap dono Shant ho jaye ko 

Aur devi sampada aap devi kalyani ko is prakar  na khahiye yadi unke  man me us pushp ko paane ki abhilasha hai to yeh humara kartavya hai ki hum unhe wah pushp lakar de 
Aap tanik rukiye hum abhi wah pushp lekar aate hai...

Devi Sampada ko shaant ho jati hai 

Malharji pushp lekar aate hai 

Ye lijiye devi kalyani aapka pushp ab aap prasann ho jayiye..

Devi kalyani pushp paakar prafullit ho jati hai 

Kalyani- Aarya aapka koti koti dhanyvad aapne Hume pushp prdaan kiya 

Malharji- Devi dhanyvad ki koi aavashyakta nahi hai yeh to humara kartavya hai aapke prati.. aap aise hi prasannta se rahe Hume aapki prasannta ati priy hai 

Devi Sampada ki drishti us pushp par padhti hai , unhe bhi wah pushp aakarshit prateet hota hai..wah kehti hai... 

Sampada- Aarya... Ye pushp to atyant hi manmohak hai, Hume bhi yeh pushp chahiye 

Malharji - Devi Sampada aapko ko to pushp me koi ruchi nahi hai to ab kis prakar aap ko pushp manmohak pratit ho raha hai 

Sampada - Aarya Hume bhi pushp lakar de anyatha hum rusht ho jayenge aur ye maan lenge ki aap humse prem nahi karte 

Malharji- Nahi devi aap aisa na kahe, hum aapse prem karte hai parantu yeh ek durlabh pushp hai aur matra me ek hi prapt hua hai, Aapko anya mulyvaan vastu bheth denge... Is pushp ko rehne dijiye 

Devi kalyani  pushp ko sambhalkar rakhne lagti hai aur yeh dekh devi sampada ko krodh aata hai aur wah rusht ho jati hai ....

Sakhi priya 😘❣️ iss athi uttam Samvaad likhne keliye hridhpurvak dhanyawad 😘😘

Devi Kalyani ki vinambhrata, Maharshay Malhar ki devi Kalyani ke prathi prem, Devi Sampada ki irsha ko aapne adbuth prakaar se pradarshan kiya hain 💕💕

iss smriti main aapka varnan aprathim hai ❤️ 

Priyapriyu thumbnail
Group Promotion 6 Thumbnail Anniversary 4 Thumbnail
Posted: 3 years ago

Originally posted by: Kalma18

Sakhi priya 😘❣️ iss athi uttam Samvaad likhne keliye hridhpurvak dhanyawad 😘😘

Devi Kalyani ki vinambhrata, Maharshay Malhar ki devi Kalyani ke prathi prem, Devi Sampada ki irsha ko aapne adbuth prakaar se pradarshan kiya hain 💕💕

iss smriti main aapka varnan aprathim hai ❤️ 

Dhanywad sakhi Minnie..

Humne prayatn kiya hai ise manoranjak banane ka aapko yeh pasand aaya 

Humara prayatn safal hua 

rekha_crm thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 3
Posted: 3 years ago

Sakhi Priya... Adbhud samwaad... 

Pratham samwaad

Choti Rani pushp se aakarshit ho gayi.. 

Aryaputra Malhar apni choti Rani Devi Kalyani ki icha puri na karen aisa sambhav nahin hai.. 😆

Rani Sampada rusht ho gayi.. Irschya se... 😆

Dweeteya samwaad.. 

Rani Sampada aur Rani Kalyani donon me vyanjan parosne ki pratiyogita ho rahi hai.. 

Putra Moksh toh aayu se adhik buddhimaan hai.. Apne pita ke raksha hetu maata on ko shant karne ka prayatna kar raha hai..👏

Kintu Mataiyen shanti me bhi pratiyogita kar rahi hai.. 😆

Aryaputra Malhar apne donon Raniyon ke madhya phas gaye hain.. 

Uttam vichar suja unhe ki phal khana hi uchit hai.. 🤣

Yehi toh baat hai sakhi Priye.. Aapne hume itna hasa diya in samwaadon se... 🤣

Dhanyavaad.. 

Edit

Edited by rekha_crm - 3 years ago

Raajmata Ahilya Devi aur Devi Anupriya vatika ke ek aasan me viraajmaan hai. Wah donon vatavaran ka anand lete hue prasang kar rahi hai.. 

Mahoday Sarthak apne vahaan ke nikat hi upasthith the. Unki drishti apne hriday ki Maharani Devi Anupriya par kendrith thi.. 

Achanak wahan chaar paanch lootere pohonch gaye aur Devi Anupriya se  durvyavahaar karne lage evam unke abharanon ko lootne lage.. 

Raajmata - Putri Anupriya....

Parameshwara.. Koi hamari Putri ki raksha kijiye .. 

Sarthak wahan daude chale aate hain.. 

Sarthak - Raajmata aap chintit na ho. Devi Anupriya ki raksha hum karenge. 

Sarthak Mahoday un looteron se Yudh karte hain aur apni hriday ki Devi ki raksha karte hain. 

Paranthu unme se ek lootera Sarthak Mahoday ke peet pe khanjar bhogtha hai aur ve bhoomi par gir jaate hain.. 

Unke shareer se rakt behkar mitti ko laal kar rahi thi.. 

Ve Moorchit ho jaate hain. 

Anupriya - Swami...!!! 

Swami, apne netra kholiye..Swami..!!

Raajmata - Putri Anupriya hume Putra Sarthak ko athi sheegra vaidya ke paas le jaana hoga.. 

Anupriya - Raajmata....mere Swami.. 

Raajmata - Putri, samay vyarth na karo.. Sheegratha Karo. 

Putra Sarthak ko vahan tak pohonchana me hum tumhari sahayatha karte hain.. 

Sarthak Mahoday ko donon streeyan milkar vahan me leta dete hain Aur Devi Anupriya vahan chalakar apne Gruh pohonchathe hai.

Raajmata - Putri Kalyani... Tanik sheegratha se vaidyaji ko avgat karwavo..

Kalyani - Kakashree...!!! Raajmata, Kakashree ghayal kaise hue.. 

Anupriya - Putri..yeh samay Prarshn karne ka nahi, Vaidyaji ko bina vilambh kiye soochit kijiye. 

Kalyani athi sheegratha se Vaidyaji aur apne Aaryaputra ko sandesh bhejthi hai.. 

Vaidya - Malhar Mahoday, aapke Kakashree ki zakhm tanik gehri hai, adhik rakt bhi nasht hua hai.. Inki Chetna lautne me vilambh ho sakta hai.. Kripaya inke samaksh rukkar inki sewa karen.. 

Malhar - Avashya Vaidyaji 

Vaidya - Inn aushadiyon ko samayaunsaar Inhe paan karwane hoga.. 

Vaidya anumati lekar prasthan karte hain. 

Malhar - Devi Kalyani. Aap putra Moksh ke sang vishraam kijiye. 

Mai Kakashree ke dhyan rakhne hetu isi kaksh me upasthith rahunga. 

Anupriya - Putra Malhar, dhanyavaad. Parantu hum hamare swami ka dhyan adhik shreshttha se rakhenge.. 

Kalyani - Kintu Mata, aap Kakashree se apna sambandh tod chuki hain.. 

Anupriya athi krodhit hokar kehti hai - Putri Kalyani, Maine aapse koi gyaan ki apeksha nahi ki. 

Aap aur aapke aarya apne kaarya ka paalan kijiye. 

Mere swami ke samaksh mai hi rahungi. 

Malhar, Kalyani Aur Raajmaata uss Kaksh se prasthan karte hain. 

Edited by rekha_crm - 3 years ago
Priyapriyu thumbnail
Group Promotion 6 Thumbnail Anniversary 4 Thumbnail
Posted: 3 years ago

Originally posted by: rekha_crm

Sakhi Priya... Adbhud samwaad... 

Pratham samwaad

Choti Rani pushp se aakarshit ho gayi.. 

Aryaputra Malhar apni choti Rani Devi Kalyani ki icha puri na karen aisa sambhav nahin hai.. 😆

Rani Sampada rusht ho gayi.. Irschya se... 😆

Dweeteya samwaad.. 

Rani Sampada aur Rani Kalyani donon me vyanjan parosne ki pratiyogita ho rahi hai.. 

Putra Moksh toh aayu se adhik buddhimaan hai.. Apne pita ke raksha hetu maata on ko shant karne ka prayatna kar raha hai..👏

Kintu Mataiyen shanti me bhi pratiyogita kar rahi hai.. 😆

Aryaputra Malhar apne donon Raniyon ke madhya phas gaye hain.. 

Uttam vichar suja unhe ki phal khana hi uchit hai.. 🤣

Yehi toh baat hai sakhi Priye.. Aapne hume itna hasa diya in samwaadon se... 🤣

Dhanyavaad.. 

Dhanyvad priy di 

Hamare is prasang ne aapka manoranjan kiya ye gyaat hone k pashchat main prafullit ho gayi hu 

😆😆 

Malharji ki dono raaniyaan aisi hi hai 

Kabhi ghanishth sakhiyon ki tarah rehti hai kabhi shatru ki tarah 

Malharji ko dono rani priy hai parantu chhoti rani ke liye unke hridya me adhik sthan hai 

😆😆

Moksh ne apni buddhimatta ka parichay diya hai 

😆

Edited by Priyapriyu - 3 years ago
Priyapriyu thumbnail
Group Promotion 6 Thumbnail Anniversary 4 Thumbnail
Posted: 3 years ago

Originally posted by: rekha_crm

Raajmata Ahilya Devi aur Devi Anupriya vatika ke ek aasan me viraajmaan hai. Wah donon vatavaran ka anand lete hue prasang kar rahi hai.. 

Mahoday Sarthak apne vahaan ke nikat hi upasthith the. Unki drishti apne hriday ki Maharani Devi Anupriya par kendrith thi.. 

Achanak wahan chaar paanch lootere pohonch gaye aur Devi Anupriya se  durvyavahaar karne lage evam unke abharanon ko lootne lage.. 

Raajmata - Putri Anupriya....

Parameshwara.. Koi hamari Putri ki rakha karo.. 

Sarthak wahan daude chale aate hain.. 

Sarthak - Raajmata aap chintit na ho. Devi Anupriya ki raksha hum karenge. 

Sarthak Mahoday un looteron se Yudh karte hain aur apni hriday ki Devi ki raksha karte hain. 

Paranthu unme se ek lootera Sarthak Mahoday ke peet pe khanjar bhogtha hai aur ve bhoomi par gir jaate hain.. 

Unke shareer se rakt behkar mitti ko laal kar rahi thi.. 

Ve Moorchit ho jaate hain. 

Anupriya - Swami...!!! 

Swami, apne netra kholiye..Swami..!!

Raajmata - Putri Anupriya hume Putra Sarthak ko athi sheegra vaidya ke paas le jaana hoga.. 

Anupriya - Raajmata....mere Swami.. 

Raajmata - Putri, samay vyarth na karo.. Sheegratha Karo. 

Putra Sarthak ko vahan tak pohonchana me hum tumhari sahayatha karte hain.. 

Sarthak Mahoday ko donon streeyan milkar vahan me leta dete hain Aur Devi Anupriya vahan chalakar apne Gruh pohonchathe hai.

Raajmata - Putri Kalyani... Tanik sheegratha se vaidyaji ko avgat karwavo..

Kalyani - Kakashree...!!! Raajmata, Kakashree ghayal kaise hue.. 

Anupriya - Putri..yeh samay Prarshn karne ka nahi, Vaidyaji ko bina vilambh kiye soochit kijiye. 

Kalyani athi sheegratha se Vaidyaji aur apne Aaryaputra ko sandesh bhejthi hai.. 

Vaidya - Malhar Mahoday, aapke Kakashree ki zakhm tanik gehri hai, adhik rakt bhi nasht hua hai.. Inhe Chetna lautne me vilambh ho sakta hai.. Kripaya inke samaksh rukkar inki sewa karen.. 

Malhar - Avashya Vaidyaji 

Vaidya - Inn aushadiyon ko samayaunsaar Inhe paan karwane hoga.. 

Vaidya anumati lekar prasthan karte hain. 

Malhar - Devi Kalyani. Aap putra Moksh ke sang vishraam kijiye. 

Mai Kakashree ke dhyan rakhne hetu isi kaksh me upasthith rahunga. 

Anupriya - Putra Malhar, dhanyavaad. Parantu hum hamare swami ka dhyan adhik shreshttha se rakhenge.. 

Kalyani - Kintu Mata, aap Kakashree se apna sambandh tod chuki hain.. 

Anupriya athi krodhit hokar kehti hai - Putri Kalyani, Maine aapse koi gyaan ki apeksha nahi ki. 

Aap aur aapke aarya apna kaarya ka paalan kijiye. 

Mere swami ke samaksh mai hi rahungi. 

Malhar, Kalyani Aur Raajmaata uss Kaksh se prasthan karte hain. 

Ati sundar 🤩

Kakishri apne aarya ko is avashta me nahi dekh payi unka prem punah jagrat hua 

Ye to ati harsh ka vishay hai 

Adbuth Rekha bhagini 😘 yah sannivesh ka prayojan humare show main hona chahiye 😅😅

Anupriya aur Kalyani ki relation main atleast kuch normalcy hain yaha 😅

Wonderful Rekha di 💕💝 

rekha_crm thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 3
Posted: 3 years ago

Originally posted by: Priyapriyu

Ati sundar 🤩

Kakishri apne aarya ko is avashta me nahi dekh payi unka prem punah jagrat hua 

Ye to ati harsh ka vishay hai 

😆😆

Kakishri ke prem ko punah jagrat karne se hi hamare KalMa ko tanik ekaant milega.. 

🤣

Priyapriyu thumbnail
Group Promotion 6 Thumbnail Anniversary 4 Thumbnail
Posted: 3 years ago

Originally posted by: rekha_crm

Kakishri ke prem ko punah jagrat karne se hi hamare KalMa ko tanik ekaant milega.. 

🤣

Ye to ati avashyak hai 

KalMa ke prem ko phalne phoolne k liye ekaant ki avashyakta hai 

😆😆