Tujhse Hai Raabta

Mythology Fun in Swara Niwas 🤴👸 Scene Index updated on pg 1

rekha_crm thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 3
Posted: 3 years ago

Hey Girls.... 

All of us are facing tense situations. Let's have some outlet. 

Creating this thread for some relief and fun. 

So Jiya gave an idea - What if Swara Niwas members were mythological characters.

Let's imagine and write a scene or just few dialogues.

It will be fun only if all you girls participate.

It's not going to be any continuous story or it need not even be a whole scene. 

Just a random conversation would do. 

Will repost mine and Jiya's posts from the discussion thread. 

Request you all to post your fun-filled ideas and scenes too. 

Writers till now are @jsmp21, @Priyapriyu, @Rekha_crm

Scene & Dialogue index 

Scene 1 - pg 1 

Scene 2 - pg 1 

Dialogue 1 - pg 1

Scene 3 - pg 1  

Scene 4 - pg 1

Scene 5 - pg 2

Scene 6 pg 2

Scene 7 pg 3

Scene 8 pg 4

Scene 9 part 1 pg 4

Scene 9 part 2 pg 6

Scene 9 part 3 pg 8

Scene 10 pg 7

Scene 11 pg 10

Scene 12 pg 10

Scene 13 pg 11

Edited by rekha_crm - 3 years ago

Created

Last reply

Replies

95

Views

4223

Users

4

Likes

151

Frequent Posters

rekha_crm thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 3
Posted: 3 years ago

Bappa se hi shuru karte hain.. Ganpati Bappa Moraya😊🙏🙏


Bappa jayenge apni Aai, Mata Parvati ke paas... 


Mata mujhe koi special wala modak Khilao... 


Kyun Putr..? 


Mai bohot thak gaya hun Mata... 


Mere Putr hokar Tum itne thak kaise gaye..? 


Mata... Wahan Swara Niwas me ek Nari hai Anupriya jo mujhe har samay kaam pe lagati hai.. 


Acha...? Aisa kya kaarya karwati hai..? 


Har wakt uski beti musibat me pad jaati hai aur ye mujhe pareshan karne lag jaati hai..


Acha..!!! 


Haan Mata... 

Ek baar tempo dundne bhi bhej diya mujhe..


Hey Mahadev!!!   Mere Putr ko itna kasht deti hain ye donon... 😳


Acha hua Shera naam ka ek bhale insaan ne meri madad ki tempo dundne me.. 

Mata ye donon maa beti mujhe dauda dauda ke itna thaka deti hain... Uff... 


Chinta mat karo Putr mai tumhare liye vishesh Vitamins aur jadi bhotiyon se bhare modak ek kshan me le aati hun.. 


Dhanyavaad Mata..!! 


Edited by rekha_crm - 3 years ago
rekha_crm thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 3
Posted: 3 years ago

This Scene was created by Jiya @jsmp21


Malhar and Kalyani sanwad

K: Aaryputra aaj aapaka samay se pahele aagaman kaise huwa??? Aaj aapaka Karya eatane  jaldi sampanna huwa?

M: Priye aaj pratahkal mein hi ham apane Kary pe chale Gaye the apitu aaj jaldi Karya  sampanna karake  ham samay se pehele prastut huwe tatha Ek vishesh Kary ka bhi to hame aarambh  bhi karana hein.

K: Kaisa Karya Prananath?

M: jisaki  aapane hi manokamana ki thi Devi.

k: Meine..Meine kaunse Karya ki manokamana ki thi Aaryputra.

M: wahi Jo aapane apane Patra mein likhakar hamare bhojan ke Patra mein chipakar bhej diya tha.Aur us vishista karyke liye samaypurv  hame upastit rahene ke aadesh aapane hi to Kiye the..

K:he Prabhu meine aapako aisa koi Patra bhojan ke Patra mein chhipakar Nahi bheja tha..

M: Hey Priye agar aapane hame Patra Nahi bheja hota to ham  yaha upastit  nahi hote.

K: Hey Prabhu..lagata hein aapako Kisi bat Ka bhram huwa hein...Apitu hamane aisi koi manokamana aise Patra mein likhakar aapako Nahi bheji.

M: hey Devi...yeh dekhiye yeh wahi Patra hein jisaka ham  Yaha ullekh Kar rahe the...dekhiye aapane Apani manokamana swayam hi likhi hein.ki aapako balak Moksh ke liye behen ki kamana hein to aap samaypurv gruh me upastiti rahiye.

( Kalyani ne Patra dekhane ke bad)

K: hey nath aapase tanik hi Badi bhul huwi...aap Ek 23 varsh ke aayu ki yuvati  tatha 5 varsh ke aayu ke balak mein tulana na Kar paye...yeh Patra aapake putra balak Moksh ne Likha hein..Agar mein aapase  putri ki Abhilash karungi  to patra mein likhakar nahi tatha mein aapake samane  swayam hi prastut karungi

M: yeh balak Moksh  BHI na Krishna jaisa natkhat huwa hein..usaki leelaye Sare jagat mein hi anokhi hein.

Edited by rekha_crm - 3 years ago
rekha_crm thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 3
Posted: 3 years ago

Shera aur Moksh ka convo.. 


Mitr Shera… Mata ke aankhon me phirse aansun jhalak rahe hain.. 

Maine bhi dekha Priya Balak Mosk.. Woh dusht Avni tumhari Mata ko adhik kasht pohonchathi hai.. 

Apne Mata ka kasht mujhse bardaash nahi hota Mitr… 

Chinta mat karo Mosk. Uss dusht ko hum sabak sikhayenge.

Woh kaise Mitr? 

Mere sang chalo Priya Mosk... 

Moksh aur Shera blow out all the candlelights in Avni's room.. She comes in and finds her room very dark. 

Kaun hai wahan? 

Daasi… 

Mere kaksh me itna andhera kyun hai? Saare deepak bhuje kyun hai..? 

Turant prastut hokar saare deep jalao. 

Shera creates loud laughter sounds.. In an unrecognisable voice Shera says.. 

Dusht Avni… apne paapon ki saza bhugatne ke liye sajj ho jao.. 

Kaun hai…. Kaun hai iss kaksh me.. 

Mai… (he laughs) 

Mai.. Woh hun jo tumhare har shadyantr ki ginti rakhta hun.. 

Yam ka doot…. (laughs loudly) Tumhe iss sansaar se le jaane aaya hun... 

Yam doot… Kshama kijiye mujhe… kripya iss sansaar se mujhe lekar mat jaiye.. 

Kshama…? Tumne jo aparadh kiye hain woh Kshama ke layak nahi hai.. 

Tumhe ab saza prapt hogi.. 

Kshama kijiye Yamdoot.. Aap jo kahenge mai woh karne keliye sajj hun.. 

Ek avsar deta hun.. 

Aaj ratri ko nadi me sau baar snaan karogi. 

Avashya karungi.. 

Puri sazaa sun lo dusht… 

Ji, kahiye.. 

Kal pratahkaal se tum kewal Dasi ke vastra pehnogi, har roz pure Parivaar ke liye bhojan tum banaogi. 

Kalyani Devi athva Mata Anupriya ki din raat sewa karogi.. 

Saza manzoor hai?? 

Ji Manzoor hai.. 

Yaad rahe dusht, ye aakhri mauka hai.. 


Moksh and Shera leave unseen, giggling softly at the scared Avni.. 

Edited by rekha_crm - 3 years ago
Priyapriyu thumbnail
Group Promotion 6 Thumbnail Anniversary 4 Thumbnail
Posted: 3 years ago

Moksh Rane - Meri maate hai Uttam Nari !!!!!


Main banunga unka uttaraadhikaari...

🤣🤣🤣


rekha_crm thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 3
Posted: 3 years ago

Moksh :  Pitashri.. Mai Gurukul kab jaa sakta hun.. 

Mere saare Mitr Gurukul chale gaye.. 

Malhar : Putra.. Tumhari Gurukul jaane ki aayu nahi hai.. 

Pehle apni Maata se seekh lena athi avashyak hai.. 

Moksh : Parantu Pitashri.. Maata ke paas samay nahi hai.. Unka saara samay Nanishree ke sang hi bitaati hain.. 

Malhar : Putra.. Tumhari Maata aur Nanishree ke prem ko samajna tumhare liye anivaarya hai.. 


🤣🤣🤣

Edited by rekha_crm - 3 years ago
Jsmp21 thumbnail
Anniversary 4 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 3 years ago

Atharv aur Malhar Ka sanwaad

A: Adhirakshak oh Adhirakshak(Hawaldar) tatkal apane kash se bahar aayiye.

M: Dust Manishya tum hame lalakar rahe ho. tumhe gyat hein na mein tera pita hein...

Bapat Ka pita Nagar Rane.

A: Aap BHI na Adhirakshak ji vyarth hi hampar krodhit ho rahe hein. Apitu ham aapake liye Ek  bhet leke Aaye hein.

M: Dusta Manishya tumhare jar shadyantra se ham avagat hein...Tanik hi bata do tumhara udista kya hein.

A: Hey priy Adhirakshak Apani utkantha pe thoda Sayyam Rakhiye...aapako kuchi hi kshna gyat ho Jayega aapake liye kaunsi amulya bhet ham leke Aaye hein.

M: Dusta Manishya tum par ham vishwas Nahi Kar sakate...shighrah batado tumhari Abhilash kya hein?

A: Aapako hampar Tanik hi vishwas Nahi to ham Bhi Nahi batayenge ki hamari Abhilash kya hein?

M: Hamare Pas etana samay Nahi ki tumhare yeh vyath  bato me apana amulya samay vyarth gamau.

A: Hey Adhiraksha aap jab krodhit hote hein to hamako bohot hi prasannata Hoti hein...Krodh mein aap bohot hi manmohak lagate ho.

M: he Drusta tum hamara samay vyarth Kar rahe ho.Ab hame aapaki koi BHI bat aur sunani Nahi hein...Hame kayi atimahavat ke Karya sampanna karane .Savadhan agar tumane punashya es prakar hamara samay vyarth karane ki chests ki to hamare Krodh Ka bhaijan Hona padega.

A:Hey Adhiraksh Hey Bandhu Aapka yeh krodhit rchabi  kitani Manmohok hein...Aapaka vyaktimatva hi etana manmohak hein..Sabh aapako dekhakar aapaki aur akarshit ho Jaye hein...esame hamari ginati bhi hoti hein...ham aaapko aise swarup mein dekhana chahate the to aapako Yaha aane me liye pukar liya...etane Sundar Buddhiman aur shalin Manishya ko jhutalakar aapaki paheli patni merew Jaise Dusta ke sath kaise palayan Kar sakati hein.

M: Dusta Manishya hamare Dukhon par Harshulhasit ho rahe ho? tumse vartalap karana yane apana samay vyarth fasana hein...Ham tatkal hi Yaha se hamare kaksha  prastan Kar rahe hein.

A: Hey Badhi ham aapase snap Sneha karate hein...aise hamare sneh ko apamanit na kariye...ham aapake bade prashansak hein.

M: Dust tum koi yuvati ho Jo aisi batein hamase Kar rahe ho.

A: Dekhiye aap punashya hamare upar krodhit ho Gaye...Ham aapake ESI chavi ke bade prashansak hein.

M: Dust tum Ek hi varta punha punha karake hamako krodhit Kar rahe ho...ab mein koi tumase varta Nahi karunga...ham Yaha se prastan Kar rahe hein.

( Aur Malhar vahase prastan karate hein)

A:  hey hamare pujya pitashree hame aapako kasta  dene mein bohot aanad aata hein...aaj hamara din aapake darashan se sukhamay ho Gaya hein.

rekha_crm thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 3
Posted: 3 years ago

Athi uttam Priya Jiye... 👏

rekha_crm thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 3
Posted: 3 years ago

Aarya... Suryoday ka samay ho gaya... Nidra se jaagiye.. 

(Malhar pulls her down and begins nuzzling) 

Aarya.. Aap kripya mujhe jaane den...Maine apne Kesh abhi sajaaye hain... 

Priye... In keshon ki sughand mujhe tumhari ore aakarshit kar rahi hain.. 

(he takes the long strands of hair and inhales the scent) 

Aarya... Aapke karan ab Mujhe apne Kesh punah sajane honge.. 

Priye... Tumhari icha ho toh mai saja dun, tumhare Kesh aur tumhe bhi...? 

(Kalyani was about to say something when Anupriya barges into their room) 

Putri Kalyani... 

(Kalyani gets up quickly) 

Pranam Mata

Putri Kalyani, Raajmata humari upasthithi chahti hain Aangan me.. 

Avashya Mata... Aap prasthan kijiye mai turant aati hun.. 

(Anupriya leaves) 

Aarya agar Mata ne dekh liya hota toh...? 

Tumhari Mata ko apne putri ke kaksh me pravesh karne se pehle anumati leni chahiye..

Unke hastakshep ne mujhe pratahkaal hi krodhit kar diya.. 

Apni Mata ko samjha dijiye Devi Kalyani anyatha unhe karaavaas me bandh karwaana anivaarya hoga.. 

Priyapriyu thumbnail
Group Promotion 6 Thumbnail Anniversary 4 Thumbnail
Posted: 3 years ago

Apratim 👍🏼 


KalMa’s Shudhh Hindi Romance 😆


Edited by Priyapriyu - 3 years ago