Tara bhag ke pahuchi bhi to kaha sia ke bhai ke paas. Or wo use wapus le aaya. Per ek tarah se accha hai ab sia ka bhai uski care karta rahega. Nd yaha to ab MJ bhi aata rehta hai. Ye ved us kidney chor ki halat kharab kar dega jab use pata chalega ki usne sia ke sath kuch galat kiya hai nd tara ko utha laya hai. Future me ye ved tara MJ ko milane me bahut help karega. Use apni behan ka badla bhi to lena hoga.
Aay haay kya lag raha tha apna MJ aaj yellow kurte me bilkul sunflower. Kya style me fight ki. Ab pata chala ki gun ke zamane me MJ haath me wo 6" ka knife lekar kyu ghumta hai. Use gun se problem hai. Or jo use gun dikha de uska wo kya haal karta hai wo to aaj dekh hi liya. Kya dhulai ki us dhani ram ki. Waise wo dhaniya kis dum pe MJ ko dhamkee de raha tha? Apna size dekha tha 'sukha hua branch lag raha tha' nd MJ ka size dekha tha kya macho man type figure hai uska. Ek ghuse me uda dalega jaise south ke hero villanes ko udate hai. Waise MJ ko kaun rok sakta hai aisi halat me? Uski Pari. <3
ye pagal tara ko phir se sia hone ka yakeen dilane laya tha. Khana leke nd tara ne nahi khaya to plate tod ke use darane ki kosis kar raha hai. Oy darata kise hai wo tara hai tara. Kisi se nahi darti. Dekhna kitna sunayegi kal tujhe. Nd yaad nahi niche dhamki de kar aai hai Sher ko sawa sher banke na dikhaya to kya kiya.
EBI ne fir dikha diya do kamine kabhi sage nahi hote. Yaha bhi dono bhai behan ek dusare ke sage nahi hai. Bhai dusare ki biwi chura laya hai nd behan use marwane me lagi hai. Wo bhi usi ke pati se. Wah jab MJ ko tara milegi na to bhale hi use kuch yaad na aaye wo uski hifazat karega. Kyunki ye dil ke rishte hai nd kamino ko inki samjh nahi hoti. Waise mujhe nahi lagta ki kal usne tara ki pic di hai MJ ko.