Samaina SS - Nazariya - Shutting Down Note- Page 9

sakshi.ekansh thumbnail
Posted: 5 years ago

Hello People 🤗

The discrepancies in point of views is the sole reason of differences. This is about point of views of all the people who have loved Sameer in their own unique ways.



************************************


************************************
*Index*


1. UnboxingFaded Memories

2. Letter-I

3. Letter- II

4. The Parental Love

5.  Letter -III

************************************


Please do provide your reviews. I shall be waiting

Edited by sakshi.ekansh - 4 years ago

Created

Last reply

Replies

64

Views

11281

Users

23

Likes

168

Frequent Posters

sakshi.ekansh thumbnail
Posted: 5 years ago

 


Part-1

Unboxing Faded Memories

Vishakha was packing clothes for Rohan.. He was adamant to attend his brother's wedding. She was furious . Sameer had called but it wasn't for her. He had called to invite Rohan and Deepika for the wedding. One call from him and Rohan was all set to go. 
She was hurt not because Rohan was going to be there with Sameer but because Sameer did not mention even once about his desire for her to be there with him on his biggest day. 
Vishakha- Sameer to Sameer , uski us Naina ne bhi ek baar bhi nahi socha. Chal pade hain dono shadi karne. To karo. Mujhe kya.. Mujhe kyun bura lag raha hai.

Rohan was observing his mother and heard her muttering. He held her hands and made her sit .

Vishakha- Rohan kya hai.. Bahut kaam hai . Hato.. Jaane do mujhe.

Rohan- Mumma ek baat batao. Sameer ki shadi me na jaane ka decision aapka hai na. To phir aap itne upset kyun ho ?

Vishakha- Nahi to. Mai upset kyun hungi.

Rohan smiles.

Rohan- Shakal dekhi hai aapne apni. Ab batao kya pareshan kar raha hai aapko.

Vishakha- Ye jo ladka hai na. Jise tum apna bhai kehte ho. Ye mujhse dur chala gaya hai Us ladki ki wajah se.Aur dekhna ek din ye sabse door chala jaayega aur phir woh chalaak ladki iska saath chhod degi. Mai Sameer ko us dard se bachana chaahti hoon. Mai nahi chaahti ki woh phir se...

Rohan - Aur aapko aisa kyun lagta hai ki bhabhi bhai ka saath chhod dengi?

Vishakha- Paisa beta.. Paisa aapke paas hai to sab aapke saath hain. Paisa nahi to kucch nahi.

Rohan- Ye baat aap bol rahe ho mummy? Paise se aur khoon se bhi bada to dil ka rishta hota hai. Aur ye baat aapse behtar kaun samajhta hai. Aapka aur mera na khoon ka rishta hai na paise ka. par kya aap aur mai ek dusre ko kabhi bhi mushkil waqt me chhod sakte hain?

She smiled and kept her hand on his head.

Vishakha- Kabhi nahi beta par humari baat alag hai. Sameer to us ladki ke liye pata nahi kyun puri duniya se lad pada hai. Aur woh ladki..

Cutting it in between.

Rohan- Baat alag kaise hui? Baat to dil ki hai na? Aapne mujhe tab sambhala jab mai akela pad gaya tha ,jab mujhe pyaar ki sabse zyada zarurat thi aur aapne mere dil me apni ek kabhi na mitne waali jagah banayi. Aur aaj agar koi mujhe aur aapko alag karne ki baat kahe to mai aapke liye puri duniya se bhi lad sakta hoon. Waise hi Naina bhabhi ne bhai ko tab sambhala jab woh akele the, jab unko pyaar chahiye tha jo woh shayad aapme dhund rahe the. Aur jab unko woh pyaar unse mila to bhabhi ne bhai ki zindagi me ek aisi jagah banayi jo shayad kabhi koi aur nahi bana sakta bas isiliye bhai bhi bhabhi ke liye puri duniya se ladne ke liye ready ho gaye. Isme woh galat kaise hue?

Vishakha was lost in his words. He was making sense but somewhere she wasn't convinced. Deep down her heart she knew Naina loves her son but she wasn't ready to trust her.

Rohan- Aur baat paise ki kaise hui mumma? Bhai jisne sab kucch chhod diya hai aur bhabhi jo ye baat jaanti hai phir bhi bhai se shadi kar rahi hai. isse yahi to saabit hota hai na ki unka pyaar paise se kayi upar hai. Aap ek baar ke liye bhool jaao ki Sameer bhai ne aapse bhabhi ke liye ladayi ki ya aapki baat nahi maani aur Naina bhabhi ko ek aam ladki ki tarah dekho aur phir analysis karo ki woh kisi bhi maayne me kam hain bhai ke liye?

Sameer's words rang in her mind " Mummy aap apni aankho se shaq ki patti hata ke dekho. aapko bhi naina me koi kami nahi nazar aayegi"

Rohan- Woh Maths ke sir kehte hain na. Solution dhundne se pehle ye analysis karo ki actual problem kya hai tabhi sahi solution niklega.

He left his thoughtful mother behind. She wasnt yet sure what to believe and what not to.

Doorbell rang. She went to open and found a postman standing there with a letter for her.

She opened it and found it was a letter from Naina.

Dear Mummy ji,

Aapki beti 
Naina

She read the last words but was furious so she closed the envelope and kept it in her drawer.

She din't want anything to do with the girl who was the reason of the differences between her and her son.

She was missing her father a lot  today. If he would have been there he would definitely have guided her and Sameer as well. 

She went to the store where some of her father's belongings were kept in a trunk which she had never opened because it would have broken her. Her father was always her hero and losing him was not easily acceptable. That day she gathered some courage and opened the box.  It had his specs case, his and her photograph , his shawl and her mother's saaree, Sameer's and his photograph and a diary.

She opened the diary and two envelopes came out falling from it. 

Names written on it were

To, 
My Daughter Vishakha

And another

To,
My Daughter Naina

Tears were brimming out of her eyes when she finally was sure that his father was aware of Naina and Sameer.  And addressing her as his daughter was a proof that he was fond of her.  
He always use to mention "Meri sirf ek hi beti hai" and here Naina had managed to acquire a space in his heart as well.

She opened the letter which was addressed to her and started to read. 

******* 
Next part in the next post. Please do let me know how do you feel about this?

Edited by sakshi.ekansh - 5 years ago
sakshi.ekansh thumbnail
Posted: 5 years ago



Part - 2

Letter-I




She opened the letter which one was for her and started to read.

Dear Vishakha,

Mujhe umeed hai beta tumhe ye letter waqt se pehle ya kam se kam waqt pe mil jaaye.Bahut zyada der nahi hui ho. 
Aajkal kucch theek nahi lagta, aisa lagta hai jaise waqt haath se nikla ja raha hai. Bahut kucch bacha hai is zindagi me karne ke liye par aisa lagta hai mere paas zyada waqt nahi hai. Aise me mujhe jispe sabse zyada bharosa  hai use ek zimmedari dena chahta hoon. 
Mai tumhe apni zindagi ki sabse anmol cheez saunp raha hoo . Mera Sameer.. Haan use janm tumne diya hai par beta woh mera hai. Har maayne me.

Woh baar baar mujhe kehta hai. Naanu aap meri zindagi ho. Aap mere sab kucch ho. Aapke siwa mera koi nahi hai. Par woh kehte hain na taali ek haath se nahi bajti. Mera Sameer woh heera hai jisko agar bahar se dekho to koyale ki tarah kaala dikhega par agar tarashne jaao to uski chamak ka mukabla is duniya me koi nahi kar sakta. Usko jo bhi door se ya upar se dekhta hai use woh ek bigda hua ameer naana ka ameerzada dikhayi deta hai par agar koi uske dil me jhaanke to sone ki khaan hai uska dil. Jis dil ko kisi paise , kisi aisho aaram ki nahi bas sirf pyaar ki chaahat hai. Aap use thoda sa pyaar do aur woh aapko apni duniya bana lega. 
Mai maanta hoon ki apne bacche ke baare me koi bhi uski Ma ko nahi samjha sakta. Par kabhi kabhi hum apne baccho ko hi samajhne me bhool kar dete hain. 
Aaj tumhare aur Sameer ke beech me dooriyaan hain. Iska ilzaam hum sirf Sameer pe to nahi daal sakte na? 
Tum kehti ho ki Sameer bahut ziddi hai par zid tumhari bhi to kam nahi hai na. Kabhi  badhappan bhi to nahi dikhaya na tumne. Tumne Sameer se maafi ki umeed to ki par na to usse maafi maangi aur na hi use maaf kiya. 
Tum jaanti ho jab bhi Sameer hostel jaata tha to woh apne saath tumhari koi na koi cheez leke jaata tha jisse use tumhari kami na mehsus ho. Par mujhe nahi lagta hai ki tumhare hote hue usko kabhi bhi tumhari kami mehsus honi chahiye thi. Woh kami tumhare uske paas hone ki nahi balki uske dil ke paas na hone ki thi. Agar na hoti to woh kabhi mujhme apni ma na dhundta.

Sameer zidd karta hoga beta par usne mujhse kabhi zidd nahi ki. Aur agar kabhi ki  bhi to maine bas pyaar se uske sar pe haath fera aur uski baat suni. Aur sach kahun to uski har zidd me mujhe uske dil ke khalipan ko bharne ki nayi koshish dikhi. 

Chaahe woh bike ke liye zidd ho ya Naina ko paane ke liye.

Naina.. Ye naam shayad ab tak tumhe pata chala hoga ya nahi mujhe nahi pata. Par agar nahi pata to mai bata deta hoon. Naina us Roshni ka naam hai jisne humare Sameer ki zindagi se andhera door kiya. Naina Sameer ke liye woh prerna hai jo tumhari ma mere liye thi. Naina woh naam hai jiska naam sunte hi humare Sameer ki aankhein chamak jaati hai. Woh ruthi hui hoti hai to Sameer ki bhook pyaas mit jaati hai. Woh maan jaati hai to Sameer ki aankho me alag hi chamak laut aati hai.

Naina woh ladki hai jisne Sameer ko waise samjha jaisa woh hai. Aur usse waise hi pyaar kiya. Usse kabhi badalna nahi chaha.

Mai Naina se school ke ek function me mila tha. Tab mai usse nahi jaanta tha. Yab shayad mujhe pata nahi tha ki ye chhoti si ladki kitne bade bade kaam kar sakti hai.

Phir ek din mera BP low hua aur mai market me gir gaya. Thoda thoda hosh aaya to mai gaadi me tha . Naina mera sar sehla rahi thi, waise hi jaise agar tum mere paas hoti toh tum sehlati. Jab doctor ne usse mera aur uska rishta puccha to usne kaha "Beti jaisi hi samajh lijiye". Tab mujhe usme tumhari jhalak dikhi. Baad me Sameer ne bataya ki woh apne competition ke liye late ho gayi thi aur usko is baat ki saza bhi mili school me. Par usne uff tak nahi ki. Usne mujhe soch me daal diya. Kisi ajnabee ke liye jiske dil me itni parwaah hai woh apno ke liye kya kar guzar jaayegi. 

Kehte hain na pyaar aapko badal deta hai. Sameer bhi badla. Par Naina ke kehne pe nahi, uske pyaar ke khaatir. Sameer ne pareshaniyo se peeth dikha ke bhaagna chhod diya. Sameer ne apni galtiyo ki zimmedari lena shuru kiya. Usne zindagi me apno ki ehemiyat samajhni shuru ki. 
Humara Sameer ab bada ho gaya. Aur Naina ka usme bahut bada haath hai.

Tum shayad jaanti nahi ki Sameer ne Naina ke saath kya kiya tha. Ek shart ke liye usne uska dil puri tarah se tod diya tha. Jhoota pyaar ka natak kiya tha. Par Naina ke sacche pyaar ne Sameer aur usko soch ko puri tarah badal diya. Ya mai kahunga ki asal Sameer duniya ke saamne aaya. Jisne uske dil me pyaar jaisi pavitra jyoti ko jalaya. Aur apni galati ko sudharne ki himmat dilayi. Jisse humara Sameer ladna seekh gaya aur jeetna bhi. Mai sochta hoon ki agar koi ladki Sameer ki is harkat ke baad bhi use dusra mauka de sakti hai to uska dil kitna bada hoga. Woh kitni selfless hogi aur uske dil me kitna saara pyaar hoga.

Naina woh ladki hai jo Sameer ki zindagi me usse unchaiyo tak pahunchne ke prerna degi. Sameer Naina ke liye kucch bhi kar guzar jaayega aur Naina uske isi pyaar se use raah dikhayegi. Chaahe zindagi ho ya parivaar. Naina Sameer ke jeevan me woh roshni banke aayegi jisse Sameer ko apni khubiyo ka ehsaas hoga. Woh kaamyabi laayegi jiska woh haqdaar hoga aur saath hi saath woh  thehraav laayegi jiske liye woh bachpan se tarsa hai. 
Naina har haal me Sameer ko ek behtar insaan banayegi jaise aajtak banaya hai.

Pehle pehle mujhe bhi laga ki kahin ye kacchi umra ka infactuation to nahi par phir in dono ka bond dekhke realize hua ki  infactuation me badlaav zabardasti hote hain aur sacche pyaar me bas ho jaate hain aur pata bhi nahi chalta.

Sabse zyada khushi to is baat ki hai ki Naina bahut acchi ladki hai. Ab mujhe kucch bhi ho jaaye par ek bharosa hai mujhe , pata nahi kyun ki Naina Sameer ko sambhal legi.  Rishton ko sambhal legi. Toofan se ladne ki ek ajeeb si taakat mehsus ki hai maine usme . Agar woh Sameer ke sath hai to  mujhe uski chinta nahi hogi kabhi.

Mai jaanta hoon tumhare mann me hazaar sawaal honge. Aise kaise bharosa kar loon kisi bhi ladki pe? Aise kaise koi bhi meri bahu ban jaayegi? Kaise pata woh sahi hai ya galat? 
Iske liye mai tumse kahunga ki tum Naina ka rang roop aur gun sab ek baar ke liye side pe rakh ke uska humare Sameer le liye pyaar parakhna. Ye rang roop gun sab temperory hai. Agar is jeevan me kucch bhi permanent hai to woh pyaar hai.

Baaki aur tumse kya kahun. Tum apni baaki zimmedariyan acche se nibhaati aayi ho aur mujhe pata hai aage bhi nibhati aaogi. Bas Sameer ka aur apna dhyan rakhna. Ek dusre ki khushi ka khayal rakhna. Naina ne jaise mere mann me jagah banayi hai , mujhe pata hai agar ek mauka tum use dogi to woh tumhare mann me bhi jagah bana legi.

Aasha karta hoon mere sabhi bacche khush ho aur hamesha khush rahein. 

With Love
Papa

Tears weren't stopping for her. She felt as if her father was in front of her and he has just disappeared. Something in her has started to change.

Vishakha- He was so fond of Naina. Par kyun. Mai usme woh sab nahi dekh pa rahi jo mere papa ko dikha aur mere bete ko dikhta hai.

She got reminded of the unread letter of Naina and recalled her father's advise to give her a chance.

She thought to go ahead reading what she has to say . She went back to her room and took out the letter and started reading.

Dear Mummy ji

...

******
This was a lil tough to write. Please do leave your reviews. 


Edited by sakshi.ekansh - 5 years ago
ratnarao12 thumbnail
Anniversary 6 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 5 years ago
It's beautiful 
Waiting to read Naina's letter 
Snehapandey12 thumbnail
Anniversary 5 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 5 years ago
Awesome ss  olplea go ahead and update please it was just amazing😉
munchkinland thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 5 years ago
This was one lovely piece of writing
a guiding light for vishakha in the form of her father's words
waiting to see what naina has written for her
as well as what nanu has written to naina
Rph09 thumbnail
Group Promotion 6 Thumbnail Anniversary 5 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 5 years ago
Wow! The letter was so heart touching! And rohan & V convo was awesome. How beautifully rohan managed to convince V that she should think in other perspective as well. Loved it!
Anjali33 thumbnail
Anniversary 7 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 4
Posted: 5 years ago
This was a really good start
Nanu's letter was heart touching and had me in tears
Waiting eagerly for Naina's letter now
gugul thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 5 years ago
It's wonderful...wish we had something like this in our serial .. very nice! Now we would love to read Naina's letter...! Please update soon...wait waiting...
SixteenAgain thumbnail
Anniversary 6 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 5
Posted: 5 years ago
Hey, I loved this so much! 
First of all the concept is awesome and your writing is also so good! All the emotions are expressed so well and feel so right! 

The conversation between Rohan and Vishakha is also too good. My greatest disconnect with Vishakha has always been about comparing the type of mother she is to Rohan and who she is with Sameer. Which one is the real Vishakha? It was great that Rohan pointed out some many things worth pondering on.

And Nanu's letter is just so emotional. Brought tears to my eyes. He truly loved Sameer unconditionally. 

Beautiful piece of writing.. and eagerly waiting to read Naina's letter now!