A Bird In The Cage #2 last part pg 20 - Page 2

Created

Last reply

Replies

137

Views

12562

Users

26

Likes

157

Frequent Posters

ginny09 thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
#11
awww mayur was sooo sweet πŸ˜³
n sajan πŸ˜³
next part mein bhi leg pulling scn n sanu scn along wid 
romance πŸ˜Š
gopi06 thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
#12
congrats for new thread dear
lovely updt
cont soon
thanks for the pm
-Samira- thumbnail
Anniversary 15 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#13
congrats lov for 2 thread u realy deserve
about the update was so sweet
loved to core every bit of mayur moments n enjoyed
thanks for awesome update πŸ€—
DhanakZ thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 4 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#14
So lovely update
Loved mayur cute Moments
thanks for Pm 
cont soon
mayur_eternal thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#15
Cute update
Mayur were too cuteπŸ˜ƒ
Cont soon
-SupriyaluvsMN- thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 4
Posted: 12 years ago
#16
Congos 4 new thread dear!
aww.. d update ws cute
luvd MN
continue soon!
thnx 4 d pm!πŸ€—
Irum. thumbnail
Posted: 12 years ago
#17
very nice updateπŸ‘.Thnx for the pm .Plz continue soon😊 Edited by mayurlove - 12 years ago
--unknown-- thumbnail
Anniversary 13 Thumbnail Group Promotion 3 Thumbnail + 2
Posted: 12 years ago
#18

part 22

In the morning nupur was sleeping in mayanks arms. She gets a dream in which mayank was leaving her and going she was shouting his name but no use. She gets up with a shriek which wakes him up

M-kya hua nupur tum teek toh ho tumhare chehre se paseene kyun phut rahe hain

(she hugs him)

N-maine ek bahut bura sapna dekha jismein tum mujhe chod ke jaa rahe the

M-tum bhi na paagal ho pata nahin kya sochti ho main tumhein chodke kyun jaonga tum meri jaan ho tumhare bina ek pal bhi nahin reh paonga

N-sach main tum mujhe chodke nahin jaoge

M-nahin par tumhein aisa kyun lagta hain

N-main bahut badhi budhu hoon , paagal hoon, tumhari koi bhi baat nahin sunti , har baat ka matlab poochti hoon, saari ladkiyon ki tarah nahin hoon, main nasamaj hoon, main unpad hoon aur

M-aur kya nupur haan tum budhu ho isiliye kisi par bhi yakeen karti ho, paagal ho isiliye mujhse itna pyar karti ho, haan meri koi baat nahin karti ho haan har baat ka matlab poochti ho isiliye kabhi koi galti nahin kar sakti, tum unpad ho par zindagi ko tumne hum sab se jyada samja hain,  tum nasamaj ho isiliye tum kisi ko hurt nahin kar sakti tum saari ladkiyon ki tarah nahin ho tum bahut achi ho tumhara dil bahut saaf hain tum hamari tarah ban sakti ho par hum chahi kitna bhi koshish karle tumhari tarah nahin ban sakte shayad main is duniya ka sabse lucky insaan hun isiliye mujhe tum mile aur main khush kismati ko aise kaise chod sakta hun tumhare bina main kuch bhi nahin hun I will never leave you I promise(he kisses her forehead )

Both hug each other both don't want to leave each other they had a smile on their face but they did not know problem has already entered there house

Someone closes dadi's eyes

Dadi-aagayi meri laadli gudiya

Reshmi-aap mujhe jat se kaise pehchaanti hain

Dadi-main tujhe kaise nahin pehchanungi tu meri laadli hain waise acha hua tu aagaye

R-aapne mujhe itni jaldi kyun bulaya

Dadi-batati hun chal mere saath

(they go inside dadi's room)

Dadi-toh humein kuch bhi karke nupur ko mayank se alag karna hain aur uske baad teri aur mayank ki shaadhi

R-par dadi mayank nupur ko kyun chodega aur mujhse kyun shaadhi karega

Dadi-kyun nahin karega kya kami hain meri poti main tere saamne woh kuch bhi nahin hain tu bahut samajdaar hain aur woh budhu hain, tu har kaam jaanti hain aur use matlab poochne ke alawa aur koi kaam nahin aata, tune apni mba complete kiya aur woh ek unpad ladki hain, tu ek sanskari ladki hain aur woh normal ladki bhi nahin hain nupur ko neeche dikhana humein bahut aasaan hain sharma parivaar ko nupur se jyada tu hi pasand aayegi bas tu main jaise bolti hun waise karte jaa jaise main kehti hun

reshma is gunjan's cousin she fell in love with mayank at first sight during dia mayank engagement by the time she informed about her love to dadi mayank was married to nupur. But when dadi came back for sajan's engagement shilpa told her whole story so dadi made a cunning plan since mayank is right now the owner of nupurs property and also reshma loves mayank if she seperates nupur from mayank reshma will get her love and at the same time she will be the owner of the sharma and nupurs property  coming to nupur since she is innocent and orphan she wont create any problem in reshmas life

lets see what happens

Reshma was introduced to sharma family soon she became close to everyone in the family mayank is her good friend right now but dadi always tried to downthrodden nupur in front of reshma which was observed by dia and gunjan they warn dadi so many times but she doesnt listen

one day mayank calls nupur she doesnt lift the phone

M-Mrs. Sharma phone nahin utarahi zaroor kuch gadbad hain

he calls shilpa

M-mom aapki ladli bahu kahaan hain phone kyun nahin uta rahi

Shilpa-shayad kisi kaam main busy hogi isiliye tera call nahin dekha kuch kaam tha kya

M-woh mere desktop pe kuch files hain nupur se kahiye unhein pendrive main daal kar mujhe bhejne ke liye

Shilpa-acha teek hain

she cuts the phone and remembers that nupur was busy with room renovation she doesnt know what to do

Dadi-kya hua bahut paresan lag rahi ho

Shilpa-kuch nahin mayank ne nupur ko kuch files bhejne ke liye kahaan aur nupur

Dadi-samaj gayi main reshma ko bol dungi

Shilpa-par reshma

Dadi -tu chinta kyun kar rahi hain woh kardegi

(shilpa leaves from there)

Dadi-kaise kismat hain beta itna samajdaar hain aur bahu unpad hain

lady-yeh aap kya keh rahi hain

Dadiuses the oppurtunity to downthrodden nupur in front of everyone

reshma goes and gives the files to mayank

M-tum kyun laayi ho maine mom se kahaan tha driver se bhijaane ke liye

Reshma-important files hain na isiliye main lekar aayi hun

M-ok thanks par tumhein problem hui hogi na nupur bhi na sab kaam aadi karti hain khud lekar aa sakti thi na(to himself)isi bahaane madam ka darshan ho jaaata

Reshma-kuch kahaan

M-kuch nahin

Reshma-use insab ke baare main kaise pata hoga isiliye aunty ne mujhe kahaan files leke jaane ke liye

M-tumne meri PC on kiya

R-haan kyun kya hua nupur ko nahin aata na isiliye mujhe karna pada

M-mujhe abhi meeting hain baad main milta hun

after reaching home in mayur room

M-tumhara phone kahaan hain

N-yehi hain

M-subah se phone kyun nahin utaya

N-woh main room ke renovation kar rahi thoi

M-toh phone utane main kya problem hain aur ek baat jab maine tmhein files copy karne ke liye kahaan tumne reshma ko who kaam kyun diya tum khud kar sakti thi na dekh raha hun aaj kal tum meri koi baat nahin sun rahi

N-par mayank mujhe files ke baare main kuch nahin pata main toh kaam kar rahi thi

M-tumhare kaam bahut important hain mera kuch bhi nahin

N-sorry (she catches her ears)dil se sorry duniya main jitni sorry hain utni sorry

(he smiles)

M-acha maaf kiya itna sorry bologi toh maaf karna padega (she hugs him)

Reshma was trying to get close to mayank and since mayank was treating her similar to gunjan and dia reshma misunderstood mayank

In the evening mayank was going out reshma comes there she was looking very pretty

Reshma-kaise lag rahi ho

M-bahut sundar kise maarne ka irada hain

(she starts blushing)

M-kya hua

Reshma-mayank tum kahin jaa rahe ho

M-haan kuch zaroori kaam tha

Reshma-actually mujhe bahar jaana hain kya tum mujhe drop karoge

M-ismein poochne waali kya baat hain chalo main lejaonga jab tak tum apna kaam complete karlogi main bhi apna kaam complete karloonga

He drops her at institute and goes for shopping

While coming back he picks reshma

Reshma-tumhara kaam ho gaya

M'haan ho gaya

Reshma-waise kya kaam tha

M-ab chupake kya faida shopping pe gaya tha ye lehenga dekho aur bolo kaise hain

Reshma-bahut ache hain par teeno same design

M-haan actually teeno behne hain na isiliye same design

Reshma-behne kahin tum dia aur gunjan ki baat toh nahin kar rahe

M-haan actually kal gunjan meri taang keech rahi thi na mera taste gatiya hain bolke isiliye yeh surprise kaisa lagaa

Reshma-bahut acha hain

They reach home

M-tum dono ko ek surprise

G-kaisa surprise

M-yeh dekho tumhein green pasand hain na isiliye tumhare liye green aur dia ke liye blue

D-yeh pink waala bahut sundar hain kiske liye

M-(looking at reshma)ek special person ke liye

S-oh special

B-kya hum jaan sakte hain ye special person hain kaun

Reshma feels shy

M- meri sweet si pyari si boli si cute si(he goes from there and puts duppata on nupurs head) biwi ke liye

Reshma feels like crying

All smile nupur looks at mayank in confusion Mayank sighs what happened she nods saying nothing.

M-coffee mereliye

She nods yes

He takes coffee cup from the tray

M-tumne banaya hain

N-nahin

M-isiliye acha hain

(she looks at him with question mark)

N-sugar maine daala hain

M-isilye bilkul bhi meetha nahin hain

Shilpa-kyun use tang kar raha hain

M-sach main maa nupur tum hi peeke batao

(she drinks )

N-meeta hain

(he takes it )

M-ab meeta hain(he kisses her cheek)

All smile but nupur was confused

Reshma falls on bed and cries

Dadi-kya hua tu ro kyun rahi hain

Reshma-dadi maine pura koshish kar rahi hun par mayank ko nupur se dur nahin kar paarahi

Dadi-itni jaldi haar maan gayi tujhe anth tak koshish karni hain waise tu chinta kyun karti hain tu akeli todhi hain main hoon na tere saath

Dia listens whole conversation and informs to gunjan

D-mujhe darr lag raha hain nupur ko koi problem na ho

G-aap chinta kyun karti hain mayank nupur se bahut pyar karta hain nupur ko usse dur karna impossible hain

Next day evening sanjay call shilpa and informs her that his friends very coming in few hours she says reshma to inform nupur to make some sweet

Nupur was making haars gunjan was explaing her asusual she was eating gunjans brain sayank were adoring them

Reshma decides to make the sweet to impress everyone in the kitchen she was making gaajar halwa dia comes there

D-kya kar rahi ho

Reshma-sab ke liye gaajar ka halwa bana rahi hun tumhein pata hain gaajar ka halwa banane main expert hoon

D-jaanti hoon

 (she replaces sugar with salt reshma makes it and takes it down she was about to give to mayank dia sees her  )

D-yeh toh mayank ko de rahi hain ab main kya karun (she tries to call sayank but they were lost in gunur)

G-tum khud karo mujhse nahin hoga bye

(she leaves from there and sees dia hiding behind pillar)

G-di aap yehaan kya kar rahi hain

D'gunjan ek bahut badi problem hain

G-kya hua

(she explains)

D'samaj nahin aarahaan mayank ko kaise rokhu

 

G-aap tension kyun leti ho main hoon na

(she throws flower on mayank he looks at her )

M-sam tera phool mujh par gira aapki dilruba aapse milne ke liye betaab hain

Sam looks at her she says to call mayank dia tries to explain sayank  thinks dia was calling benji

S-bhai aapko bhabhi bhula rahi hain

B-mujhe

M-nahin mujhe tumhein nahin toh aur kise bulayegi

G-yeh log aise nahin maanenge mujhe hi kuch karna hoga'

She goes there and takes plate from reshma

G-yeh kya kar rahi ho ghar main sabse pehle meeta ghar ke bade ko khilaana chahiye

(she gives it to dadi)

Dadi-ise banaya kisne shakkar ki jagah namak milaye hain

G-woh dadi

(just then they hear someone shouting)

Mrs.Khurana-yeh kaisa mazak hain Mr.Sharma aap hamari beizzati karne ke liye yeha bulaye kya

Sanjay-shilpa yeh sab kya hain

Shilpa-maine nupur se kahaan tha zaroor use koi galti ho gayi hogi

Just then reshma brings some fruit salad dishes and gives to everyone it was so tasty that guests anger vanishes

Mrs.Khurana-I am sorry maine gusse main kuch jyada hi kehdiya

Dadi-ismein aapki kya galti hain inki bahu hain hi aise uska dimaag tik nahin hain

Sanjay-bas kijiye aap hamare mehmaan hain isiliye main aapko kuch nahin keh paa raha hun mere parivaar ke kisi bhi sadasya ke khilaaf kuch bhi kahaan toh mujhe meri maryada bhulna hoga

Dadi-mujhe maaf kijiye

Sanjay-thanks beta yeh sab karne ke liye

Dia-dad actually galti nupur ne nahin reshma ne kiya hain aur ye salad bhi nupur ne banaya hain aap sab bewajah nupur ko galat samaj rahe

listening to that dadi shuts her mouth

actually servant informs nupur that shilpa told her to make something for guests and nupur only finds fruits in the fridge which were brought for next day hawan she makes salad for guests while making she has a small cut in hand so maid asks her to put medicine and she will distribute the sweet but reshma takes it from maids hand and distributes among guests.

after sometime everyone disperse

dia and gunjan warn reshma for her behavior

Mayank was in full anger with dadi he goes to his room it was dark he turns on light and finds nupur in tears

M-nupur kya hua tum ro kyun rahi ho kisine kuch kahaan kya

(she hugs him)

N-mayank main paaagal nahin hun

Listening to that he was shocked actually nupur overheard dadis words

M-nupur tum yeh kya keh rahi ho unka dimaag kharaab hain isiliye aise bol rahi hain meri nupur bahut achi hain sabse achi agar main kuch kahaan that oh tumhein bura manna chahiye par baahar waalo ki baato ka bura kyun maan rahi ho ab rona band karo main tumhein rote hue nahin dekh sakta

(she keeps head over him for some comfort)

He catches her hand and finds bandage

M-yeh kab hua

N-woh kitchen main fruits kaat the waqt kat gaya

His eyes get teary

M-tum bhi na koi kaam tik se nahin karti har kaam gadbad main karti ho aur dekho kya hua kabhi kabhi choti bachi ki tarah behave karti ho sach main paagal ho

N-kya

M-haan paagal nahin budhu yeh correct hain

(he smiles leaving her confused  )

 

 part 23

 

 

Edited by --unknown-- - 12 years ago
rumki34 thumbnail
Anniversary 14 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#19
Lovely update 😊
liked mayur bonding 😳
hating dadi and reshem 😑
con soon
Irum. thumbnail
Posted: 12 years ago
#20
very nice update.πŸ‘
Thnx for the pm