Geeta Was Simultaneously Explained By Krishna To Arjun & By Shivji To Devi Parvati.
|| sri ganeshaya namaha ||
"nainadam chindanti shastrani nainam dahati paqvak na chainam cled yan ta po na sosyayati marutaha"
"matra sparshas tu konteya shitoshna sukha dukhata agama payanio nityam"
atma to bas hai parth hai
inka astitva jivan ke do bindo ke idhar ya udhar hai he nahi, to inkeliye shok karna to vyart hai na parth. -- no to vices
"hatova praptsi swargam jitva va bhokshyase mahim tasmad uttishtha kaunteya yudhaya kritanishya"
sharir ke chinta kiye bina hi kartavya karna chahihe.
"karmanya vadhikaratse ma phale eshu kadaachana" l
aabh? haani? yeh dono to saapeksh shabd hai Dhananjay. aur isi liye tumhara yeh kayar, aur kalank me doobone wala shok tumhare heet mein nahi hai. keval karnm karo, karm to swayam hi apna phal bhi hai parth
yadi tum vijay chaho bhi, to yeh avashyak nahi ki vijay tumhare hi ho jaye. tumhari parajay bhi ho sakti hai. kintu yadi tum vijay se mohit nahi hoge, to parajay se bhi nahi ghabraoge.
tumhara adhikar tumhara vaan sandhan par hai, tumhara adhikaar tumhari drishti par hai, parantru us mrig par tumhara koi adhikaar nahi jiski ore tum vaan chala rahe ho.
"buddhiyukto jahaatiha ubhe sukritadushkrite,tasmad yogaya yujyasva yogah karmasu kaushalam"
apne karm mein sthir raho parth, sthir raho. kyunki karm ki kushalta ka hi naam yog hai. yog karm ka kaushal hai.
"indriyanaam hi charatam yan manoh anuvidhiyate,
tad asya harati prajnam vaayur navam ivambhasi"
is liye He mahabaho, apne indriyo ko apne vash mein rakhho. swayam hi unke vash mein na ho jao.
"yada yada hi dharmasya, glanir bhavati bharata, abhiyuthanam adharmasya, tadatmanam srijanyaham"
"na maam katmaani limpanti, na me karmaphale spruha,
iti maam yobhijaanaati, karmbhirna sa badhyate"
mujhe karmphal ki ichchha nahi hai. jabhi to karmphal mujhe dooshit nahi kar paate. he Parth! is mantra ko sadaiv yaad rakho ki sansaar me gnyaan ke samaan pavitra karnevali, naahi koi vastu hai, aur naa hi koi tatva.
jo agyani hai, jinme shraddha bhav nahin hai, jo baat-baat par shanka karte hai, sanshay yukta hain, ve to nashta ho hee jaate hain aur unhe na is lok me sukh milta hai, aur na hee parlok men
prem aur kartavya ek dusre re ke shakti hai, (rahasyamai laugh) ye dono ek doosre ko kaatate nahin bandhu! jine ke jivan ka antim laksha mai hu vo to kabhi bhatak hi nahi sakte.
kaun marega ya kaun jiyega yeh tumhari samasya nahi hai. mujh par nirbhar ho kar yog karo.
he parth bahut khane wale ya bilkul hi na khanewale, adhik sone wale ya bilkul hi na sone wale ko yeh yog siddh nahi hota. jeevan santulan ka naam hai Parth. chanchal mann ko manmaani na karne do parth, usse roko, atma ke adhin karo.
islye gandiv uthao parth aur yudh karo, hope the readers after reading this will do their Kartavya honestly, surrendering its result to Omnipotent God.