Part 3
Letter - II
She thought to go ahead reading what she has to say . She went back to her room and took out the letter and started reading.
Dear Mummy ji ,
Namaste. Sameer theek hain aur aapko bahut yaad karta hai. Kabhi kehta nahi hai par mai samajh jaati hoon. Humara sapna poora hone ja raha hai. Humari shaadi ho rahi hai. Jiske liye Sameer ne apno tak se ladayi kar li woh ghadi ab paas aa rahi hai par pata nahi kyun mujhe uski aankhon me ek maayusi dikhti hai. ek intezaar dikhta hai.
Aapko pata hai jab humare baare me kisi ko pata nahi tha tab woh mujhse kehta tha ki Naina bas hume mummy ka aashirwaad mil jaaye baaki mujhe kisi ki nahi padi. Waise to jab aap apni zindagi ki nayi shuruwaat karne ja rahe ho to sab bado ka aashirwaad zaruri hai par Maa to sabse upar hoti hai na?
Aapko pata hai Maine kabhi apni Ma ko nahi dekha aur unki kami mujhe meri Chachiji ne kabhi mehsus nahi hone di par kucch dino pehle meri Chachiji mujhse ruth gayin thi. Humari shaadi ke khilaaf ho gayi thi. Tab Sameer ne unse baat karte waqt ek baat boli thi jisko bolte hue uski aankhein bhar aayi thi aur sunke meri bhi. Usne kaha tha "Aisi shaadi ka kya faayda jisme Maa ka aashirwaad na ho" . Sahi hi to hai na mummy ji. Maa ke aashirwaad ke bina to koi bhi kaam adhura hota hai aur phir ye to humari shaadi hai..
Mujhe pata hai aap mujhse kisi baat pe naraaz hain. Aur aapka naaraz hona banta bhi hai. Agar Sameer kisi aur ke liye mujhse ladaayi karega to mai bhi us insaan se naraaz hungi. Mujhe bhi aisa lagega ki woh insaan humare beech aa raha hai. Ye swabhavik hai. Par mummy ji meri aapse request hai ki aap meri narazgi ki saza Sameer ko mat dijiye. Woh na, bas dikhata aise hai ki jaise woh bahut strong hai par aap to jaanti hai ki uska dil kitna komal hai. Woh aapko kabhi pyaar se nahi batayega nahi ki woh aapko kitna miss kar raha hai bas apni baat gusse me keh dega. Uske gusse me hi uski narazgi aur uska pyaar chhupa hota hai.
Aapko pata hai jaise woh is samay puri duniya se mere liye lad raha hai na waise hi woh aapke liye bhi ladta hai. Ek baar school me usne kucch ladko se ladaayi sirf isliye ki thi kyunki unhone aapke baare me kucch kaha tha. Woh maanega nahi par woh hai hi aisa. Apno se bhi lad jaata hai aur apno ke liye bhi. Jab Mamaji aur Taauji ne milke humari sagai todne ki koshish ki thi na aur hume ye baat pata nahi thi to woh mujhse bas yahi baat baar baar keh raha tha ki Naina ab meri mummy ki izzat ka sawaal hai, ab chaahe anjaam kucch bhi ho mai bardasht nahi karunga.
Sameer ek heere ki tarah hai mummy ji. Agar aap usko upar se dekhoge to aapko koyla ki tarah kaala nazar aaya par jab aap usko waastav me jaanoge to uski chamak ka koi mukaabla nahi hai..
*******
Vishakha was shocked to read the lines exactly portrayed by her father for her son.
*******
Uski acchayi, uska saaf dil, uski bado ke liye izzat, uska apno ke liye pyaar ye sab usko aapse hi mila hai. Aur Sameer ki is duniya me laane ke liye mai aapko jitni baar bhi thanks bolun kam hain.
Pata hai mummy ji jab bhi aap Ahmedabad aate ho na to uske chehre pe ek alag hi raunak hoti hai. Bade shaan se hum sab dosto ko batata hai "Pata hai meri mummy aayin hain" "Pata aaj meri mummy ne mere liye ye banaya" "Pata hai aaj maine mummy ko ye bataya to unhone kya kaha" "Dekho mere baal kitne masst lag rahe hain kyunki kal mummy ne meri champi ki"
Aur jab aap Delhi chale jaato ho to woh kai dino tak udaas rehta hai. par kehta kabhi kucch nahi hai.
Woh aapke saath bitaaye har lamhe ko bhi apne dil me samet ke rakhta hai mummy ji.
Waise to mai koi nahi hoti ek ma ko uske bete ke baare me batane waali par mujhe pata nahi kyun laga ki aapse ye saari baatein share karun. Humare Sameer ke baare me mai aisi baatein aur kisi se kar bhi to nahi sakti na.
Mujhe pata hai aapke liye Sameer ki khushi sabse zyada zaruri hai aur mera yakeen kijiye mere liye bhi. Mai Sameer ke saath chalna chaahti hoon, na uske aage aur na hi peeche. Agar woh ruke to uske saath rukna chaahti hoon aur agar woh bhaage to bhaagkar uska haath pakadna chaahti hoon. Ya agar galti se mai aage nikal jaaun to peeche mudkar uske paas wapas jana chaahti hoon . Uski tarrakki ka karan banna chaahti hoon usme rukawat nahi. Uske faislo me uska sath dena chaahti hoon. Agar kabhi woh dagmagaye to uska haath thaamna chaahti hoon aur agar kabhi mai dagmagaun to sambhalne ke liye uska haath pakadna chaahti hoon.
Waise to ye kaam bado ka hai par mai karne ki zurrat kar rahi hoon. Mai aapse haath jodkar aapke bete ka haath maangti hoon. Aap har maayne me Sameer ke liye sabse pehle hain isliye mera aapse pucchna zaruri hai. Sameer ko meri kitni zarurat hai mujhe nahi pata par mujhe jeene ke liye sirf uska saath chahiye.
Aap mujhse naaraz hai na mummy ji aapko pura haq hai aur apni baat aapke saamne rakhke aapko apni side samjhana aur manana meri zimmedari hai. Par jis ladke se hum dono hi duniya me sabse zyada pyaar karte hain kya uski khushi ke liye hum kucch samay ke liye aapki naraazgi aur meri maafi ko bhul nahi sakte ? Kyunki ye aap bhi jaanti hain aur mai bhi ki hum dono me se kisi ek ko chun-na Sameer ke liye kitna mushkil hai.
Mai aur Sameer aapki raah dekh rahe hain mummy ji.
Aapke intezaar me.
Aapki Beti
Naina
Something was changed in Vishakha after the letter. The girl who already has all the control on her son was asking for her permission to marry him. Something definitely changed within her.
**********************
To be continued.
Though i had updated the story on wattpad long back but i am sorry i couldnt get a chance to post it here.
Please do tell me how do you like it. Criticism is more than welcome.