Mythology Fun in Swara Niwas 🤴👸 Scene Index updated on pg 1 - Page 5

Created

Last reply

Replies

95

Views

4245

Users

4

Likes

151

Frequent Posters

Kalma18 thumbnail
Anniversary 4 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 3 years ago

Originally posted by: rekha_crm

Suswagatam Priya Sakhiyon.. 


Devi Anupriya ke liye sandesh bhejthe hain Sriman Atharv.. 


(Kabootar aakar Anupriya ke kandhe pe baittha hai. Uske pairon me ek chota sa patra bandha hai..Anupriya reads it) 


Devi Anupriya, 

Saadar Pranam !! 

Mai aapko soochit karna chahta hun ki mere samaksh aapke Putri ke apraadh ka pramaan hai. 

Usne jo apraadh kiya hai, uska gyaat hai mujhe. 

Apraadhi hai aapki Putri !!! 

Hatya ki hai usne !!! 

Vyarth vichar na kijiye Devi Anupriya. Mai swayam kehta hun mere sang aisa kya pramaan hai.

Aapki Putri ka vahaan aur vahaan ke bheetar uss abhagi manushya ka mrit shareer paya gaya hai. 

Kal Pratahkaal ye pramaan sheher ke Aayukt ke samaksh pohonch jayenge. 

Aapki Putri ko dand avashya prapt hoga.. 

Apne Putri ki raksha nahi kar payengi aap.. 


Sadaiv Aapka, 

Shubhchintak Nahi. 


(Anupriya is stunned, sweating, thinking who could this be) 


Rekha bhagini...Maharshay Atharv toh humara pyaara hain 😅 Maate Anupriya ke saath uchit hi huwa..


Jinke masthishk kaali ho woh agar apne putriyon ko silha dena prarambh kare toh yahi hoga 🤣😂 abb Maharshay Atharv ka patra tandav karega aur Anupriya maate Nritya karengi 😅🤣😂


Adhbut sannivesh Rekha bhagini 😘❤️

Jsmp21 thumbnail
Anniversary 4 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 3 years ago

Bharatiy Mach ke Tin sadasya aur Mahashay Seheban ki bhet Ka prasang.

Dvitiy  Charan

(Tino Sakhi abhi Mahashay seheban aur Kumari Reem ke nikat Jaise Ka rahe the unake hruday ki dhadkan adhika Adhik badha rahi thi ..takshan Kumari Reem ki Samjhakar se bulawa aane ke Karan web waha se chali gayi..Ab sirf Mahashay seheban waha ekal hi  the atah tino sakhiyan Ek vichtra bhay se aswast ho Gaye..we agresar hone ke liye bhaybhit ho rahi thi..Kuch samay Paschat Mahashay seheban ki drusti un tino pe pad gayi...tino Mahashay ko dekhakar stabha hoke khati thi...Mahashay seheban  ne Manmohask hasta dekar in tino ki pukara..

S: Aap tino waha kyo khadi ho?? Mere nikat aayiye...bhaybheet na hoiye...Ham koi vyaghra Nahi ki aapako Graham karenge.

Rekha: Mahashay Aapako sadar pranam karate hein...Aap pane Karya me etane Mahan the esaliye usame badha na dalana Yahi hamako Uchit laga.

S: Esame badha dalaneka koi prashna Nahi aata hein...Ham pratidin koi na koi Kary karate rehete hein..to Kuch kshan aapase vartalap karane se hamare Kary mein koi vyaktay nahi aayega...Apati aap Jaise Pradhansakon ke Karan aaj ham es stiti mein aa Gaye hein  haha samasya jagat Ka sneh aur Salman hame pray huwa hein ..Aapase vartalap karana yeh hamara saubhagya hein.

M: Aap Jaise Mahan vyakti Ka prashansak Hona hamare liye garv ki bat hein mahoday..Aapaki kirti hamane bohot suni thi par aaj aapake pratyaksh darashan ho Gaye ham tino ki bohot Prasannata huwi hein 

S: Devi aap vyarth hi hamari etani prashansa Kar rahi ho...Ham tto sadharan Manishya hein Ek sarsamanya Manishya ke Bari apana Jeevan vyatit karana chahata hein apane Pariwar,Mitra aur Pradhansakon ke sath.

R: Mahoday esaliye shayad aap hamare hruday ko etana bhate ho...Aap ko Kabhi Ek Abhineta ke nazar se ham be Dekha hi Nahi...Aapaka abhinay etana parinam karak hein Jaise aap Malhar nam ke Patra Ka Abhinay  na karake unaka vastav mein Jeevan vyatit Kar rahe hein aisi ham sabako anubhooti Hoti hein...Ham aapako apana ek ghanishta Mitra ke bhati apana manage hein.

S: Yeh aapaka mere prati Sneha dekhakar ham gadgat huwe hein..mere Pas koi shabd hi shesh Nahi rahe...mein aapaka kis prakar dhanyad Karu..

( Kumari Mini Mahoday Seheban ki taraf dekhakar na Jane kyo has rahi thi...Yah dekhakar seheban unase vartalap karane large.)

S: Devi aap hame dekhakar aise kyo has rahe ho...kya aap hamako apana parichay Nahi denge.

M: Ki Mahashay Mera Nam Kalyani hein.

S: Kalyani..Atisundar...MERI BHI Ek Kalyani hein Jo aap Jaise hi pyari hein..

R: Shamaswa Mahoday es balika Kam nam Kalyani Nahi mini hein..lekin aap ko dekhakar yeh aapana  chitta kho baithi hein...Hamesha ham sabako Malhar ke sang Kalyani hi dikhati hein to yeh Kumari apana vastav nam bhul gayi...yeh hamari Sakhi Mini hein...Yeh aapako milane ke liye khas due Pradesh se aayi hein..aapase milane ki sabase Jada kamana enako hi thi...ham dono enaka sath de rahe hein.

M: Bhagini Rekha aap yeh kya bol rahi hein..Hanse Jada Mahashay ki bhet ki aap kamana Kar rahi thi...Aap yeh aarap mere mathepe kyo had rahi ho?

S: hey Deviyan yeh aap Dino kya vartalap Kar rahi ho yeh hamako samajh nahi Raha hein.

P: Mahoday yeh Dono hat samay ekdusaron ke sath aise hi aapas mein vartalap karati reheti hein...yeh navitam bat Nahi hein.

Ha mein aapako hamara parichay deti hun..Hamara nam Priya hein.

S: Priya...Atisundar..Aapaka nam aapaki hi Tarah Sundar hein.

P: Sundar...Hey Bhagawan muze apane Kano pe vishwas nahi ho Raha aapane muze Sundar Kaha.

S: Ha ha Devi aap hein ho hi etani Sundar etani Sushil...Woh aangla bhasha mein cutie karake sambodhate hein.

R: ( Man me )Devi Priya aapako Mahashay be Cutie Kaha..ham par Kabhi aisi krupa Nahi hogi.

S: Aapaka vyaktitva muze bohotahi prabhavshali lag Raha hein...aapake mukha se pratit hota hein ki aap bohot hi Gyani yuvati hein...Aapake buddhi Ka tej aapake mukh par  hi pratit hota hein.

R: Mahashay aap hamari vyar hi prashansa Kar rahe ho..fir bhi aapaka ham aabhar manage hein.

S: Devi aap tino  yaha Kuch kshan hamari pratiksha kariye thoda khanpan kariye..ham Kuch samay mein aapase punha bhet karate  hein...Hamare chitrikaran Ka samay ho Raha hein..

M: Avashya mohaday...Ham aapaki Yaha pratiksha karenge 

S: Ham aate hein Kuch Kahani pcshat aapase vartalap karane.

Jsmp21 thumbnail
Anniversary 4 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 3 years ago

Originally posted by: rekha_crm

Priya /Jiya mera doubt clear karo.. 

Not your well wisher ko Hindi me kaise likhte hain.. 

Shibhachintak kahete hein.

Meine apana agala chapter update Kiya hein padhio

Jsmp21 thumbnail
Anniversary 4 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 3 years ago

Originally posted by: rekha_crm

Suswagatam Priya Sakhiyon.. 


Devi Anupriya ke liye sandesh bhejthe hain Sriman Atharv.. 


(Kabootar aakar Anupriya ke kandhe pe baittha hai. Uske pairon me ek chota sa patra bandha hai..Anupriya reads it) 


Devi Anupriya, 

Saadar Pranam !! 

Mai aapko soochit karna chahta hun ki mere samaksh aapke Putri ke apraadh ka pramaan hai. 

Usne jo apraadh kiya hai, uska gyaat hai mujhe. 

Apraadhi hai aapki Putri !!! 

Hatya ki hai usne !!! 

Vyarth vichar na kijiye Devi Anupriya. Mai swayam kehta hun mere sang aisa kya pramaan hai.

Aapki Putri ka vahaan aur vahaan ke bheetar uss abhagi manushya ka mrit shareer paya gaya hai. 

Kal Pratahkaal ye pramaan sheher ke Aayukt ke samaksh pohonch jayenge. 

Aapki Putri ko dand avashya prapt hoga.. 

Apne Putri ki raksha nahi kar payengi aap.. 


Sadaiv Aapka, 

Shubhchintak Nahi. 


(Anupriya is stunned, sweating, thinking who could this be) 

Apratim Bhagini Rekha...tumako to script writers Ka job dena Chahiye...THR ke writers useless hein.

Jsmp21 thumbnail
Anniversary 4 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 3 years ago

Originally posted by: Priyapriyu

 

Adbhut sakhi Jiya 👍🏼

Aapne to apne lekhan se hume gad gad kar diya...❤️❤️❤️❤️


 kadachit hum murchhit ho to humari dono sakhiyan  hume sambhal lengi....


Aapako sambhalne ke liye Dono sakhiyon ke sath Mahashay seheban BHI hein...Woh BHI aapaka Pura khayal rakhenge..

Aapake es Sneha ke liye bohot bohot dhanyawad sakhi🤗

Jsmp21 thumbnail
Anniversary 4 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 3 years ago

Originally posted by: Kalma18


Meri pyaari jyeshth bhagini Jiya, Aapki likith yeh sannivesh ko meri hridh purvak pranaam


Yah kahini ne meri hruday pe vijay prapth karliya hain ❤️❤️❤️ maharshay Sehban se bhet karne se zyada aapki kahani ka ras grahan se mann ko santhushti prath huwi


Jiya bhagini aapne aaj mere din main mithas bhar di...main aapko saadar pranaam  karna chahti hoon...aapne mujhe aapki kahani main shaamil kiya...aapki varnan, katha saare aprathim hai ❤️❤️❤️


Aapki jitna prashamsa kare utni kamm hain... Dhanyawad jiya bhagini, aapke wajhese mere mukh par mandhahaas aagaya 

Anuj aapake es snehpurv bhavse h gadbad. ho Gaye...Aapaki Jaise Sakhi hamare Jivan mein aana yeh Mera mein saubhagya samajhdari Hun..aapake snehake liye sahruday dhanyawad.🤗

rekha_crm thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 3
Posted: 3 years ago

Originally posted by: Jsmp21

Shibhachintak kahete hein.

Meine apana agala chapter update Kiya hein padhio


Jiya Bhagini... Aparam paar hai aapka lekhan... 

Adbhud... 

Hamare drishti ke Saamne hame sab vastavik roop me dikhayi diya.. 

👏👏



@bold....shubhchintak ka opposite kya hai.. 

rekha_crm thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 3
Posted: 3 years ago

Originally posted by: Jsmp21

Apratim Bhagini Rekha...tumako to script writers Ka job dena Chahiye...THR ke writers useless hein.


Dhanyavaad Priya sakhi.. 


Pheko unhe bahar, aur hum sab milke acha script likhte hain hamare show ke liye.. 

😆😆

Jsmp21 thumbnail
Anniversary 4 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 3 years ago

Originally posted by: rekha_crm


Jiya Bhagini... Aparam paar hai aapka lekhan... 

Adbhud... 

Hamare drishti ke Saamne hame sab vastavik roop me dikhayi diya.. 

👏👏



@bold....shubhchintak ka opposite kya hai.. 

Shibhachintak ke opposite Ahitkarak,Nistur,Dust.

Jsmp21 thumbnail
Anniversary 4 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 3 years ago

Originally posted by: Jsmp21

Shibhachintak ke opposite Ahitkarak,Nistur,Dust.

aapake prashansa se ham gadgat ho Gaye.