Posted:

Qalb-E-Aashiq Hai Ab Paara Paara
Alwida Alwida Maah-E-Ramzaan
Teray Aanay Se Dil Khush Hua Tha
Aur Zauq-E-Ibadat Barha Tha
Aah! Ab Dil Pe Hai Gham Ka Ghalba
Alwida Alwida Maah-E-Ramzaan
Masjidon Main Bahaar Agayi Thi
Zauq Dar Zauq Aatay Namaazi
Hogaya Kam Namazon Ka Jazba
Alwida Alwida Maah-E-Ramzaan
Bazm-E-Aftaar Sajti Thi Kaisi
Khoob Sehri Ki Raunaq Bhi Hoti
Sab Samaan Ho Gaya Soona Soona
Alwida Alwida Maah-E-Ramzaan
Teray Deewanay Ab Ro Rahay Hain
Muztarib Sab Ke Sab Ho Rahay Hain
Haaye Ab Waqt-E-Rukhsat Hai Aaya
Alwida Alwida Maah-E-Ramzaan
Tera Gham Sab Ko Tarpa Raha Hai
Aatish-E-Shauq Bharka Raha Hai
Phat Raha Hai Teray Gham Main Seena
Alwida Alwida Maah-E-Ramzaan
Yaad Ramzan Ki Tarpa Rahi Hai
Ansooun Ki Jhari Lag Gayi Hai
Keh Raha Hai Ye Har Ek Qatra
Alwida Alwida Maah-E-Ramzaan
Naikiyan Na Kuch Hum Kar Sakay Hain
Aah! Isiyaan Main Hi Din Katay Hain
Haaye Ghaflat Main Tujhko Guzaara
Alwida Alwida Maah-E-Ramzaan
Kuch Na Husn-E-Amal Kar Saka Hoon
Nazar Chand Ashk Kar Raha Hoon
Bas Yegi Hai Mera Kul Asaasa
Alwida Alwida Maah-E-Ramzaan
Tum Pe Lakhon Salaam Maah-E-Ramzaan
Tum Pe Lakhon Salaam Maah-E-Ghufraan
Jao Hafiz Khuda Ab Tumhara
Alwida Alwida Maah-E-Ramzaan
Dil Ke Rukray Hue Ja Rahay Hain
Teray Aashiq Maray Ja Rahay Hain
Ro Ro Ke Kehta Hai Har Ek Bechara
Alwida Alwida Maah-E-Ramzaan
Jab Guzar Jayengay Maah Gyaraah(11)
Teri Aamad Ka Phir Shor Hoga
Kya Meri Zindagi Ka Bharosa
Alwida Alwida Maah-E-Ramzaan...!!!