MG SS:The Dark Angel Of Fate **new thread added** - Page 44

Created

Last reply

Replies

938

Views

98842

Users

80

Likes

1951

Frequent Posters

sobia4maaneet thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago

Originally posted by: anshra

omg a little glimpse intot he past

and its already so much painful
I wonder what gonna happen next
waiting for more
so eagerly
plz plz update soon



thank u for ur comment ..😃
liking n support ...my only lifeline here ...

glad u liked it ...hope i conveyed the emotions well enough ..😳😳
plss be thr always ..😊

n ill be updating 2morrow hopefully ...😳t
Brown-Eyes thumbnail
Posted: 11 years ago
Brown-Eyes thumbnail
Posted: 11 years ago
Brown-Eyes thumbnail
Posted: 11 years ago
sobia4maaneet thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago


roo mat mosi gi ..me updating it now only ...😃
sobia4maaneet thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago


thnxx for liking my work ...
updating next now ..😳😳
sobia4maaneet thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago

hi friends me back ..

thank u for all ur support ..

The following 48 member(s) liked the above post:

sheetalvasa,  kabslocks,  payal.gupta177,  ashwimaaneet,  


waise me really dis appointed ...😭😭😭
even after giving u all a well length updates i have hardly got any comment more than a word it was just 4 or 5 readers actually commenting rest was just a single word ...

plss yrr have mercy on me ...i have my exams frm 21st december n still trying my best to finish this hanging phase over here still ur response is only de-motivating me ..

n yes if by any means i am making u all bored then feel free to tell me ...i wont bother u with my pms n then u wont have to even type a single word also ..😭😭

really sorry to all u have given me my review but it hurts friends to see people asking for the story n still thr comment will have just an awesom ...!!

n yes if i am sounding rude then just consider it as my out burst ...no intentions to hurt any1 yet when i am hurt it my way to express ...😊

LUV YA SOBIA ..
sobia4maaneet thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago

Maan's Mother
Preetie Yash Khurana ... 



Maan's father 

Yash Singh Khurana ..




Geet's parents 

Mohinder n Rano Handa ..





Edited by sobia4maaneet - 11 years ago
sobia4maaneet thumbnail
Anniversary 11 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail + 4
Posted: 11 years ago


THE DARK ANGEL OF FATE ...!!

PART 9


DADI : Humein laga jaise sab theek hugaya …dukhoon ki woh par-chayii abb hat gayi ..magar hum galat thay ..waqt ke aur bhi tufaan aur bhi imtehaan baqi thay ..


Magar fir ek din London se khabar aayi ke aapke mama ji ka major operation hai aur preetie ko wahan jana huga …wohh buhat tensed thi ..

Aur yash …..jab hum sab apni khushiyoon ko dhundne mien lage thay ….aapke papa hum sab ki zindagi bachane ki kushish kar rahe thay …ek army project ke milne ke baad Yash ko sirf rivals se hi nahi bulke underworld criminals se bhi threats aane lagi thi â€¦ aur abb baat sirf yash ki nahi bulke hum sab ki zindagi thi …

 

the calmness of maan's face vanished with dadi's new revelation ..the bitter truth of his dad's life which he got to know only after joining KC ...




Iss hi liye Yash ne project khatam hone tak preetie …Aniee ..Geet aur Aapko London bhej diya tha …


Maan was all lost trying to remember any of it …but all in vain nothing came his mind except for those blur images ..n some echoing sounds of laughter …giggling n a familiar pair of eyes …something which now he can recognize it was of geet's but then he was again left in confusion …y they looks similar to his ANGEL's eyes â€¦y geet always reminds him of his angel ….but then the worried face of his dad made his whole existence jolt with a strange kind of anxiety …

 

Maan : iss ka matlab jab hum sab London mien thay tab dad aur aap yahan KC aur iss ke rivals ko akele face kar rahe thay …sirf iss liye take hum sab safe rahen ..

 

Dadi Maa : han maan ..jab aap aniee aur geet ke saath London mien apni parhai kar rahe thay tab yahan Yash KC aur hum uss project ko sambhal rahe thay …beta Yash nahi chahte thay ke kisi bhi halat mien unke parivaar aur bachoon par koi mushkil aaye ..

uss waqt hum  yahin thay yash ke saath kyun ke docters ne humien travel karne se mana kar diya tha ….Mohinder ki company Raghav Yash ki madad se achi tarha manage karne lage tha …

 

Yash kuch mahine aap sab se milne jaya karte thay …magar army ke kamoon mien tou dair lagti hi hai aur fir underworld threats bhi thi Yash apne insecurities ki waja se kabhi aap logoon ko yahan wapis lane ka waisla kar hi nhi paaye jab bhi socha kuch kuch aisa huya ke Yash ko apna faisla badalna para ….2 saal guzar gaye …aap 13 saal ke thay geet 8 saal ki aur aniee 5 saal ki …

Preetie apni 15th wedding annieversary par Yash ko surprise dene aapke saath India aayi …geet aur aniee nahi aa payi thi … par yash ki khushi ki koi inteha nahi thi ….. buhat waqt ke baad hum ne apne bete ke chehre par who muskaan dekhi thi …

 

Par who muskaan bhi chen gayi ……barsaat ki ek raat mien jab yash aapko aur preeti ko airport chorne ja rahe thay … car ka accident hugaya ..hum aaj bhi nahi jaante wohh accident thay ya kisi ki sazish par uss accident mien sar par choot lagne ke karan aapki memories blur hugayi thi aur preetie ne apni jaan kho di â€¦.humara poora parivaar jaise bikhar gaya … sab kuch khatam hugaya …ek baar phir hum ne apne ek aur bete aur bahu ko kho diya …

 

Maan was again raged remembering the way he lost his childhood …the raged he felt years ago when he got to know it was those same underworld men's attack to kill his father but THE DARK FATE here again showed n he lost his mother ..he lost all his memories with his mother only left with some faint images n echoing voices as they all got blur …but he tried his best to compose himself seeing Dadi Maa's sight ..

 

Dadi was bye now was completely broken into tears remembering the worst night of her life ….when the destruction of her family started …

 

While maan was looking at the other side in tears ..remembering her mom's last images that was the only memory left for him to remember her …rest was all blur …

the way he celebrated his parents anniversary with them ..all the joys n all the laughter echoing in his mind …

 

Dadi Maa ( choking with the lumb forming in her throat n sobbing in tears )  : aaj bhi yaad hai humien kis tarha preetie ne ICU mien humse geet aniee aur aap ka khayaal rakhne ko kaha tha ……..kitni fiqar thi unko geet ki …aur aap ki …shayad wohh tab hi jaanti thi ke aap aur geet bilkul ek jaise hain …apne dil ki baat kabhi kisi se nahi kehte …uss waqt bhi preetie geet aur aapse milna chahti thi …aniee ko dekhna chahti thi ..par kuch na hu saka ..preetie ke paas itna waqt hi nhi tha …wohh geet se maafi mangna chahti thi maan …kyun ke geet preetie ko akele India nhi jane dena chahti thi aur geet ko fever ki waja se traveling mana thi â€¦uss akhri pal mien bhi preetie ne hum se bas itna hi manga ke hum unke bachoon ka aur Yash ka khayaal rakhien …

Hum ne preetie se vaada kiya tha ke hum un ke bachoon ka khayaal rahien ge …par

 

Nahi rakh paye …..nahi nibha paye hum apna vaada ….tab hi touzindagi ke jis mor par larke apni life enjoy karne ka sochte hain aap ne office ke kaam mien apne aap ko khoo diya …….geet jis ki hassi mien preetie aur yash ki khushi thi uss ne apni muskaan humesha ke liye kho di …..aur yeh ghar jo geet ki amanat bana kar preetie ne humien sunpa tha ..aaj ek bas ek mehal ban kar reh gaya hai ..

 

Maan ( placing his hand on her shoulder calming her ) : nahi dadi aap ne sab kuch buhat ache se kiya hai …….aaj mien jo kuch aap ki waja se hoon bachpan se aaj tak aap hi ne mujhe sambhala hai ……pyaar diya hai ..accident ke baad mien tou sab bhool chuka tha aapne mujhe sab yaad dilaya …apne paas rakha maa-baap dono ka pyaar diya iss layak banaya ke aaj mien apni har zimedaari nibha sakta hoon ..plss aisa mat kahiye ….

 

Dadi : par yash ko nahi sambhaal paaye hum ... preetie ke jaane ke baad yash ne apne aap ko sab se door kar liya ….unki health bigarti gayi aur humein kuch samaj nahi aaya … aniee aur geet ko yahan lane ke bare mien socha par phir yahan par business ki tension yash ki health aur rivals ki conspiracies ko dekh kar hum ne un dono ko wahin aapke mama aur mami ke paas chor diya …yash mein jeene ki chahat bachi hi nahi thi wohh zinda thay tou sirf Preetie se kiye huye ek vaade ko poora karne ke liye …

 

Maan : kuansa vada dadi maa …dad ne mujhe kabhi kuch nahi kaha aisa ..

 

Dadi Maa : ek vada kiya tha Yash aur Mohinder ne Preetie aur Rano se …jis ko poora karne ke liye abb sirf Yash hi thay â€¦wohh aksar humien kahan karte thay ke jis din unnki pari ..unn ki geet wapis KM aajayegi …uss din iss ghar ki khushiyan …wohh sakoon …wohh muskurahat sab kuch wapis aajaye gi jo preetie apne saath hi le gayi hai ..magar Yash bhi uss vade ka bhuj (burden) hum par chor kar chale gaye …

 

Maan : dadi kuanse vada …dad ne apne har adhore kaam ke baare mien jese wohh poora karna chahte thay Adi ke dad …Sharma uncel ko sab bataya thay …tou phir yeh kis vade ki baat kar rahi hain aap …mien kuch nahi janta ..

 

Dadi Maa : maan yeh vada tab ka hai jab geet ke janam ke kuch mahino baad rano aur mohinder yahan KM aaye thay ..aur preetie aur aap geet ke saath khel rahe thay …

Hum kabhi nahi bhul sakte wohh din …itni khushi hum ne kabhi bhi nahi dekhi thi iss ghar mien …aapke naadani mien kahe huye kuch lafzoon ne Yash ko preetie ki maut ke baad bhi jeena ek maqsad dee diya tha uss din …

 

Dis is the scene about which dadi is talking over here …whr the promise was given to preetie khurana ..

 

Maam : maa yeh baby kitni cute hai …

 

Preetie : han bacha …bilkul pari jaisi hai na ..

 

Maan : han angel ki tarha …kitni beautiful hai ..aur dekho mujhe dekh kar smile bhi kar rahi hai ..

 

Preetie : hmm ..wohh aapko achi lagi na ..iss ka naam GEET hai ..Rano maa ki geet ..

 

Maan : maa hum na iss ko humare paas rakh lete hai …humsha ke liye dekho yeh aapke paas kitni khush hai …aur mien iss ke saath kheloon ga ..yeh aaj se MERI GEET okiee

 

Preetie (smiling at her son's new demand) : maan she is not a toy ..aur waise bhi yeh kitni chotti hai abhi …wohh apni mumma ke bina kaise rahe gi ..

 

Maan : but mien ache se khayal rakhoon ga na iss ka aur dekho yeh kitni cute hai …mujhe nahi pata aap baby ko nahi bhej rahe ho kahin bhi …

 

Preetie : arre magar yeh abhi aapke saath nahi khel sakti bacha …see she shoo small ..

 

Maan : nahi bola tou nahi yeh yahin rahe gi …aur mien Rano maa ko bhi bol deta hoon wohh meri geet ko kahin nahi lee jayigi …aap tou kabhi meri baat nahi manti rano maa maan jayegi ..(n he went 2wards Rano n dadi sitting over the other corner of sofa chatting with dadi ) .. Rano maa …Rano maa

 

Rano : han ..han bol bacha kya hua humare maan ko ..

 

Maan : dekho na mumma mujhe meri angel nahi dee rahi khelne ko …

 

Rano (confused) : angel kuansi angel maan ..??

 

Maan : wohh joh aap laye hu …pehle mujhe kab se sab bol rahe thay angel aayigi angel aayigi aur abhi aayi hai late lateef tou mumma bol rahi hai wohh humare saath nahi rahe gi …wohh HP chali jayegi aapke sath ..

 

Rano (smiled understanding he is talking about geet) : but maan Geet I mean aapki angel abhi kitni chutti who tou bol bhi nahi paayi gi tou phir aap usske saath kya khelo ge ..

 

Maan : nahi wohh respond karti hai dekho mujhe kitni cute smile dee rahi thi …chalo mien dekha ta hoon …(dragging Rano 2wards preetie who was sitting with small geet in her lap he stood in front of her n called geet ) ..ANGEL ..geet ..dekho na meri taraf bolo rano maa ko tum rahogi na mere saath …hum khoob masti kareinge khel-lienge …(n here the happy little cotton bud geet gave her adorable smile to maan making both thee ladies smile full heartedly seeing the new angel of thr family soo happy ) â€¦see dekha na wohh rahegi yahan ..plzz na Rano maa aap iss ko yahin rehne doo ..

 

Preetie : maan itni zid achi nahi hai bete …see geet kitni choti hai wohh yahan aapke saath nahi reh sakti bacha ….

 

Maan : par yeh kitni khush hai na yahan tou kyun nahi reh sakti …mere saath ghar par khelne wala bhi koi nahi hai …aap phir mujhe bhi meri baby angel laa kar doo ..

 

With this we could see a visible gloominess on preetie's face remembering the fact she can never fulfill this demand of her son …n somewhere sad with the reality that geet is Rano's child n what so ever it be …she will have to stay with her only …

But that didn't go un-noticed by Rano n seeing the sadness on her best friend nothing less than a  sister..'s face she instantly picked maan in her lap ..n said ..

 

Rano : oolllee mela baby …yeh tou aapki hi angel hai ….bas babaji ne mumma ke bajaye Rano maa ke hathoon aapke paas bhejdi …

 

Maan : sachi meri angel hai …tou fir yeh mere saath rahe gi na …

 

Rano : han par thori thori dair ke liye ..

 

Maan (with sad angry baby face) : thori dair kyun humesha kyun nahi …

 

Rano (smiled n embraced him tightly) : see baby …hum na iss ko din bhar aapke paas chor deenge ..aur fir raat ko yeh angel humare paas aajayegi ..tou fir app school se aakar iss ke jitna mann kare khelna aur fir aapke so jane ke baad hum iss ko lee jayeinge …

 

But maan was still not satisfied …the baby heart wants it all for himself ..the way he wants it …seeing the glowing chubby angel white beauty in front of him he didn't wanted to let go …more over the feeling of lacking seeing the other friends playing with thr siblings made him want his own partner to play with …n here he goes again ..

 

Maan : nahi fir yeh subha mere aur dad ke saath park nahi jaayegi walk ke liye jaise Suraj apne chachu aur unki beti ke saath aata hai ..(I was confused to say behen ke saath aata hai or not knowing it will hit the other side making readers fume so added the chahu's beti ….hope its fine comparision) ..

 

Both ladies were staring at this stubborn child ..running out of option to make him understand …n here preetie mocked on Rano ..

 

Preetie : aur begaro iss ko …dekha abb jaan nahi chorega tumhari …har zidd poori ki hai iss ki tum ne abb sambhalo iss ko tum hi ..

 

Rano was also worried seeing maan not at all trying to understand the point that geet is way to small to be here without her mother …n here preetie helped seeing the confusion written all over rano's face ..

 

Preetie : maan ek baat batao aap apni mumma ke bina Rano maa ke paas reh jaooge ..(preetie was praying in her heart for a NO from maan …knowing it can be a YES the way Rano n maan are with each other )

 

Maan : nahi mujhe aapki song ke bina neend nahi aati …

 

Preetie ( sighed with his answer n said with a smile) : tou phir yeh angel tou kitni chooti hai abhi ,,hai na  (maan nodded seeing the sleeping child ) ..tou fir yeh apni mumma ke bina kaise reh paayegi ..(maan made a baby pout n then suddenly thr came a full glowing smile on his face making them both confuse)

 

Maan : theek hai tou fir jab yeh thori big hujayi gi na ..jab yeh Rano maa ke bina reh paayigi yahan tab MIEN isse humesha ke liye yahan lee aaonga ..tab tou koi problem nahi hai na …

 

Preetie smiled at his desperation ….the way he was ready to do anything which could bring geet in his home in this house …n then suddenly her mind went to other lane with his innocent set of wordsof making geet come here for the rest of her life when she will be grown up enough …her carving for a baby girl made her mind lit that part in her heart n with a big smile she said to rano ..

 

Preetie : rano sunna iss ki baat …geet bari hujayi gi tou yeh janaab humesha ke liye tumhari beti ko yahan apne saath lee aayeinge …

 

Firstly rano was confused with the sudden glowing smile n shine in preetie's eyes ..n then she processed maan n preetie's words in her mind n understood that she was actually talking about thr marriage….a feel of happiness ran through her soul with the thought of her daughter's happy future …

 

Rano : mere liye iss se achi baat kiya hugi …meri beti ek maa ki ghood se utar kar doosri maa ki aanchal mien chali jayegi …aur phir apne maan par tou poora bharosa hai mujhe ..

Hai na maan khayal rakhooge na apni geet ka …

 

Maan : han rano maa …promise mien nahi laroonga geet ke saath aur apna sab kuch share karoonge iss ke saath .. pakka …

 

Preetie : sachi sab kuch share karooge geet ke saath

 

The two ladies were going senti thinking all about it n was hinting at the happiness n sorrows the feelings attached to this part of a girls life ….but obviously the tiny 5 years mind of maan wasn't thinking about it …it was happy with the fact that after sometime he will have a partner to play with â€¦to enjoy n be with her all the time ..

 

Preetie : Yash ..Yash sunye kya keh raha hai aapka beta …

 

Here Yash n Mohinder came thr smiling over something n inquired what happened ..n rano answered with a big smile plastered on her face ..

 

Rano : maan bete keh rahe hain ke yeh bare hukar humari geet ko humesha ke liye apne ghar lee jayeinge …

 

The two men were standing as confused as expected seeing thr wifes smiling soo much n then it hit them what they were hinting at seeing the adorable expression of the two ladies seeing maan playing with geet ..

 

Yash : well galat bhi kuch nahi kaha mere bete ne ….aur waise bhi preetie ji aapki tou dil'li tamana poora kardega wohh aisa karke …

 

N here dadi came finally listening to all this sweet talk since soo long sitting thr niharofying thr children soo happy …

 

Dadi : arre Yash bete pehle beti ke papa se pochye …rishta manzoor bhi hai ..

 

Yash : iss se ….iss se pouchne ki kya zarorat hai mene keh diya kafi hai â€¦geet abb humare ghar ki bahu banne gi ..

kyun Mohinder …koi ietraaaz iss baat par ..

 

Mohinder smiled seeing the authority n listening to her daughter's alliance talk its been just a month he is enjoying the company of this little angel feeling of being the most blessed person on earth n here all r talking about her departure from his embrace already .. the fatherly feeling took a toll n he embraced geet who was till now sleeping in preetie's embrace n said with an emotional voice ..

 

Mahinder : kya kahoon yash …mujh se pehle tou iss nanhi pari ko tumne apne haathoon mien liya tha ….aur iss se ziada khushi ki baat aur kya hugi ke aaj tak meri beti ke paas 2 maa hai 2 baap thay …aur abb 2 ghar bhi hugaye …

 

Rano : sach mien ..humien iss se ziada khushi aur kis baat se hugi bhai sahab …bas bache khush rahe …

 

Dadi Maa : par agar bare hukar inn dono ne kisi aur ko pasand kiya tou …

 

Preetie : tou kiya maa …humari ittcha ..humare bachoon ki khushi se bari nahi hai … maan aur geet ki shaddi hum se pehle inki marzi huni chahiye …

 

Yash : tou phir theek hai yeh Vada raha AGAR BARE HUNNE TAK MAAN AUR GEET KE LIFE MIEN KOI AISA NAHI AATA JISSE WOHH APNA JEEVAN SAATHI BANA SAKEIN TOU HUM INN DONO KI SHADDI KARWA DENGE ..

 

Preetie : yash yaad rakhye ga …mien  har vade ka tootna maaf karoongi magar yeh vaade nahi tootna chahiye …

 

Yash : oh hoo Mrs. Khurana ..yeh Yash Singh Khurana ka vaada hai aakhri saans tak nibhaoonga ..

 

All smiled n removed the tear trail from thr moist eyes ..n maan ran towards the freshly served Chocolate Mousse ..

 

~~**~~**~~**

 

N dadi continued …


Phir ek din humien pata chala ke Yash ki cousin humari behan ki beti Sudha ki death hugayi hai ..Yash aur Sudha buhat close thay ..Yash ke liye tou Sudha unki sagi choti behan jaisi thi ..iss hi liye Yash ne Sudha ke bete ki gurdianship accept ki jo marte waqt sudha Yash ke naam kar gayi thi ….aur Yash ne Sudha ke najayaz bete Dev ko apna naam diya â€¦magar Yash ne Dev ko bhi London ke uss hostel mien hi rehne diya jahan Sudha ne usska admission karwaya tha ..

Geet  aur Aniee apke mama ..aur mami ke saath bari hone lagi ..

Aur aap yahan yash aur humare paas ..waqt aur halatoon ne kabhi mauqa hi nahi diya ke aap bhi Yash ke saath aniee aur geet se milte …

Hum jab aniee ke paas gaye tou wohh buhat rooyi thi ..preetie ko yaad kar ke ..

Kayi din tak zid karti rahi preetie ke paas jana hai …mumma chahiye ..😭😭

 

maan looked away with painful eyes remembering the way aniee cried when she came back first time after preetie's death ...

Par geet …wohh bilkul chup thi maan ..

Ek aansoon nahi tha …Preetie aur geet ka rishta khoon ka na sahi magar dil se itna gehra tha jitna shayad aniee aur preetie ka bhi naa huga ..geet ke liye tou usski poori dunya preetie aur aniee hi thi ..

Hum ne kushish ki geet ko rolane ki magar wohh apni himmat aur hosla dekha kar jeeti rahi …

Pata nahi kiya kaha uss ne aniee se uss din ke aniee ne preetie ke bina jeena sekh liya ..

Ya phir geet ke pyaar aur care ne aniee ko preetie ki kami nahi hone di ..

Ajeeb hi rishta hai aniee se geet ka maan …

Bas 3 saal ka farq hai ..magar itne saal geet ne London mien Aniee ka khayal ek maa jaise rakha hai …jab bhi dekha geet ko aniee ke liye ek dost …ek behen se barh kar hi jana … humesha har pal aniee ka saath dete huye ..usko har takleef se bachate huye … shayad iss hi liye aaj bhi aniee mien wohh bachpana mujood hai ...

jis waqt hum yahan KC ko sambhalne aur aap apne board exams mien busy tha maan ...uss waqt geet wahan aniee ka khayal rakh rahi thi ...aapki mami aur geet hi thi sirf wahan aniee ke saath …aur yeh dosri baar tha jab geet ne aapno kho kar bhi Taqdeer ke khilaaf larne ka faisla kiya tha …ek naye josh ek naye maqsad ke saath zindagi jeene ka irada kiya tha …

 

Waqt guzarta gaya aur yash apne gham mien aur khote gaye ……aur phir ek din hum ne apne bete ko bhi kho diya ……aakhri baar tou aapne hi unn se baat ki thi na maan ..16 saal ke thay aap ..hai na maan ….

Dadi looked at him with teary eyes …while maan just hugged her with the pain he was feeling within him …..remembering all the talk with his father n the last promise ..

 

Yash ( in ICU ) : maan bete abb mien bhi aapki maa ke paas ja raha hoon …..i am sorry bete aapko itni saari responsibilities ke saath chor raha hoon ..( while a 16 yrs maan nodded his head in negative indicating him that nothings gonna happen ) â€¦

 

Maan : nahi dad plss aap kahin nahi jaaoge …dekho docter abhi sab theek kar denge plss aap aisa mat bolo …

 

Yash (smiled at his son's love n faith) : aap mujh se vaada kareinge maan …? aap aniee aur dadi aur dev ka buhat khayaal rakhien ge …aur KC ko apni mehnat aur kabiliyat se phir wahin mukaam wapis delayeinge jo iss ka tha …maan dadi ki har baat maan'na bete abb sirf wohi hain yahan aapke saath …ek dosre ka khayaal rakhooge na ..

 

Maan ( in tears ) : I promise dad …mien khayaal rakhoon ga sab ka ..i promise kuch nahi hone doonga ….


Yash : bete apna buhat khayaal rakhna aur ek baat humesha yaad rakhna ..zindagi mien jo bhi faisla lena who dil se lena …kyun dil se liye huye faisle par insaan kabhi regret nahi karta …aur humesha wahi karna jo dil kahe ..

Aur yaad rakhna mom aur dad aap se buhat pyaar karte hain aur aapki har kamyabi har khushi mien aapke saath rahenge ..

Maan abb yahan sab kuch aapko sambhalna hai beta ..aniee ko apni behan nahi beti samjhna aur aniee ka buhat khayaal rakhna iss dunya ki koi buri nazar uss par mat parhne dena ..dev ko apna chota bhai mann'na aur APNI gudya ka khayal rakhna uss ko kabhi chot mat pohanchana beta wohh buhat nazok hai khayaal rakhoge na usska …aur ussko london se wapis aane ke baad HP kabhi mat jane dena …wohh log …unn ki parchayi tak mat parne dena uss par …humesha uss ka saath dena maan …buhat khayaal rakhna usska .. rakhoge na maan …meri Gudya ka khayaal rakhooge na …

 

Maan (crying) : han dad mien sab sambhal loonga kuch nhi hone doonga …aniee ko kahin nhi jane donga I promise dad ussko humesha har problem se bachaonga ..

 

Yash : nahi maan gudya tou …


But he didn't had enough time to complete n left a shattered maan all broken only to be ditched by sam after 1-1/2year coz after his departure dadi wasn't able to handle the massive volume of KC's work resulting in KC's downfall n then finally at the age of 18 MSK came back to Delhi after meeting his ANGEL (read part 2) …



 

Till now maan was all in tears as well as dadi remembering all the harsh years of thr life that terrible time they both faced alone with each other …it was worst …worst to experience it all yet again remembering the way he performed the last rituals of his father's departure the way he had to console his dadi …the morn his house is still doing after his father's death …the pain he was holding since years knowing it will make his dadi guilty but now these tear …these damn water drops are not in his control …

 

But be4 dadi could see his miserable state he moved from her side n went 2wards the large window seeing the pitch dark sky covered with some stars …

 

Maan (st) : mom dad I miss u …I really do ..dad mene apna vaada poora kiya hai dad .. yahan aaj bhi sab waise hi hai jaisa aap chor kar gaye thay ….bas aaj AAPKI jaga MIEN khara hoon â€¦aap bhi Aniee ko yahan nhi bola sakte thay dunya ke saamne yeh nhi bata sakte thay ke aapki koi beti bhi hai aur mien bhi dunya ke saamne nahi keh sakta ke Aniee meri behan hai …ek ghar mien reh kar bhi dunya ke saamne uss ko apni behan nhi keh sakta dad …Dev ko aaj bhi yahan laa sakta dad ….uss ko uska ghar nhi dekha sakta .. sirf unn logoon ki waja se jin'hoon ne mom ko mara (the underworld people) â€¦par dad I promised u I will protect them ….I will dad at any cost …mien kuch nhi hone dunga unnko dad …kuch bhi nahi …mien nibhaonga apna Vada dad ..

 

He was still thinking about his dad ….the last days he spent with him …how everything changed in his life after that …hw he had to live without his sister n brother just coz of those threats to thr life …just cozhe sent the murderer of his mom behind bars …n now thr so called friends r also behind his life ..!!

 

But then his mind went towards the last unsaid sentence of his father ..for the first time ever he pondered over it â€¦what he wanted to say …in his disturbed mental state at that moment he never gave it a thought what his father wanted to say …

 

Maan (st) : dad ne last sentence kaha tha ..

 

nahi maan gudya tou …

 

gudhya tou kiya …..gudya shayad aniee ka nick name huga ..par aniee ke bare mien ,..

ek min ..dad ne apni poori baat mien ek baar bhi geet ka naam nhi liya kyun ..

dadi ne kaha dad geet se buhat pyaar karte thay wohh meri shaddi karwana chahte thay geet se tou phir unhoon ne mujhse kaha kyun nhi …

 

the thoughts were now un bearable n his head started spinning with all the pressure exerted at the same time ..n he moved towards dadi n saw her still weeping sitting on her bed …giving her a glass of water he sat beside her n said ..

 

Maan : dadi ..agar geet mom dad ke past ka itna important his'sa thi tou dad ne ya phir aapne mujhe kabhi geet ke baare mien kyun nhi bataya ..kyun dad ne ya aapne mujhe geet ke bare mien aur mom ki iss wish ke bare mien kuch nhi kaha …


~~~~~~~~~~*************~~~~~~~~~~~*********~~~~~~~***
pheww ..i really had a tough time writing it ..

plss plss plss ...do comment n tell me if a lacked anywhr ...n in any manner plss really confused with my narration this time hope u all r getting the past ..

this will continue only a part more then the actually story will start ..


hope me nt boring u all ..


PRECAP :-

maan's questions ...n... some more revelation of past 9 years ..!!


~~~~~~~~***********~~~~~~~~~~*******


plss plss do hit like button ..

n give me ur reviews i am really in need of it during this past narration as its the only source to know if u all r getting it or not plsss ...


waiting for ur replies ... 


LUV YA SOBIA ..

Donnaa thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 8 Thumbnail + 3
Posted: 11 years ago
awesome update
full of past
loved it...Edited by dona86 - 11 years ago