Ariya os puri hui adhuri kahaani

bloomie thumbnail
Visit Streak 365 0 Thumbnail Anniversary 10 Thumbnail + 8
Posted: 8 years ago
hi, i just wrote an os on ariya. do mahine se type kar rahi thi ab jaake khatam huaπŸ˜†  aur ek warning bahot lamba hai maine socha ki parts me deti hun lekin fior socha pata nahi kab time milega isliya sab saath me hi post kar rahi hu

One day ETF office:-

sab log conference room me shanti se apna kaam kar rahe hai kyunki arjun wahi baitha haina isliye.tabhi rathore comm. ke pass  meeting se waapis aata hai aur announce karta hai.

Rathore: team we have a case.

sab log uski taraf mudte hai

Rathore: Mumbai ke pass ek camping site se log gayab ho rahe hai ya fir ye kahu ki ladkiya gayab ho rahi. waha jaane waale groups ko koi kidnap kar raha hai aur do din baad uske ladke waapis aa jaate hai lekin ladkiya nahi un ladko ka kehana hai  koi unhe drug karke behosh karke ek andheri jagah me le jaate hai aur ek kamre me band karke rakhte hai unhe drugs dete hai aur do din baad unhe chod dete lekin tab tak wo us drug se addict ho jaate hai.hume pata lagana hai ki ye kaun karraha hai aur kyon karraha.

Sree: sir koi drug dealing gang lagta hai jo apna business badhane ke liye sabko drug addicts bana rahi hai.

Ayesha:lekin fir un ladkiyo ka kya ? unke baareme toh luch pata nahi chala na

Rathore nahi, isliye hume tourist bankar waha jaana hai aur pata karna IS THAT CLEAR?

Arjun ke ilwa sab: yes sir

tabhi sakshi : sameer agar hum waha tourist bankar jaayenge toh kya Arjun ke saath me Jaa ssakti hun?(as in uski biwi ya gf banke)

isse pehle ki rathore kuch kahe

Arjun: bilcul NAHI .Rathore ki taraf mudkar sternly : agar tumne aisa kiya toh mai nahi aanewaala yaad rakhna.

sakshi ka mood off ho jaata hai

Rathore:hum aisa kuch nahi karne wale hum waha ek college students ka group bankar jaayenge chuttiyon ke liye. aur chuttiyaan manayege jab tak unka dhyaan humpar nahi jaata toh sab log apni taiyariyaan shuru karo sree apne equipment achese lelena waha zyada signal nahi milega toh us hissab se

Sree: yes sir

Sab log apne apne kaam me jaate hai.

Next day sab log taiyar hokar milte hai

tab Rathore:Arjun ek baat batani hai

Arjun thoda surprise hota hai mv"rawte se arjun" : bolo

Rathore : hume shak hai ki ye sab sik ki gang karrahi

Arjun blast honewalaa hai usse pehle

Rathore : maine tumhe yeh kal isliye nahi batayi kyunki ye baat sure nahi aur main nahi chahta ki is baar bhi tumhare gusse ki wajah se woh humaare haath se nikal jaaye.pls apna dimaag shant rakho agar ye sachme sik ka kaam hai toh uske anth ki shuruat ho gayi hai pls kehkar uske kandhe par haath rakhta hai

Sree: Arjun sir

woh uski taraf dekhta hai

Sree: hum sab aapke saath hai

Arjun ek baar uski aankho me dekhta hai waha senior ka darr nahi respect aur duty ki sinceretiy in fact sab ussi state me hai woh sirf ek gehri saans lekar nod karta hai

 sab ek van me nikal jaate hai. waha pahunchte pahunchte dopahar ho jaati hai.woh jagah waake me bahut khubsurat hai use dekhkar

Sree:wow kitni khubsurat ahi yeh jagah!

Arjun: hum yaha picnic manane nahi case solve karne aaye hai sree zyada charachtar me mat ghuso. kehkar chala jaata hia

Chotu sree ka utra hua chehra dekhkar usse: are yaar chodna tu jaanta haina khadoos ko

Rathore: ok sab log suno ek tent me me aur Arjun rahenge ek me choree aur ek me tum teeno. ladkiyon ki taraf dekhkar

sab setup karne me shuru ho jaate Sree apne tent ke side me apne gadgets arrange karta hai aur chotu ... are woh toh khaane ka section banayega na toh ek kone me woh jama ho jaata hia.idhar ladkiyon ki tent me

Sakshi: ye picnic bhale na ho lekin me Arjun ko isse picnic banane par zaroor majbur karoongi mai bhi dekhti hun ki kab tak woh mujhse dur reh pata hia

Liza: Sakshi sambhalke kahi aisa na ho ki tumhari chaal tum par hi ulti pad jaaye

Sakshi: woh kuch nahi karega woh m,ujhse pyaar karta hai

Ayesha : toh phir kaha kyun nahi?

Sakshi kyunki woh sabke saamne accept karne se darta hai

Ayesha aur liza uska confidence dekhkar us bet wishes dete hai.

Shaam ho jaati hai sab bonfire karke baihte hai as usual chit chat ho rahi aur is baar toh bosses ki daanth toh nahi padegi toh mauka ka faiyda uthaya jaa raha hai . rathore aur ayesha beech beech me ankho ankho se baatein kar rahe hai sakshi Arjun ke peeche use baaton se bore kar rahi hai lekin Arjun ka dhyaan sirf ek hi cheez par hai apni sochme.

tab achanak liza : hey Specky tum apna guitar laaye hona toh bajate kyun nahi

Sree: miss lizard D'cruz mujhe sirf bajana aata hai gaana nahi.

LIza : UUU tumne mujhe lizard kaha tumhari toh...

Rathore :Liza relax abhi jhagada mat shuru karo. sree se: guitar le aao sree tum nahi toh kyaa hua yaha aur bhi kuch log hai jo gaa sakte hai

Sree: theek hai sir. woh guitar le aata hai.:toh sabse pehle kaun gayega?

Sakshi mv" acha mauka hai Arjun ko pataneka"  islyiye: me gaaungi

woh jaaker sree ke kaan me dhun bajane ko kehti hain

Sree mv" yeh sudharti kyun nahi ektoh Arjun sir waise bhi tension me hai aur isse apni setting ki padi hai"aur shurui karta hai

Sakshi gaana shuru karti hai

Yahin doobe din mere, yahin hote hai savere
Yahin marna aur jeena, yahin mandir aurmadeena

Yahin doobe din mere, yahin hote hai savere
Yahin marna aur jeena, yahin mandir aur madeena

Terigalliyan galliyan teri galliyan
Mujhko bhaave galliyan teri galliyan
Teri galliyan galiyan teri galiyan
Yunhi tadpaave galliyan teri galliyan haan

Tu meri, neendo mein sota hai,
Tu mere,ashkon mein rota hai
Sardoshi, si haikhayalon mein,
Tu na ho, phir bhi tu hota hai
Hai silaa.. tu mere.. dard ka..
Meredilkiduaayein hain yeh

Teri galliyan galliyan teri galliyan
Mujhko bhaave galliyan teri galliyan
Teri galliyan galiyan teri galiyan
Yunhi tadpaave galliyan teri galliyan

Kaisa hai, rishta tera mera,
Bechehara phir bhi kitna gehra

Yeh lamhe, lamhe yeh resham se
Kho jaaye, kho na jaaye hum se
Kafilaa.. waqt ka.. roke le..
Abroohse judaa na hoo..

Teri galliyan galliyan teri galliyan
Mujhko bhaave galliyan teri galliyan
Teri galliyan galiyan teri galiyan
Yunhi tadpaave galliyan teri galliyan

 

woh pura gaana gaate waqt Arjun ki taraf dekhti rehti hia sab uska ishara samjte hai

Rathore: ab Arjun gaayega

use hope hai ki Arjun sakshi ko kuch zyada kehta nahi toh shayad woh bhi use chahne laga hai aur ab waise bhi tension chal raha hai toh isse uska mood thoda halka ho jaayega

 

Arjun mv"ye kam thi jo ab ye bhi shuru ho gaya dono ko jawaab dena padega"sree se :guitar do

woh chup chap usse de deta hai

Arjun: mera dil sirf ek ke naam hai woh nahi toh koi nahi. kehkar shuru karta hai

 

Paas aaye..
Dooriyaan phir bhi kam
Na huyi.. Ek adhuri
Si humari kahaani rahi

Aasmaan ko zameen
Yeh zaroori nahi
Jaan le.. jaan le..

Ishq saccha wahi
Jisko milti nahi
Manzilein manzilein..

Rang thhe noor tha
Jab kareeb tu tha
Ek jannat sa tha
Yeh jahaan...

Waqt ke reet pe
Kuch mere naam sa
Likh ke chhod gaya
Tu kahaan..

Hamari adhuri kahani
Hamari adhuri kahani..(2x)

Khushbun se teri
Yunhi takra gaye
Chalte chalte
Dekho na hum kahaan aa gaye

Jannatein agar yaheen
Tu dikhe kyun nahin
Chaand sooraj sabhi, hai yahaan
Intezar tera, sadiyon se kar raha
Pyasi baithi hai kab, se yahaan

Hamari adhuri kahani
Hamari adhuri kahani.. (2x)

Pyaas ka yeh safar
Khatam ho jayega
Kuch adhura sa joh tha
Pura ho jayega

Jhuk gaya aasmaan
Mil gaye do jahaan
Har taraf hai milan ka sama
Doliya hain saji
Khushbuein har kaheen
Padhne aaya Khuda khud yahaan

Hamari adhuri kahani
Hamari adhuri kahani.. (2x)

gaana  khatam hota hai

sakshi uske kandhe par haath rakthi Arjun use immediately hata deta hai aur glare dekar chala jaata hai apne tent me.

sabki aankhein nam reh jaati hai.Sab ke dil me eki soch"Arjun sir Roshni se kitna pyaar karte hai"

idhar Arjun yaadon me khoya hua hai

bahar  sab sad ho gaye toh gaane ka plan cancel ho jaata hai.thodi der baad khaana khaane ka time hota hai.

Rathore: sree Rawte ko bulakar lao

Sakshi: me jaao?

Rathore: nahi abhi nahi. sree ko dekhta hai

Sree chala jaata hai.waha tent me Arjun so raha hai. uske paas ek diary.us diary ko dekhkar shock ho jaata actualy shock nahi 440 volts ka jhatka lagta hai usse mv"ye diary yaha aur woh bhi inke paas yeh toh gayab ho gayi thi ... ya fir inhone ki"usse control nahi hota woh chupke se us diary ko uthata hai aur baahar aa jata hai.

Sree: Rathore sir Rathore sir ye dekhiye. chillate hue usse diary dikhata hai

Rathore:ye kaha mili tumhe?

Sree:Arjun sir so rahe the unke paas thi.

Rathore uske haathse diary leta hai

Sakshi: are arjun diary likhta hai mujhe toh pata hi nahi tha.

isse Rathore ko kuch strike hota hia toh woh diary kholta hai uske last page par : isme toh Arjun ki handwriting hai!!!

Liza: kya likha unhone?woh apni curiosity rok nahi paati

Choree: ha sir pls padhiye Arjun sir ne isme kya likha hai. undono ke man me ye sawwal hai ki arjun sir iss diary me kyun likhenge aur more importantly kya??

Rathore padhna shuru karta hai:

(ek baat clear karti hoon Arjun ne Kaafi pages likhe hai lekin me sirf last dikha rahi hu jab jab Arjun ko uski zyaada yaad aati hai, usse kuch kehna chahta hai toh use diary me likh leta hai. Ab usne aaj fir likha hai sik ka bhi tension hai Sakshi bhi haath dho ke piche padi hai, usse himmat ki bhi zaroorat thi, aur yaad bhi aa rahi thi waise yaad toh roz aati thi lekin aaj zyaada aa rahi thi)

Ye kaisi kashish hai yeh toh main nahi jaanta, lekin aaj bhi in hawaon mein tumhari saanso ka ehsaas hai. Aaj bhi jab savere suraj ugta hai toh aisa lagta hai ki tumhaari muskaan ne meri duniya roshan kardi jab raat ko chand apni chandni faila tha hai toh aisa lagta hai tumhari lehrati hue zulfe apna hi sukoon bikher rahi hai. aaj bhi aisa lagta hai ki tum ho yahin ho yahin kahin ho mere aaspaas mere saath...ha ha janta hoon tum mera saath kabhi nahi chodogi mera sahaara bankar meri saathi bankar.Sach kahoon maine kabhi  nahi socha tha ki main kisise itna pyaar kar baithunga ki uski har yaad mujhe muskurane par majboor karegi ki uski kahi hui har baat mujhe jeene ka sahaara degi meri jeene ki wajah banegi.  Tum kehthi thi na ki anth me jeeth meri hogi? Aaj me us jeeth ke sirf ek kadam door hoon and I promise mein tumhara bharosa nahi tootne dunga us shaitan ko saza zaroor dilwaunga aur ek baat ki is janam me bhale hi hum mil nahi paaye par agle janam me nahi nahi sirf agle janam me nahi har janam me, mein tumhe duniye ke kisi bhi kone mese dhundkar tumhe hamesha hamesha ke liye apni baahon me samet lunga is pyaar ko firse adhura nahi rehna dunga yeh waada hai mera.

Sabki aankhein me aansu aa jaate hai.Choree ke naal nahi ho raha hai toh woh dono apne aap ko excuse karke chale jaate hai.Apne tent me dono ro rahe hai. Rathore bhi sambhal nahi pata hai : mei ise waapis rakh deta hoon agar rawte ko pata chal gaya toh sabki band baja dega. lekin woh kisise nazre nahi milapata uski voice bhi cracked.aur chala jaata hai. teeno ladkiyan bhi apne tent me chalijaati hai .

Sakshi: lagta hai mujhe thodi aur mehnat karni padegi.

Liza :sakshi come on tumne suna nahi Arjun sir ne gaana gaane se pehle kya kaha woh tumse pyaar nahi karte. woh sirf Roshniji se hi pyaar karte hai aur usise karte rahenge.

Sakshi: nahi liza mei itni jaldi haar nahi maanugi

Ayesha: tum dono kaisi baate kar rahe ho Roshniji se chotu aur sree ka kya lena dena woh dono kyun iss tarah chale gaye muje lagta hai ki unki zindgi me koi aur bhi ladki hai.

Liza:nahi mujhe nahi lagta choree shayad emotional ho gaye honge sochona jab Rathore sir ka yeh haal tha toh unka toh aisa hona normal haina humari aankhein bhi bhar aayi thi .

Sakshi: ha liza sahi keh rahi ayesha Arjun ki zindgi me koi aur ho hi nahi sakta.aisi koi ladki paida hi nahi hue jo Arjun ko iss haal me apni taraf karsake.(iss haal me matlab roshni ke jaane ke baad firse uske dil me jagah banana ...woh khud bhi toh try kar rahi haina kabse)

Ayesha mv" tum chahe jo bhi kaho Sakshi koi nakoi gadbad zaroor hai"

choree ke tent me

Chotu: Sree kash aaj woh zinda hoti toh Arjun sir ke saath kitni khush hoti Haina?

Sree:hmm. Sirf woh hi nahi hum bhi kitne khush hote ki humaari dost ka woh pyaar pura ho gaya jisse woh adhura samajkar hi apne jaan dedi.

idhar Rathore Arjun ko dekhthe hue mv"mujhe maaf kardena arjun tumhara dil firse tut gaya aur mei pehchan bhi nahi paya me tumse waada karta hu ki tumhe firse kabhi aage badne ke liye force nahi karunga agar RIYA ki yaadein tumhe sukoon deti hai toh yahi sahi. Riya ne jadoo kardiya hai tumpar aur kare bhi kyun na woh hai hi aisi ki kisi ko bhi usse pyaar ho jaye fir bhale woh rishta ek dosth ka ho(choree), ek student ya behen ka ho(woh khud), ya fir benaam  ho (Arjun)."

Aur Arjun woh toh apne pyaar ki yaadome  khokar  usek sath bitaye hue palon ke sapne dekh raha hai.

(aur haan Arjun Riya se pyaar karta hai ye baat teeno ko kaise pata chali ye bhi bata deti hun jisko samaj nahi aaya, jo diary Sree ko mili woh diary Riya ki thi jo uski mauth ke baad uske drawer se gaayab ho gayi thi sabko laga ki shayad Riya use ghar le gayi hogi isliye zyaada dhyaan nahi diya lekin asal me Arjun use apne saath le gaya tha uski yaad me)

Agle din subah sab nastha kar rahe hai lekin Ayesha notice karti hai ki Arjun toh normal hai lekin Rathore aur Choree teeno thodi sochme hai. khaane ke baad

Rathore: chalo paas ki jheel ke paas ghumne chalte hai.

sab nikal jaate hai waha jheel ke paas sab charachter me ghus jaate hai Sree photographer ban jaata hai sab masti kar rahe Rathore bhi .Sirf Arjun kheel ke paas rock par baitha hua waha ki scenery enjoy kar raha hai . lekin sach yahi hai ki sab aaspaas nazar rakh rahe hai Arjun saamne ke side nazar rakh raha  hai. Sree photos ke bahane waha clues dhoond raha hai . Achanak waha par koi teen char smoke bomb phenkta hai sab jagah dhua fail jaata ek ek karke sab behosh ho jaate hai.

Sabse pehle Arjun ki ankh khulti hai woh khade hone ki koshish karta hai lekin uske haath bandhe hue hai woh aaspaas dekhta hai waha sab behosh pade hai sabke haath rassi se bandhe hue hai unke guns aur phones bhi nahi hai

Arjun chillate hue : Rathore rathore utho aankhe kholo

uski awaaz se sab ki aankhein khulti hai.

Rathore: ye kaunsi jagah hai DAMMIT ETF officers hone ke bavjud itni aasani se inke jaal me fas gaye hum.

Arjun apne haath kholte hue: shant rathore shant itna gussa sehat ke liye haanikarrak hota hai. aur smile ke saath apne haath dikhata hia

Rathore use glare karta hai mv" mera dialogue mujhipar " gusse se: ab sirf khade rahoge ya fir hume bhi kholege?

Sree: sir aapne apne haath kaise khole?

Arjun ek pocket knife dikhata hia aur ek ek karke sabke haath kholta hia aur rathore ka last me. chotu darwaza kholne ki koshish karta hai lekin woh bahar se locked hai.

Ayesha : koi aur rastha sochna padega. aaspaas dekhte hue: yaha toh khidki bhi nazar nahi aa rahi hai.

tabhi darwaza khulta hai. Lala kuch aadmiyon ke saath andar aata. lala ko dekhkar Arjun ka khoon khaulta hai

Lala: Kaise ho ACP?

Arjun toh uski taraf aage badhta hai lekin rathore use rokta arjun gusse se uski taraf dekhta hai rathore" yeh sahi waqt nahi hai" wala look deta hai.

Arjun : toh humara shak sahi tha tum hi logon ko kidnap karke unki zindgiyaan barabad kar rahe ho.

Lala: are are itna gussa acha nahi  tume kya laga tum log mangadanth kahaani banaker aaoge aur hum tumhe pehchanege bhi nahi abhi toh tumne humari asli taakat dekhi hi nahi hai.aao tumhe tumare dosth se milwaata hu. kehkar apne aadmiyon ko ishara karke baahar jaata hai. woh aadmi sabpar gun point karte hue bahar jaane ko kehte hai.

sab log dheere dheere bahar jaa rahe hai. woh ek godown hai sab ek bade hall jaisi jagah par aate hai waha ek aadmi suit me unke taraf peeth peche karke khada hai. paas me lala evil smile ke saath khada hai. woh admi unki aaneki aahat sunke mudta hai.

Arjun : SIKANDAR

Sik: are waah ACP itne waqt baad bhi pehchan gaye. manna padega tumhari yaadasht ko.

Arjun gusse se: tujhe pehchanne ke liye mujhe waqt ka mohtaaj hone ki zaroorat nahi.

tabhi paas ke kamre se ek ladki ke chillane ki awaaz aati hia:

HAATH MAT LAGANA MUJHsE DUR RAHO

fir kuch awaaze aati hai jaise ki koi gira aur kuch tuta. fir uski cheeek  sunai deti hai:

AAAH

Sab samaj rahe ki andar kya chal raha hai

Rathore: BUZDIL ek masoom ladki ke saath aisi harkathe karthe hue sharm nahi aati.

Sik: are rathore saab humne toh sharm se saalon pehle hi rishte naate tod diye the.

tabhi chaar aadmi us kamrese bahar aate hai lekin sab ki haalat kharab hai unhe chote lagi huyi hai. kisi ka haath tuta hua hai kisi ka pair kisi ki naak toh kisi ke chehre par kharoche .

tab unme se ek: boss, woh ladki toh bahut khatarnaak haath bhi nahi lagane deti mushkil se behoshi ka injection diya hua hai.

Sik use zor se thappad marta hai woh zameen par gir jaata hai: isi din ke liye tum logo ko paala hai 10 maheene ho gaye aur woh ladki ab tak tum logon ke kabun me nahi aayi?!?!?!

woh admi: lekin boss, aapne bhi toh koshish ki thi na aapko bhi toh usne...

woh aage bol nahi pata. ek goli ki awaaz aati hai. sik ne use goli mardi thi.

sik ke saare admi bhi ek pal keliye shock ho jaate hai lekin unke liye ye naya nahi hai.

idhar ETF me ishaare baazi chal rahi. Achanak Rathore aur Arjun apne upar gun point kiye hue admiyon ke haath par kick maarte hai.unki gun lete hai aur aisa punch maarte hai ki ek behosh ho jaata hai aur dusre ke naak aur muh se khoon behne lagta hai. Ayesha, Choree, aur Liza bhi follow karte liza sakshi ko bhi bachaati hai.Sab kuch itni jaldi ho jaata hai ki kisi ko kuch samaj nahi aata. dhadadad sik ke aadmi mar rahe hai. lala bhagne ki koshish karta hai toh Rathore uske dusre pair par goli maar deta hai aur Arjun toh gun lekar sik ke paas tak pahunch jaata hai uske forehead par gun rakhta hai.Sik resist karne ki koshish karta hai toh Arjun uske pet me goli marta hai toh uski cheek nikalti hai .

Arjun: ISI TARAH BILCUL ISI TARAH MERI ROSHNI BHI CHEEKHI THI CHILLAYTI LEKIN TUMNE TUMNE USE MAAR DIYA. kehkar uske maathe par goli mardeta hai.

uski body zameen par gir jaati hai us sound se Arjun ke dil me ek ajeebsa sukoon jaaga. use aisa laga ki uske dil parse bojh uth gaya.woh apni aakhein band kardeta hai. Rathore uske kandhe par haath rakhta. woh apni kholkar uski taraf dekhta hai.

Rathore: sambhalo khud ko ye waqt gam ka nahi khushi ka hai, tumhaara maksad aaj pura ho gaya. kehkar smile karta hai.

Arjun nod karta hai. Tabhi use woh ladki yaad aati hai aur immediately us kamre ki taraf mudkar waha jaata hai.

Sakshi: arjun waha kaha jaa rahe ho? mei yaha hoon

sab use unbelievable look dete  "ye koi waqt hai fariyaad karne ka"

Rathore: Ayesha, tum Rawte ki madad karo hum yaha sab kuch sambhalte hai

Arjun room ke andar jaata hai waha ek ladki zameen par behosh padi thi .jabse usne uski awaaz suni hai uske dil me ajeebsi bechaini hai ab use dekhkar uski bechaini aur bhi bad rahi hai woh jhukta hai aur us ladki ka chehra apni taraf karta hai jisse dekhkar use 1320 volts ka jhatka lagta hai. ek pal ke liye use kuch samaj nahi aata uske man me sik ki baathein repeat ho rahi hai

"10 maheeno se woh ladki yaha hai aur ab tak use kabun me nahi kar paye"

un chaaron admiyon ka haal aur bathein

"boss, woh ladki bahut khatarnaak hai"

uske dil me patake jalne lagte hai uske man me ladoo phut rahe aur ekdum se usko tightly hug karta hai.uske aankh se aansoo behne lagte hai. tabhi Ayesha waha aati hai is tarah Arjun ko us ladki ko  hug karte hue dekh kar shock ho jaati uske paas jaakar

Ayesha: Sir? ... ye ladki?

Arjun hug chodkar uski taraf dekhkar badi si smile dete hue: chalo ayesha isse hospital le jaane ki zaroorat hai is madam ko hospital se bahut pyaar hai. kehkar use uttakhe aage chala jaata hai.

Ayesha is sab se aur confuse ho jaati hai lekin uske peeche jaati hai.tab tak sab log nikal chuke hai. baahar Rathore ne ek gaadi chodi thi. Ayesha drive karti hai aur Arjun toh us ladki bahon me lekar peeche baitha hai uske chehrse uski nazar nahi haththi hai aur nahi uski smile fade hoti hai. dono hospital pahunchte hai . doc uska check up karta hai

Doc: tension ki koi baat nahi thodi weakness hai aur drugs ki wajah se behosh hai thodi der me hosh aa jayega.

Arjun : aur doc woh virus...

Doc: no worries lagta hai unhone iski treatment karwayi hogi she's fine kuch dino ke rest ki zaroorat hai fir woh bilcul theek ho jaayegi. aap bus formalities puri kar dijiye.

Arjun: yes doc. Ayesha se: tum yahi ruko agar use hosh aaye toh muje immediately bata dena.

isse pehle ki woh jawaab de arjun wahase chala jaata hai.

Ayesha room me jaakar us ladki ko dekhti hai mv" ladki toh khubsurat hai no doubt lekin Arjun sir aisa kyun react kar rahe hai?? aisa lagta hai jaise ki woh is ladki ko jaante hai"                                                              

tabhi woh dekhti hai ki us ladki ka haath hilta hai toh woh presence me aakar Arjun ko phone karti hai. Arjun dekhkar samaj jaata hai aur phone kaattha hai. almost bhag kar waapas aata hai aur zor se room ka darwaza kholta hai .Ayesha firse ek pal chouk jaati hai. Arjun toh uski taraf dekhta bhi nahi seedha bed par ladki ke paas uska haath pakad kar baiththa hai. woh ladki dheere dheere apni aankhein kholti hai aur uthne ki koshish karti hai. uthte hue use mehsoos hota hai ki koi uske kandhe ko pakad par support de raha. normally itne waqt me jo bhi hua toh uske aaspas har insaan ko tod deti thi lekin uska dil us insaaan par bharosa kar raha hai. Finally woh aankhein puri tarah se kholti hai aur us aadmi ko dekhti hai uski aaknhein bhi badi ho jaati hai

ladki: ARJUN SIR?

Arjun badi si smile ke saath use tightly hug karta hai. ab woh ladki shock ho jaati hai lekin fir wo bhi use hug karti hai. kyun nahi usne bhi use bahut miss kiya uska bhi toh pyaar hai pyaar mila nahi toh kya hua ??woh lightly sob kar rahi hai Arjun yeh mehsoos karke apna hug aur tight karta hai uski back ko caress karte hue uske kaan me whisper karta hai

Arjun: sshhh... kuch nahi hua main hoona daro mat koi kuch nahi karega. kehkar use fuslata hai.

Ayesha ka toh sar ghum raha hai mv" thank goodness sakshi yaha nahi hai warna pata nahi kya hota, ...yato khud behosh ho jaati ya fir sabki shaanti bhang kardeti "

idhar woh ladki  sambhalti hai. dono hug chodte hai.

Arjun: tum theek ho??

ladki nod karti hai

Arjun: dekho me tumhe warning de raha hoon agli baar aisi ulti seedhi harkat kina toh mujhse bura aur koi nahi hoga samjhi ya samjhao

ladki ki aakhein badi ho jaati hai

Arjun: Aise kya dekh rahi ho? kyun mera haq nahi tumpar? mein bhi tumse pyaar karta hoon mujhe bhi daantne ka haq hai ...haina???

us ladki ki aankh mein aansoo aa jaate hai aur apna sir ha me hila thi hai aur arjun ko hug karti hai

ladki: I Love u

Arjun: I Love u too ... RIYA

(yup riya i knoe sabne bahut pehle hi guess kar liya hoga lekin phir bhi)

dono kuch pal aise hi reh jaate hai. Ayesha une disturb na karke bahar jaati hai tabhi rathore ka phone aata hai.use pick karke

Ayesha: ji sir

Rathore : kaha ho tum dono?? tumhe kya hua ki rawte ki tarah behave kar rahi ho? koi ata pata nahi koi phone nahi us ladki ko sirf ghar ya fir hospital pahunchakaar local police ke hawale karke waapis aana tha jawab do Dammit

Ayesha: Sir woh Arjun sir us ladki ko jaante hai isliye mei bhi ruk gayi aap hine toh unki madad karne ko kaha tha hum yaha hospital mehi hai abhi abhi us ladki ko hosh aaya hai aur...

Rathore: ek min tumne kaha rawte usse jaanta hai? kaise? kya naam bataya usne ??

Ayesha : Sir woh arjun sir kisi Riya ka naam le rahe the

Rathore ke pairo tale jaise zameen hi khisak gayi:WHAT?!!!! ARE U SURE?

Ayesha: yes...

lekin itna sunte hi rathore phone kaat deta hai.waha office mei

Sakshi : kya hua sameer itna chilla kyun rahe ho aur Arjun kaha hai?

Rathore : humme hospital jaana hoga abhi MOVE IT

kisi ko kuch samaj me nahi aaraha bus uska order follow kar rahe hai.rathore racer ki tarah gaadi chalakar hospital pahunchata hai. idhar Riya ke room me ariya apna hug chodte hai.

Riya: mujhe yakeen nahi ho raha ki yeh sach hai ya sapna

Arjun uske face ko cup karke: yeh woh sapna hai jo sach ban gaya hai.

tabhi doctor aur Ayesha dono andar aate hai

Doctor usse check karta hai: hmm humme inhe 24 hrs under observation rakhna hoga uske baad aap inhe ghar le jaa sakte hai

Riya : 24 hrs? itna kyun?

Arjun: Riya 24 hrs hai 24 saal nahi

riya defeated look deti hai.doc chala jaata hai

Ayesha: Sir, Rathore sir ka phone aaya tha maine unhe inform kar diya hai shayad woh aa rahe hai actually unhone meri ouri baat nahi sunni beech me hi phone kaat diya

Riya : Rathore sir ko pata nahi? aur aap kaun hai?

Arjun: nahi kisi ko nahi pata, ab chal jaayega sab bahar ki formalities puri kar rahe the kisine tumhe dekha hi nahi aur yeh Ayesha hai ye bhi ETF me hai do aur ladkiya bhi hai forensic expert Liza D'cruz aur journalist Sakhshi Anand...

Ayesha: umm sir... woh, agar sab aayenge toh woh sakshi bhi saath me hogina toh woh firse...

Arjun uska ishara samajta hai

Riya: kya hua?

dono uski taraf dekhte hai fir ek dusre ki taraf fir uski taraf

Arjun: Riya woh sakshi woh mujhse pyaar karti hai aur thodi hyper kisam ki hai bas, tum fikar mat karo use chup karana mein jaanta hu.

isse pehle ki Riya kuch bol sake room ka darwaaza force ke saath khulta hai. aur waha puri ETF  team . ab shock hone ki baari Rathore aur choree. Riya unhe dekhkar apni evergreen smile flash karti hai. Rathore toh koi reaction hi nahi de pata hai. ek pal baad Choree bhi sambhalte hai.

Dono chillate hue: RIII... jaaker use hug karte hai.riya khulkar hasti hai aur

Riya: kyaa yaar tum dono khaane nahi khaya toh mera sandwich banakar mujhe khaa jaaoge kya??

woh dono hug chodte hai aur chillane lagte hai: kya yaar ri tu bhi aisa karta hai kya koi heart attack dediya sabko dekh agli baar aisa waisa kuch bhi kiya na hum tera encounter kardenge. kehkarfirse teeno group hug lete hai .

Rathore bhi aage aata hai uske sar par haath rakhkar: kaisi ho ?

Riya: aap sab ke hote hue mujhe bhala kabhi kuch ho sakta hai?

dono  smile karte hai.

Rathore: tum kabhi nahi sudhrogi na? anyways inse milo ye sakshi aur liza...

Arjun: agar sabka bharat milap ho gaya ho toh zara kaam par lag jaao.

Chotu: par sir hum toh kaam khatam karke aaye hai

Rathore uska ishara samajte hue (woh apni aur riya ki shaadi ki baat kar raha hai): ho jaayega ho jaayega jab tumne itna intezaar kar liya hai toh thoda aur kar lo

Arjun : itna kiya na kaafi hai jaldi karo

Sakshi: tum dono kaunse kaam ki baat kar rahe ho aur ye ladki kaun hai aur Arjun tum yahi kyun ruk gaye aur tum log isse kaise jaante ho?

usse  arjun ka riya ke itna paas baithna acha nahi laga

Sree: sakshi ye Riya hai humaari research specialist.

sakshi: humare paas research specialist bhi hai?? itne dino se kaha thi?

Sree: woh kya haina sheher me virus fail raha tha aur ek admi use dam me milana chahta tha tho is madam ne virus ko golgappa samaj kar kha liya toh hume laga ki ye mar gayi. lekin iska kidnap ho gaya aur hum bacha bhi nahi paaye.

aakhri line bolte bolte uska mazaak  sadness me badal jaata hai.

Riya: lekin ab aa gayi hui na saari kasar puri karungi chodungi nahi. kehkar wink karti hai.

Sree : haay ri.. aise aankh mat maar warna Arjun sir sik ke baad mera bhi encounter kardenge.               Arjun use glare karta hai

Riya khushi se Arjun ki taraf proud nazar se dekhkar :Sik maara gay ? kab?

Ayesha: aaj hi tum hume usiki kaid me mili

Riya : Kya?

Sab eki sath: HA

Rathore : ab yeh mat puchna ki usne aisa kyun kiya? Yeh baat Arjun tumhe samjhayega                      Riya blush karti hai

Rathore: hmm lagta hia Arjun samjha chuka hai

Sakshi : kya samjha chuka hai?

Arjun: yahi ki mein Riya se PYAAR karta hun

sakshi chillate hue : kya lekin kaise tum tumne hi toh kal kaha tha ki tum roshni ke ilawa kisi aurse pyaar nahi karoge toh fir aaj is ladki par pyaar barsane ka kya matlab hai ?tum mujhe is tarah dhoka nahi de sakte ho. wo dangerously aage Riya ke paas jaati hai lekin arjun beech me aa jata hai

Arjun : HOLD IT!... MISS ANAND. PEHLI BAAT maine kisi ka naam nahi liya tha main kal Riya ki hi baata kar raha tha. DOOSRI BAAT maine tumse kabhi nahi kaha ki main tumse pyaar karta hun toh dhoke ki baat apni muh se nikalna bhi mat aur TEESRI BAAT mujhe tumse puchkar kuch karne ki zaroorat nahi hai isliye FIRST AND LAST warning de raha hoon meri biwi se dur rehna warna aaj tak toh tumne sirf meri ignorance dekhi hai aage mera gussa dekhne ke liye bhi taiyaar rehna.

uske tone se sakshi dar jaati hai aur nazre jhuka kar peeche hat jaati hai: sorry

Rathore mood halka karte hue : ab agar shaadi ki baat nikal hi gayi hai toh... kya kehti ho Riya pandit bulwao pakka Arjun ko zindgi bhar jhel logi?                                                                           

Arjun usse glare karta hai

Riya blush karte hue :kya sir aap bhi ?

Rathore: are nahi nahi fikar mat karo mein tumhe bhaga dunga woh tumhe dhund nahi paayega

Arjun gusse se: Rathore...

Riya: nahi sir mujhe ye shaadi manzoor hai

Sree: ha Sir yeh toh kabse taiyaar hai bus Arjun sir ka signal green hone ka intezaar kar rahi thi... haina ri

Riya: Sreee...

sab hanste hai riya blush karti hai.

Arjun dheerese jaise sirf Riya ko sunaai de: itna blush mat karo jaan warna bina shaadi ke hi ghar le jaunga.

Riya apni aankhein badi karke use dekhti hai

Happy ending

Edited by bloomie - 8 years ago

Created

Last reply

Replies

21

Views

19574

Users

20

Likes

113

Frequent Posters

wordsofwisdom thumbnail
Anniversary 9 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
Awesome is Dii
Waise aap mere di hi lagogo right
It was just so beautiful
Haaye my ariya I'm dead
Arjun smile & Aisha's halat samajh skte hai
And arjun's line madam ko hospital se kuch zyada hi pyaar hai great
Bharat milap kya baat hai Dii
Shree ka encounter by arjun has itne nhi poseesive nhi hai humare arjun bhai
Sam at last was funny riya ko bhaga dunga
And Sakshi ko accha jawab diya bhai me
Humari bhabhi toh sirf riya hi hai
And the las line just fab
It was like cherry on Top
Aap me mera mood super happy kr diya
Lovee u for this
And plss some more like this
butterfly7 thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
nice os
you should write more

shreyashi19mld thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 8 years ago
wow  dear  just wonderfu  amazing os
really  really  really  love  it
waiting  4  new  one
u  r  a  brilliant  writerπŸ‘πŸ‘πŸ‘
Mariaakanksha thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
Only one word... "mind blowing.."😊
hijabEfajr thumbnail
Anniversary 9 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
Its superrr se bhi buht uparrr
cuteariya thumbnail
Anniversary 10 Thumbnail Visit Streak 180 0 Thumbnail + 5
Posted: 8 years ago
awesome OS
ETF has to for case in jungle
god that sakshi so chipku 😑
always getting in arjun's & my nerves 😑
oh hell Sameer thought mayb arjun like that chipku eww 😑
dairy part was emotional 😭
even arjun love riya Sameer & choree got sad thinking that riya now not with them πŸ₯Ί
oh hell sik came back 😑
that beast jerk sik kidnaped riya 😑
how dare he do that?even tried to force riya disgusting 😑
finally arjun killed that beast sik πŸ‘
arjun got biggest shocked of his life 😲
he found his riya alive πŸ₯³
Aisha was so shocked to see arjun hugging riya 😲
wow riya alone fight with that jerk sik & his goons they couldn't do anything with her πŸ‘πŸΌ
Sameer & choree was shocked yet happy to see their riya back πŸ˜ƒ
wow arjun ne lagaya that chipku sakshi ko maza aa gaya 🀣
awe ariya getting married πŸ₯³
uff arjun tease riya 😳
plz do continue on ariya πŸ€—
Ritikanfly thumbnail
Anniversary 9 Thumbnail Group Promotion 2 Thumbnail
Posted: 8 years ago
NiceAWSM STORY ARIYA SIK N LALA KA KHEL KHATAM ARJUN FOUND UNCONSCIOUS RIYA ALL R HAPPY TO SEF RIYA ALIVE GETTING MARRIED GREAT KEEP UPDATING
Mdmadona thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 8 years ago
awesome os
loved it:)
unishaz thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
awesome. fantastic. lovely.