CID Forum Thumbnail CID

Story : One New Text Message

Daydreaming thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#1
Hi. This is my first story. So of course its not very good. But I tried out something πŸ˜†

                             One New Text Message
1)

Time: 11:00 pm.
Place: CID bureau.
ACP is sitting in his cabin. Duo enter.
ACP: Shayad tumhe pata hoga ke maine tumhe is meeting ke liye itne urgently is samay kyu bulaya hai.
Abhijeet: Haan sir. Zaroor aap usi data theft ke baare me kuch kehna chahte hain.
ACP: Haan Abhijeet. Ab yeh baat clear ho gai ke us data theft ke peechhe usi LSD terrorist gang ka haath hai.
Daya: Haan sir. Do din pehle jis safaai se unhone Victor ko jail se bhagane ki koshish ki hai, us sey yeh saaf jaahir hai.
ACP: Haan. Woh toh jail authorities ki soojh boojh ki wajah se woh kaamiyab nahin hue. Lekin woh chup nahin rahenge. Victor unke bahut kaam ka saathi hai. Usey woh har haal me chhudaane ki koshish karenge.
A: Ab saari systems ko seal kar diya hai isliye ab woh data nahin churaa paenge.
ACP: Haan par woh koi aur tareeka jaroor dhoond lenge. Aur khabar mili hai ke pichhle kaafi dino se unhone apna koi secret agent is kaam pe lagaaya hai jiski hume abhi tak bhanak bhi nahin thi. Aur is baar unka nishaana humari most confidential report 'F' hai.
D: Tab toh hume chaukanna rehna hoga. Kyu ki yeh report toh sirf hum teeno hi access kar sakte hain.
ACP: Haan Daya. Ab uske nishane pe hum teeno hi hai. Har kadam soch ke uthana hoga. Kuchh bhi safe nahi hai.
A: Sir hum kisi bhi haal me unhe us report tak nahi pahunchne denge.
D: Haan sir.
They take leave from ACP sir. As they are going ACP calls them. Both of them turn.
ACP: Dhyaan rakho. Unka jasoos bahut shaatir hoga.
A: Sir, smartness mein hum bhi kuch kum nahi hain. Dekh lenge usey!
They leave.

2)

Next morning.
Sr. Insp. Daya's place.
Daya comes out of bathroom. He is humming a song.
''Bungle ke peechhe hai taala. Ghusu kahaan se main saala! Laila ki khidki khuli hai. Khidki ke neeche hai naala...''
Suddenly his cell phone beeps. ''One New Text Message'' it reads. Sender's number is not displayed as its a 'private number'.
Message: ''Ahaan! Thats interesting. I never thought you sing such songs. I like it.''
Daya is astounded. He quickly runs to the window, but nobody is there. He checks the doors. They are locked. He decides to quickly reach the bureau and tell this to Abhijeet. He hurriedly opens his shelf and takes out a shirt. Again his cell beeps.
Message: ''Again the same blue shirt?? I know its your favourite, but its so boring. Why dont you wear that light yellow one? It suits you!''
Daya is super shocked. He is about to wear that shirt when he sees the yellow shirt in shelf. He takes it out, looks at both the shirts and finally wears the light yellow shirt. He starts combing his hair hurriedly when he gets another message.
Message: ''Stop! Dont move.''
He becomes alert and stops. Again a message.
''You dare not remove that strand of hair from your forehead. It makes you look so alluring.''
Now without wasting any time, he takes his gun and quickly leaves for bureau.

3)

In bureau.
Abhijeet is already present and for a change, he is not wearing his usual oversized coat, and is clad in a smart half sleeved shirt. πŸ˜‰ As soon as Daya enters, ACP sir comes out. He seems to be angry.

ACP: Yeh mai kya sun raha hoon Daya?? Tum akele me ''Pungi'' gaana ga rahe the?
D: Sir, iska matlab aap ko bhi??
ACP: Haan. Uska message aya tha mujhe ke aap ka officer ''pyaar ki pungi'' baja raha hai. Woh secret agent jaan gaya hai ke humein uske baarey mein pata chal gaya hai, isliye ab openly challenge kar raha hai.
A: Sir jaan ''gaya'' nahin jaan ''gayi'' hai. Woh zaroor koi ladki hai.
ACP: Achha? Yeh tum kaise keh sakte ho?
A: Wo wo.. Woh sir, aisehi. Mmm mera matlab hai ke aise hi laga mujhe ki woh ek ladki ho sakti hai.
ACP: Aisehi?
A: Hh haan sir.
ACP: Thik hai. Ab kuchh aagey ke baarey mein socho.
ACP leaves for some work.
A: Kya Daya? Pyar ki pungi? (he starts laughing)
D: Waisey Abhijeet, aj tumhaara woh coat kahan gaya? Aur yeh kya? Badi hi smart si shirt pehen ke aaye ho. Kisi ne kaha tha kya?
Abhijeet stops laughing.
A: Arey yeh kya bekaar ki bate lekar baithe hain hum? Chalo aage ke baarey mein kuchh sochte hain.
D: Agar uskey phone se uska location trace karein toh?
A: Private number hai Daya. Aur woh itni shaatir toh zaroor hai ke apne phone se trace hone ki bewakoofi kabhi nahi karegi. Kuch aur sochna hoga.
Both of them start thinking. After two minutes, ''Beep beep...'' Its a new message on Abhijeet's cell.
Message: '' Gosh! You look sooo stunning when you purse that lip.''
Abhijeet suddenly realises that he is pursing his lip while thinking. He stops doing that. Duo are shocked. They try to search for some hidden camera or bug attached nearby, but they fail to find any. Abhijeet looses his temper and tries to call on that number but its not reachable. He bangs his phone on the table. ''Beep beep..'' Again a message on Abhijeet's cell.
''Oh boy! Those eyes... You can use them to kill someone. I love that fiery look.''
Abhijeet texts back:
''Oh really? Why dont you come forward? I'd like to use them for killing you.''
He gets a reply:
''Anger!!
Thats what your problem Sr. Inspector Abhijeet. But how do you manage to look even more handsome when you are angry?''
Abhijeet calms down.
A: Chalo Daya chaai pee kar aate hain.
D: (sensing what he means) Haan chalo.
They leave.

4)

Duo come out of the bureau. Abhijeet starts heading towards the Qualis when Daya stops him.
D: Nahin Abhijeet. Gaadi rehne do.
Abhijeet comes back.
D: Usne gaadi mein bhi zaroor koi camera lagaya hoga.
Duo start walking. After going far enough, Daya says,
D: Boss muze camera dikha tha.
A: kya? Tumne kaha kyu nahin?
Daya gives his trademark boyish grin.
A: (Excited) Arey wahh my smarty!! Ab dekhna mai usey achha maza chakhaunga. Waisey kaha dekha tumne camera?
D: Woh jo bureau mein guns ke models ke frames lage hain waha. Aur baki bhi saare frames mein.
Actually hum jab camera dhoond rahe the tab maine notice kiya ki its a glass frame. To maine dheere se apna nakhoon usse touch kar ke dekha toh maine dekha ke object aur glass me diknewale reflection ke beech jara bhi gap nahin tha. Woh ekdum jude hue the. Aur aisa tabhi hota hai jab kisi glass mein camera ho. Normal glass me reflection aur object ke beech mein gap hota hai.
A: Par CID bureau mein spy cam laga kaun sakta hai??
D: Wohi toh main bhi soch raha hun.
A: Ab baat samajh me aai Daya! Yaad hai pichhle mahine me bureau ka renovation hua tha?? Yeh kaam tabhi kiya gaya hai. Kyon ki yeh nayi frames tabhi lagi thi.
D: Haan. Cameras kisne fit kiye hain yeh pata chal sakta hai. Hum us agency se pata kar sakte hain jinhone renovation ka contract liya tha.
Suddenly theres again a ''beep beep''. This time a message on Daya's cell.
Message: ''Wow!! You look like a Greek God when you stand this way with hands in your pockets.''
Theres a smirk on Daya's face.
D: Boss woh humaara peechha kar rahi hai. Woh humein dekh sakti hai.
Both of them look around but there's no one.
A: Daya, usey pata nahi hai ke hume cameras ke location ke baare me pata chal gaya hai. To abhi humaara us agency mein jaakar pata karna safe nahin hai. Yeh kaam bahut chuchaap kisi khabri ko bhejkar karna hoga.
D: Haan. Yeh sahi rahega.
A: Haan. Aur is agent se peechha chudane tak hume koi code of conduct fix karna hoga.
D: Haan boss. Hum chaaro taraf se cameras se ghire honge bureau mein. Toh usey pata lage bina hum kaam kaise karenge?
A: Woh shaatir hai toh hum bhi kum nahin hai Daya. Dekho, hum kuch rules follow karenge.
1) Jab tak uska pata nahin chalta hai, tab tak hum galati se bhi vo ''F'' report nahin kholenge.
2) Bureau me saari zaroori baatein paper pe likh kar ki jaegi. Plan ke bare me bureau me kuch bhi bolna nahin hai.
3) Hum raat mein chupke se bureau ke main computer ka hard disk badal dete hain aur naye hard disk mein pehle se hi ek fake ''F'' file bana ke rakh dete hain, utni hi kadi password protection ke saath.
4) Aur ghar mein bhi chaukanna rehna hoga. Shayad wahaan bhi cameras hai. Tabhi to itna flirt kiye jaa rahi hai.
D: (Laughing) Haan. Thik hai.
Both of them then go to have tea.

5)

When they come back to bureau, its evening. Daya tells something to the watchman and he nods assertive. After entering, Daya secretly passes a chit to Abhijeet,
''Maine watchman se keh diya hai kaam ho jaega''
They start doing their routine work. After half an hour, suddenly power goes off.
A: Oh no. Yeh achanak light kaise chali gai??
D: Shaayad fuse ud gaya hoga. Mai dekh kar aata hoon.
Meanwhile, Abhijeet replaces the hard disk. After five minutes, the power is back. Daya enters.
D: Fuse chala gaya tha.
A: Achha. Chalo ab hum chalte hain.
D: Haan chalo. Jaate jaate qualis ko servicing ke liye bhi dena hai.
They leave qualis for servicing in a garage.
Now they are again walking.
A: Chalo. Us qualis wale camere se toh chhutkara mila. Kitna ajeeb lagta hai jab koi choubis ghante tum par nazar rakh raha ho.
D: Haan boss. Aur sirf nazar hi nahi, tumhari har cheez par comment bhi kar raha ho.
A: Haan Daya. ACP sir sahi keh rahe the. Yeh kaafi dino se hum par nazar rakhe hue hai. Tabhi humare baarey me itna sab jaanti hai.
D: Bus ab khabree agency se kuchh information laaye, toh pakad lenge usey.
A: Haan. Woh toh theek hai, par Daya, ye zaroor kuchh karegi. Poora ek din ho gaya hai aur in messages ke alawa koi aur hulchul nahin? Kuchh hazam nahin ho raha hai boss.
D: Haan main bhi yahi soch raha hoon.
A: Dekhte hain kya hota hai.
After a while they leave to their respective places.

6)

Same night, Abhijeet's house.
Abhijeet enters. He goes to freshen up and change and then comes and sits on the couch thinking.

Beep beep. One new message:
''You've really got that inborn style element!! Do you realise how devastatingly handsome you look when you scrach the corner of your mouth?''
Abhijeet replies:
'' What do you expect from us?? Why are you stalking us this way?''
Reply:
'' Now dont pretend being so clueless. Both of us know that. I want your report ''F'' and I am gonna get it. Well there is one more reason of stalking you. I am a great fan of the two most charming men of CID 😈 ''
Abhijeet replies:
''You wont be able to get it even in your dreams.''
Reply
''Sleep now. You are going to get your 'My God' moment soon! I really love the way you say 'My Gaawd' when something wrong happens 😈 ''

7)

Next morning.
Daya's place.
He comes out of bathroom already well dressed and he makes sure he is not singing any song πŸ˜†

Beep beep. A message.
'' I am in love with this photograph on your wall. Such a heartthorbing smile!! I am really feeling bad now that I am gonna miss your smile. Oh! I am so bad 😈''
Daya replies:
''Lets see who forgets smiling.''   
He comes out, starts his bike and leaves for Abhijeet's place to pick him. As he reaches there Abhijeet tells him that they urgently need to reach Inorbit Mall as he has got a call that a bomb is planted there. They reach the mall. People are running and shouting and the staff is trying to evacuate the mall as quickly as possible.
Abhijeet talks to tha manager of mall.
A: Aapko kaise pata chala ki yahan bomb plant kiya gaya hai?
M: Ek call aya tha.
A: Call?? Kisne kiya tha call?
M: Ek aurat thi. Woh keh rahi thi ke mall mein bomb hai.
A: Aapne check kiya.
M: Checking jari hai. Pehle hume mall ko khali karna zaroori laga.
A: Achha theek hai.
Abhijeet and Daya check the entire place along with the mall security staff, but no bomb is found.
A: Daya, yeh humein gumraah karne ke liye tha.
D: Par bomb ki jhoothi afwah?
A: Haan isliye ke hum samay par bureau na pahunch paayein. Jaldi bureau chalo.

8)

They hurriedly reach bureau and find the security guard lying on the floor. Duo wear their gloves. Abhijeet checks his pulse.
A: Daya yeh toh mar chuka hai.
Daya examines the body.
D: Boss lagta hai kisine peechese akar gardan marod kar maara hai isey.
Abhijeet calls ambulance to take the body.
A: Chalo andar chal ke dekhte hain.
They go inside and they find that all the files and papers are scattered.
Abhijeet runs to the main computer and literally shouts.
A: My Gaawwdd!!!!
D: Kya hua Abhijeet??
A: Jiska dar tha wohi hua Daya. Usne computer ki hard disk hi churaa li hai. Humari ''F'' report uske haath lag gai hai.
D:( Pretending to be shocked) Hey bhagwaan! Ab hum ACP sir se kya kahenge?? Woh jab apna ek hafte ka Delhi ka tour complete kar ke aaenge to hum unhe kya muh dikhaayenge??
A: Haan Daya. Ab hum kya karenge?
Beep beep. A text message on Daya's cell.
'' See. Who has lost his smile.''
D: Abhijeet. Ab toh humari naukri gai.
A: Chalo ab ACP sir se kya kehna hai kuchh sochna hoga.
D: Haan chalo.
They leave.

9)

They come out of bureau.
A: Achha hua humne woh hard disk pehle hi badal di thi. Muze pata tha ki woh aisa kuchh zaroor karegi.
D: Haan. Lekin bechare watchman ko apni jaan gawani padi.
A: Iski sazaa usey mil kar rahegi. Woh khabree ko agency se frames ke baare mein pata karne ke liye kaha tha uska kya hua?
D: Woh bata raha tha ke koi ''Baabu'' naam ka aadmi hai jo frames lagwane ka kaam dekhta hai.
A: Chalo is Baabu ko pakadna hoga.
D: Par woh humaara peechha kar rahi hogi toh?
A: Uske hisaab se usey ab ''F'' report mil gai hai. Isliye ab woh humara peechha kyu karegi? Ab toh woh passwords crack karke report hathiyane mein lagi hogi. Yaad hai hume is ''So called F report'' ko bhi utni hi kadi security protection di thi.
D: Haan. Tab toh kaafi waqt lagega usey yeh sab karne mein.
A: Chalo tab tak usey pakad kar hum hi usey password bata denge.
D: ( Smiling) Haan. Chalo is baabu ke yahaan.
They leave.

10)

They reach at Babu's shop. A boy is cleaning glasses.
D: Yahan par Baabu kaun hai?
Boy: Woh jo udhar TV dekh rahe hain woh Baabu sahab hai.
Duo go there.
Daya holds his collar.
D: Jaldi bata Babu tune CID bureau me cameras kyu lagaaye??
B: (Flabbergasted):Kaunsa bureau? Kis camera ke baare me poochh rahe hain aap? Aur yeh kya tareeka hai?? Mera collar kyu pakda?
A: Seedhe se bata de Baabu. Nahin to humein issey bhi bure tareeke aate hain.
B: Kaha na. Muze kisi camera ke baare me nahi pata hai.
Slappp!!!! Daya slaps him hard. His mouth starts bleeding.
D: Ab bhi kuchh nahi jaanta?
B: Batata hoon saab. Aap maariye mat.
D: Jaldi bata.
B: Muze paise mile the is kaam ke.
A: Kisne diye the paise?
B: Ek aurat aayi thi.
D: Kaun thi woh? Kaisi dikhti thi?
B: Pata nahi saab voh burkha pehen kar aati thi.
A: Aur kya jaante ho uske bare mein?
B: Sir woh hotel Royal Plaza me thehri hui thi.
A: Kuch room number vagaira pata hai??
B: Nahi saab. Hum neeche guest area mein hi milte the.
Duo arrest Baabu and send him away to jail. And they head to hotel Royal Plaza.

11)

At hotel Royal Plaza.
Duo are inquiring about the lady.
A: Kya yahaan pichhle kuch dino se koi aisi aurat rehti thi jo burkha pehenti thi??
Manager: Muze to kuchh pata nahi. Aap room service staff se poochhiye.
Manager calls a waiter Raju.
A: Raju, yeh bataao ke pichhle kuch dino se yahaan koi aisi aurat rehti hai jo burkha pehenti ho ya fir apni shakal naa dikhati ho.
R: Haan saab. Ek madam thi jo room number 204 me rehti thi.
A: (To manager) Room no. 204 mein kaun rehta hai?
R: Koi Maya naam ki ladki pichhle ek mahine se rehti thi. Usne aj subah hi check out kiya.
A: Vo kaha gai kuchh pata hai?
M: Itna to nahin pata par woh kisise phone par baat kar rahi thi. Tab woh airport jaane ki baat kar rahi thi. Kuchh 3:30 ki flight ke baare me baat kar rahi thi.
A: Daya ab 2:30 baj rahe hai. Jaldi airport chalte hain.
They leave for airport.

Airport.
Duo enquire about flights scheduled at 3:30. There is only one flight to US.
They ask for the passenger list. There is a girl named Maya.
They get hold of Maya at the checking counter.
A: (Holding his gun near Maya's head) Koi hoshiyari mat karna.
They bring her in the waiting area.
A: Finally mil hi gayi tum. Ab bataao? Kis cheez se marna hai? Meri aankho se ya Daya ki smile se? Ya fir phaansi se? Marna toh tumhe hai hi.
M: Smiling. Maine kabhi socha nahin tha ke tum logoon se iss tarah aamne saamne milne ka mauka milega. Mai bahut khush hoon.
A: Zyaada khush hone ki zaroorat nahin hai. Tum kya samaz rahi thi ke tum humari jasoosi karti rahogi aur hum chup rahenge. Us bechare watchman ko bhi mar diya tumne.
Maya suddenly takes out a pouch and says.
M: Shaayad tum yeh bhool gaye ho ki woh report ''F'' abhi bhi mere pas hai. Muze jaane do nahi to mai ise distroy kar doongi.
D: Kar do. Waisey bhi usme kuchh nahin hai. Asli report toh humare pas safe hai.
Maya is shocked. They make her wear the handcuffs.
Daya looks at her smiling.
Daya: So?? Whose smile is lost? (winks)
The lady police called by Duo take her away.

Created

Last reply

Replies

52

Views

6747

Users

23

Likes

72

Frequent Posters

sherdilali thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#2
i am going to read this hope its a gud one best of luckπŸ‘πŸΌ
sherdilali thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#3
very interesting story i enjoyed it specially the song
.ACHU. thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#4
I'm g'ng to read..nice name..
..Roopal.. thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 7 Thumbnail + 3
Posted: 12 years ago
#5
good effort dearπŸ‘
a short and interesting story
enjoyed it

.ACHU. thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#6
Acp sir hamesha impt waqt par gayab hote he.. hai na? Good one..
.ACHU. thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#7
Acp sir hamesha impt waqt par gayab hote he.. hai na? Good one.. Sirf duo..ek dbt watchman ko Maya ne mar diya? Itni asaani se!
Daydreaming thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#8

Originally posted by: 394duo7

Acp sir hamesha impt waqt par gayab hote he.. hai na? Good one..


πŸ˜† Actually Duo pe story likhni thi. So I sent him off to Delhi πŸ˜›
Daydreaming thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#9

Originally posted by: 394duo7

Acp sir hamesha impt waqt par gayab hote he.. hai na? Good one.. Sirf duo..ek dbt watchman ko Maya ne mar diya? Itni asaani se!


Arey Maya is the secret agent of a terrorist organisation. So she has got the training of killing people. πŸ˜‰ Edited by pvkd - 12 years ago
.ACHU. thumbnail
Anniversary 12 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#10
Poor watchman.. Koi DUO ki jassosi kare aur bach nikale namunkin..Edited by 394duo7 - 12 years ago