Maa mujhe darr lagta hai bohot darr lagta hai
Sooraj ki roshni aag se lagti hai
Paani ki boondhein tezaabh si lagti hai
Maa hawa mein bhi zehar sa ghulaa lagta hai
Maan meraa sirf iss duniya se duur jaane ka karta hai
Nahi chaati aana iss roshni mein
Nahi chahti kuch khana peena...
Maa chupa le mujhe kahii...mujhe iss duniya se bohot darr lagta haii..
Maa yaad hai who mitii ki gudiyaa
Jo bachpan mein tooti thii..
Main yaad hai who khelonee..
Jo bachpan mein khoyee thee
Ajj mera dil bhi kuch ussi tarah tutaa haii
Aaj mera man bhi kuch usii tarah khoyaa hai
Maa chupa le mujhe kahii...mujhe iss duniya se bohot darr lagta haii...
Maa bachpan mein school teacher ki nazroon se darr lagta tha
Uss pados ke chacha se darr lagta tha
Uss nuked ke ladkon ki baton se darr lagta tha
Unn raah chal musafiroh ki nazroon se darr lagta thaa...
Abh is duniyaa se darr lagta haii
Bahar jaane se daar lagta haii
Maa chupa le mujhee kahi..mujhe iss duniya se darr lagta haii..
Maa yaad hai tujhe angaan mein chidiyaa si fudaktii thii
Har samay hasti main rehti thii
Tune mujhe phoolon sa palaa tha
Aakhir maine unn darindo ka kya bigada tha??
Kyun wohh iss tarah mujhe kuchal kar chale gayee
Kyun who bedard meri rohh ko machal kar chalee gayee
Maa chupa le mujhe kahii..mujhe iss duniya se darr lagta haii...
Maa tu kehti thi apni gudiyaa ko dulhan sii sajayegii
Apni iss gudiyaa ke jeevan ko khushiyoo se sajayegii
Maa kya who din abh zindagi phir kabhi nahi layegii??
Kya tere ghar phir kabhi baraat nahi aayegii??
Maa khoya hai jo maine kya phir kabhi na paungii??
Maa saans toh le rahi hoon..par kya phir kabhi jee paungii??
Maa chupa ke mujhe kahii..mujhe iss duniya se darr lagta haii
Haan iss duniyaa se darr lagta hai..
Darr lagta hai...