Hogi Pyaar Kii Jeet-RajeevAamna FF-New Link-PG:150 - Page 5

Created

Last reply

Replies

1131

Views

109666

Users

55

Likes

415

Frequent Posters

Tv-Fanatic thumbnail
Anniversary 17 Thumbnail Group Promotion 5 Thumbnail
Posted: 15 years ago
diiiiiiiiiiii!! wen u gonna continue..!! m waiting..!!1😍😍😍😍😍😍😍

jaldii karo..!!! warna...!!!😈
😈😈😈😈😈😈 hehehehe😃
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 15 years ago

Originally posted by: rajeev-bigfan

diiiiiiiiiiii!! wen u gonna continue..!! m waiting..!!1😍😍😍😍😍😍😍jaldii karo..!!! warna...!!!😈😈😈😈😈😈😈 hehehehe😃



nehu dear me will post the next part by sunday pukka...aur delay nahii karoongi......😉
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 15 years ago

Originally posted by: yyyy

Wow nice intro dear but i would i loved if u had named rajeev as raj/sujal or kashish as kashish instead of chah anyway never mind continue soon



thanku so much neetu.. i'll surely continue soon.....😊

Surya.Ravi thumbnail
Posted: 15 years ago

Originally posted by: shreya_shweta

love it love it love it pliz continue



thank you... i'll surely continue soon....😊

Surya.Ravi thumbnail
Posted: 15 years ago

Hello Guys…
Kaise ho aap sab… dekhiye I posted the intro of "Hogi Pyaar Kii Jeet" and ab main wapas aayi hoon with the first part of "Hogi Pyaar Kii Jeet"… I hope aap sabko is kahani ka first part pasand aaye.. I hope this story is upto your expectations…  I hope kii aapko yeh story utni hii achchi lage jitni meri pehli do fanfics achchi lagi tho…. now  I'll stop talking & carrying on with the story….. please do send in your comments & compliments….. I'll be waiting for them very eagerly….. Guys in the starting our gero, heroine will be kids….

 Hogi Pyaar Kii Jeet:-  Part 1

Yeh kahani bohat pehle shuru hui thi, yeh kahani tab shuru hui thi jab shayad humein patah bhi na ho, kii is kissse kii ek kahani banegi…. The story starts somewhere in the 1982's… Hum dekh sakthe hai kii Shimla mein ek bada sa makaan hai , makaan is liye kyunke yeh ghar tho hai, lekin is ghar mein bohat saara mann-mutaav hai.. sabki apni soch hai… bohat saari comprimises hai…. We can see kii Gulshan Garewal & Preeto Garewal who are in their late 40's are sitting in the hall  with their elder son , Lalit Garewal… they are in a deep conversation…..
Gulshan:- lalit maine aur tumhare maa ne ek faisla liya hai…
Lalit:- kaisa faisla bouji…
Gulshan:- humne tumhare liye ek ladki dhoond li hai..
Lalit:- ladki , kis liye ladki bouji….
Preeto:- teri shaddi ke liye….
Lalit:- meri shaddi ke liye….
Gulshan:- haan puttar, hum chahthe hai kii tu ab shaddi kar le…. Aur is ke liye humne tere liye ladki bhi chun li hai…
Lalit:- lekin itni jaldi kya hai...  
Preeto:- beta ismein jaldi kii kya baat hai… abhi tho teri shaddi kii umar hai, tu abhi bees saal ka hai…
Lalit:- lekin maa…
Gulshan:- kya hua lalit, koi baat hai kya….. joh tum hum logon se kehna chah rahe ho….
Lalit:- [with a confused expression on his face says] nahiii bouji aisi koi baat nahii hai….
Gulshan:- beta hum bas chahthe hai kii tu ek baar ladki ko dekh le, aur phir agar tujhe woh ladki tumhe pasand aathi hai tho hum tumhari shaddi karwa denge….
Lalit:- bouji mujhe ladki ko nahii dekhna hai.. agar aap logon ne mere liye ladki pasand kii hogi tho theek hii hogi…… main ladki ko nahii dekhna chahtha hoon.. aap logon ko joh karna hai, aap karr sakthe hai…. [lalit yeh baat kehkar wahaan se chala jaatha hai, even without listening to what gulshan & preeto have to say..]
Preeto:- lekin beta sunn tho….  [but lalit has already left…]
Gulshan:- preeto tum ladki waalon se keh do humein yeh rishtha manzoor hai…
Preeto:- lekin lalit…
Gulshan:- preeto tu kyun pareshaan hothi hai, lalit ne kaha hai na kii usse humara harr faisla manzoor hai, bas shaddi kii baat yun achanak sunnkar thoda pareshaan ho gaya hoga, aur kuch nahi… waise bhi woh humara beta hai, humare sanskaar hai usmein woh kabhi aisa koi kaam nahii karega jisse humara sarr sharam se jukh jaye…. Chalo preeto kaam par lag jaye.. humare bade bete kii shaddi hai.. itni dhoom-dhaam se karoonga kii sab log dekhthe hii reh jaayenge….
Preeto:- theek hai main abhi ladki waalo ko bata dethi hoon kii woh log Roka karne aa jaye aaj shaam ko……
Preeto calls the girls side & informs them about the proceedings.. then preeto comes back & tells gulshan ki ladki waale shaam mein aa jaayenge….
Preeto:- ab tho bohat si taiyaariyaan karni hai… aaj shaam roka hai.. aap yahii rahiye main zara kaam dekh kar aathi hoon….
Preeto Garewal, wahaan se jaane lagthi hai jab Gulshan says:- preeto…
Preeto:- jee koi kaam tha…
Gulshan:-  jee woh main keh raha tha bete kii shaddi mubarrak ho…
Preeto:- aapko bhi mubarak ho…   preeto then smiles & leaves the place….
Now we can see that lalit is sitting in a small caf ,  uske chehre par poori tarah se pareshaani chayi hui hai…. He is thinking kii woh kya kare… tabhi two people walk to him… seeing them lalit says:- achcha hua tum log aagaye…..
Person 1 says:- kya hua lalit, tumne humein itni jaldi yahaan kyun bulaya..
Lalit:- kya baatun yaar, baat hii kuch aisi hogayi hai, ek bohat badi aafat aagayi hai..
Person 2:- batao kya hogaya hai, shayad hum tumhari koi madat karr sakthe ho…
Lalit:- bouji ne meri shaddi karne ka faisla kar liya hai…
Both the persons say:- whattt….
Lalit:- aur tho aur unhone mere liye ladki bhi dhoond li hai…
Person 2:- kya un logon ne tujhse teri ray nahii maangi…
Lalit:- maangithi thi, aur maine un logon se keh diya kii mujhe unka koi bhi faisla manzoor hai….
Person 2:- lekin lalit, tu aise kaise karr saktha hai, yeh shaddi, jab kii tu tho mandira se pyaar kartha hai…
Lalit:- main jaantha hoon chetan, lekin main kya kartha maa-bouji ne yeh baat mujhe yun achanak pooch liya kii main unhe mana nahii karr paya…
Chetan:- lekin lalit , mandira se joh tu itne waqt se pyaar kartha hai uska kya..
Lalit:-  main nahii jaantha hoon.. mere tho kuch bhi samaj mein hii nahii aa raha hai kii main kya karoon……
Now the first person who was quiet for all this time says:-  lalit agar tum bura nahii maanoge tho main tumhe apni ray dena chahoonga….
Lalit:- haan anurag bolo na….
Anurag:- main tho tumse yahii keh saktha hoon lalit kii tumhare liye yahii achcha hoga kii tum mandira ko bhool jao….
Chetan:- bhaiyya , yeh kya keh rahe hai aap…
Anurag:- sahii hii tho keh raha hoon main, ek lalit ke maa-bouji hai jinhone ne lalit ke lit ladki pasand kii hai, aur mujhe yakeen hai kii woh ladki achchi hogi, aur doosri taraf lalit kii pasand mandira hai, aur aaj thak lalit tho yeh baat bhi nahii jaantha kii kya mandira usse chahthi bhi hai ya nahii.. aaj thak lalit kabhi apne pyaar ka izhaar hii nahii kar paaya mandira se.. dekh lalit tujhe hii chunna padega kii tu jiska haath thaamna chahtha hai, ek taraf tumhare maa , bouji kii pasand aur doosri taraf tumhari pasand….  Haan lekin main tumse ek baat tho kahoonga agar tum mandira ka haath thaam na chahthe ho, tho pehle usse jaakar poocho kii kya woh tumhara saath chahthi hai, kya woh tumhara haath thaamna pasand karegi… agar uska jawaab na raha tho tumhare maa bouji ke pasand kii ladki se shaddi kar lo aur agar mandira ka jawaab haan raha tho tum is baare mein apne maa, bouji se baat kar lo…
Chetan:- haan lalit mujhe bhi lagtha hai kii bhaiyya sahii keh rahe hai.. tumhe ek baar tho koshish karni hii chahiye…
Lalit:- theek hai main mandira se baat karke, maa-bouji se baat karoonga…
Now lalit leaves the place….

Now next scene we see that at some place lalit is waiting for mandira…..
Mandira comes there & says:- hii lalit….
Lalit:- mandira tum aagayi… main tumhara kabse intezaar karr raha tha…
Mandira:- haan woh main kuch kaam mein phas gayi thi,  kyun bulaya aapne mujhe yahaan…
Lalit:- main woh tumse kuch baat karna chah raha tha…
Mandira:- jee kahiye…
Lalit:- mandira mujhe baaton ko ghuma-phirakar kehne kii aadat nahii hai, main tumse yeh pooch na chahtha hoon kii  kya tum mujhse  shaddi karna chahoogi, kya tum meri humsafar banna chahogi…
Mandira:- jeeee…. Kya kaha aapne….[she is shocked]
 Lalit:- mandira main tumse pyaar kartha hoon , main jaan na chahtha hoon kii kya tum bhi mujhse pyaar karthi ho…. Shaddi karna chahogi mujhse….
Mandira:- lekin main….
Lalit:- bas haan ya na mein jawaab do mandira, pyaar karthi ho mujhse, shaddi karna chahogi mujhse….
Mandira:- shayad zindagi ke kuch faisle sirf haan ya na se nahii banthe.. aur aap joh sawaal mujhse pooch rahe hai us par tho mera saara jeevan nirbhar hai… mujhe aapke is baat ka faisla karne ke liye kuch waqt chahiye…..
Lalit:- kitna waqt chahiye tumhe… haan kitna waqt chahiye tumhe….
Mandira:- main nahii jaanthi hoon mujhe kitna waqt chahiye lekin main bas apne zindagi ka faisla soch samajkar lena chahthi hoon….
Lalit:- mandira tum samaj kyun nahii rahii ho, mujhe mere is sawaal ka jawaab aaj chahiye, abhi chahiye….
Mandira:- dekhiye maine aap se kaha na kii mujhe thoda waqt chahiye.. main nahii chahthi kii main apne jeevan ka koi bhi faisla jald baazi mein karoon, jiske wajah se meri zindagi tabah ho jaye…
Lalit:- lekin , tum meri baat ko samaj kyun nahii rahii ho.. mera pass tumhe dene ke liye bohat waqt nahii nahii hai.. shayad agar tumne mujhe apna faisla abhi nahii sunaya tho shayad agge chalkar bohat dher ho jayegi…
Mandira:- dekhiye maine aap se kaha na kii mujhe sochne ke liye kuch waqt chahiye.. agar aapko yeh baat manzoor hai tho aap mera intezaar karenge, warna yeh aapki aur meri aakhri mulaqat hogi…… ab aapko joh sahii lage aap karr sakthe hai… main chalthi hoon…. Main umeed karthi hoon kii aap mere jawaab ka intezaar karenge….
Lalit:- mandira itni bhi dher matt karna kii baad mein humein pcahtana pade…
Mandira:- lalit bas mujhe thoda waqt hii chahiye taaki main khulli dimaak se faisla kar sakoon….
Lalit:- theek hai mandira main tumhare jawaab ka intezaar karoonga…. Main umeed kartha hoon kii yueh intezaar hadh se lamba na ho jaye….
Mandira:- yeh intezaar lamba nahii hoga.. is baat ka ashvasan main aapko dethi hoon… bas mujh par bharosa rakhiye, main koshish karoongi kii main aapke umeed ko tootne na doon….
Yeh kehkar mandira wahaan se chali jaathi hai and yahaan lalit is left in a more confused state, ab lalit ko yeh baat samaj mein nahii aa rahii hothi hai kii kya woh mandira ke is baat ko haan mein le ya phir na mein…….

Ab dekhthe hii dekhthe shaam ka waqt ho jaatha hai.. lalit returns home in the evening, jahaan a big shock is awaiting him…
Lalit enters his house and he sees some family sitting there , there was a girl who looked younger to him & there were two other people who he assumed to be that girls parents……..
Preeto sees that lalit has come in & she says:- lalit beta tum aagaye, hum log kabse tera intezaar karr rahe the…
Lalit:- kyun maa, aapko koi kaam tha kya mujhhse…
Gulshan:- kaam nahii puttar, hum sab yahaan tera roka karne ke liye intezaar karr rahe the….
Lalit par bijliyaan girtha hai aur woh kehtha hai:- mera roka…
Preeto:- haan beta tumhara roka… yaad hai na tumhe maine aur tumhare bouji ne tumse subaah is baare mein baat kii thi..
Lalit:- [in a confused tone says] haannn….
Gulshan:- aa jao lalit main tumhe tumhare , saas-sasur se milatha hoon..
Kamal:- haan bhaiyya aao na, mujhe aapko mere hone waali bhabhi se milana hai….
Now lalit ko kamal sabke beech drag karke le jaatha hai.. and then the introduction is done.. aur phir veena aur lalit ka roka hotha hai… the pundit comes there and says kii shaddi ka muhurat agle paanch din baad nikli hai… he also says kii agar us din shaddi nahii hui tho veena aur lalit ke shaddi ke liye one & a half years ka wait karna padega… lalit tries to say kii the date after one and a half year would do, lekin uski koi bhi baat nahii sunntha… gulshan , preeto & veena's parents agree on the fact kii they want to see their children settled in the marital bliss and so they finalize the date which is after five days…
Lalit has no say.. uski tho samaj nahii aatha kii how he should tell his family about mandira, when he himself is not sure of mandira's faisla… aur rather we could say that lalit mein pyaar karne kii tho himmat thi, par he did not have the guts to face his family & tell them kii usse kissi aur se pyaar se hai.. so lalit decides kii until mandira does not give him her decision he should just keep quiet aur joh ho raha hai usse hone de.. lalit just hope kii mandira ka faisla inhi paanch dino mein usse mil jaye.. warna the matter will be delayed forever….
Ab agle paanch din ka waqt kitni jaldi nikal jaatha hai, yeh tho koi iska andaza bhi nahii laga saktha tha…. In these five days lalit was stinging to the hope kii shayad koi na koi aisa pal hoga jab mandira uske pass aayegi aur uska saath dene ke liye raazi ho jaayegi… lekin aisa kuch nahii hotha.. lalit kii yeh umeed bas uski umeed hii bankar reh jaathi hai.. in paanch dino mein usse mandira kii koi khabar bhi nahii mili… jis din lalit kii shaddi tay hui thi, the very next day lalit when to mandira's hostel in search of her and tell her about what has happened lekin wahaan usse mandira ke kuch doston se yeh baat patah lagthi hai kii mandira apne beemar pitaji se milne ke liye Chandrapur gayi hai… and then lalit did not know kii kya ab mandira wapas aayegi bhi ya nahii… par phir bhi he had the umeed kii mandira loutegi.. jab woh shaddi ke mandap mein baitkar apne dulhan ka intezaar karr raha tha, tab bhi he hoped that mandira would come & uski yeh shaddi rukh jaye… but nothing of that sort happened… lalit , veena got married by fulfulling all the customs.. veena was very happy that she was stepping into a new life, with her husband… lekin lalit ke tho jaise saari khushiyaan hii chin gayi thi , is shaddi ke wajah se…   woh jaantha tha kii veena was a very good life partner, but still she was not the life partner who he wanted.. woh tho mandira ka saath chahtha tha, lekin uski kismat mein veena ka saath likha tha… aur kya tha veena aur lalit kii shaddi hogayi thi…. Lalit was a huisband to veena, but he was never the emotional support which veena wanted… lalit ne apne aap ko kaam mein itna mashroof kar liya tha kii veena's existance or non existance did not matter to him anymore…. Aise hii dekhthe hii dekhthe do saal ka waqt beet gaya tha… veena always tried to make lalit happy, lekin lalit ne kabhi veena kii qadar hii nahii kii thi, kamal had become just like a son to veena.. veena was next to his mother… kamal kii shaddi pallavi se hogayi thi.. pallavi , kamal kii class mate thi, veena ko jab kamal ne bataya kii woh pallavi se pyaar kartha hai , tho veena ne gulshan aur preeto se baat kii & kamal & pallavi got married… kamal aur pallavi kii shaddi ko ab ek saal ke takreeban ho chuka tha…

Yahaan in do saalon mein even the mehra brothers got married…. Anurag got married to his lady love prerna… and chetan got married to his college sweet heart trishna….
Gayatri mehra , Gulshan Garewal & Preeto Garewal being very good friends ne yeh bhi tay kiya tha kii  kii the garewal house eldest son or daughter will get married in the mehra family , and the mehra house eldest son or daughter kii shaddi Garewal house mein hii hogi…. Yeh baat ko tay hue almost one year ho chuka tha… lekin aaj sabke haalat, sabki paristitiyaan alag thi….  Ek taraf tho garewals the… tho doosri taraf Mehra's the.. unki zindagi mein itna bada toofan aagaya tha.. & now they were facing the crisis… the garewals were themselves caught in so many problems that they could not help the mehra's….
Mehra's business which was on a high, suddenly came to a down fall… family mein hii mann-mutaav hone laga.. aur in sabki mool wajah chetan kii biwi trishna mehra thi… she could not stand kii the mehras have become bankrupt , she started her taanas , cribbing about it every time.. making life difficult for other to live….

Do saal baad in the garewal industries , lalit was taking interviews for his PA.. not thinking about the toofan which is going to enter his life, and turn his life upside down…. In the people who had come to give the interview lalit was familiar with one of them, and that one person was none other than , his lost love mandira chopra… yes mandira chopra was back in his life… and he did not know why…. Lalit did not know why but he still felt attracted to mandira… he could not deny the fact that even after two years of marriage he liked mandira, he liked her presense around him…. There were many people who were more perfect for the job, but lalit preffered to give the job to mandira…. He did not know why he did it… but at this stage his mind was not thinking rationally.. all he knew was mandira was his first love & he wanted her back in his life…
And from the day he appointed mandira, his behaviour with veena became bad to worse.. he treated her no good.. he did not care if he hurt her, all he cared was mandira was back… tab shayad yeh keh sakthe the kii mandira ka junoon lalit ke sarr chad kar bol raha tha… even lalit's parents were not able to understand kii lalot ko kya hua hai.. they noticed his behaviour but they never questioned him about it, thinking that he will be fine in a few days… aur aise waqt mein veenas only friend was her devrani, pallavi.. pallavi had a lot of respect for veena.. she always considered veena as her elder sister… she used to listen to veena, and was there by veena's side through thick & thin.. lalit himself did not know why he was doing what he was doing… he knew he was married, he knew getting close to mandira would spoil many lives, par he did not care.. all he cared for was his happiness , he did not see the after effects of his doings… lalit ke liye joh woh karr raha tha, wahii sahii tha, joh woh soch raha tha wahii sahii tha…
Lalit & mandira had a talk one day.. while lalit was dropping mandira back home , as it was very late…
Lalit:- tum ne mere saath aisa kyun kiya…
Mandira:- maine kya  kiya tumhare saath…. Joh bhi kiya tumne hii tho kiya…
Lalit:- main kuch nahii kiya, tumne mujhse waqt maanga tha, lekin tum in do saalon mein kabhi louti hii nahii…
Mandira:- waqt maanga tha maine tumse, lekin tum to mera paanch din bhi intezaar nahii kar paaye.. main jis din apna faisla liye tumhare pass aa rahii thi, us din mujhe us faisle ka patah chal gaya tha, joh tumne li thi.. tum shaddi karr rahe the… tum paanch din mera intezaar nahii kar paye.. tum apni zindagi mein agge badh gaye the.. aur main wahiin ke wahiin reh gayi… aaj bhi main wahiin khadi hoon, ussi modh par tumhare sawaal ka jawaab liye hue… lekin tum zindagi mein agge badh gaye ho… lekin yeh do saal mere liye koi maayine nahii rakthe, kyunke chahe zamane ke liye yeh waqt guzar gaya ho, lekin mere liye waqt ussi din thum gaya tha jis din aapne shaddi kar li thi….. [mandira has tears in her eyes..]
They reach mandira's home by the time the talk finishes… mandira gaadi ke rukhthe hii andar bhaag jaathi hai, even without listening to what lalit has to say, woh rothi hui chali jaathi hai… lalit runs behind her , he enters her house and searches for mandira, mandira was in her room crying… lalit wahaa aatha hai and then he tells her he still loves her…mandira tells him that even she loves him… both lalit & mandira break-down in each others arms… and in that weak moment, where they did not care for the world, for the society, for their family, they just cared for each other aur unke pyaar ne apni seema parr kar dii.. and there began a new rishtha between them… lalit & mandira's affair began..
Yeh affair chala for two years without any problem… the mehras were still in doldrums..  aise hii do saal ka waqt kaise beet gaya no one could even guess.. do saal beet gaye with in the blink of the eye… in do saal mein veena gave birth a son, uska aur lalit ka beta whom they named yash.. yash was was 8 months old… he was the apple of the eye.. sabke aankhon ka taara tha woh…  pallavi gave birth to hers & kamal's son akshat.. who was just four months old….
One fine day in the garewal house , lalit came with mandira and a kid who was 6 months old in their hands… lalit and mandira got married in the Temple & they came home…. All the people where shocked they did not know what to do.. they got married & came because people started talking nonsense stuff about mandira everywhere she went…. So thus lalit to save her from the humility got married to her & came home with their child swayam…
Gulshan:- lalit yeh sab kya hai… [he asks this in a very harsh tone..]
Lalit:- bouji yeh mandira hai aapki bahu aur yeh swayam hai aapka potha….
Gulshan:- bahu , potha yeh sab kya mazaak hai lalit….
Lalit:- yeh mazaak nahii hasi bouji, maine mandira se shaddi kii hai aur swayam mera aur mandira ka beta hai…
Gulshan:- shaddi kar li… lalit kya tum bhool chuke ho kii tumhara ek 8 mahine ka bachcha hai, kya tum yeh bhi bhool gaye kii chaar saal pehle tumhari shaddi veena se hui thi….
Lalit:- main us shaddi ko nahii maantha bouji.. maine veena se kabhi pyaar nahii kiya.. maine bas aapke aur maa ke dhabaav mein aakar veena se shaddi kii.. mandira hii mera pehla pyaar hai….
Gulshan:- yeh kya bakwaas hai.. lalit mujhe lagtha hai tum pagal ho chuke ho… tumne apni biwi aur bachche ko chod kar doosri shaddi kar li……
Lalit:- bouji mandira mera pehla pyaar hai, main usse apne college ke dino mein pyaar kartha tha.. aur phir haalat hii kuch aise hogaye the kii hum ek doosre se juda hogaye, aur mandira do saal pehle meri zindagi mein louti, aur tab hum dono ne faisla kiya kii hum dono alag nahii honge.. aur aaj maine apne bete ko , mandira ko apna naam de diya…..  
Gulshan slaps lalit across his face…
Lalit:- boujiii….
Gulshan:- tu bahu ko , hum sab ko pichle do saal se dhoka de raha hai.. tune hum sab ko itne waqt se andhera mein rakha.. teri himmat kaisi hui… teri himmat kaisi ko is aurat ko is ghar mein laane kii….
Lalit:- bouji yeh aapke ghar kii izzat hai, yeh aapki bahu hai, aapka potha hai yeh…
Gulshan:- nahii maantha main is rishthe ko, us ghar kii sirf do bahuyein hai ek veena joh teri patni hai aur ek pallavi hai.. bas… main is rishthe ko nahii sweekartha… tum apne is najayaz rishthe ko le jao is ghar se…. tumhe agar is aurat se rishtha nibhana hai tho shauk se nibhao, lekin is ghar ke bahar…  lekin abhi is aurat ko aur apne is bachche ko is ghar se leke jao….
Lalit:- bouji…
Gulshan:- maine keh diya na lalit, aaj tumne mere sarr ko sharam se jhuka diya hai… nikal jao is ghar se…..
Lalit:- maa aap kuch kahiye bouji se…
Preeto:- lalit tumhare bouji ka joh bhi faisla hai main usse sehmath hoon.. tum agar chaho tho tum is aurat se apna rishtha nibha sakthe ho, lekin is aurat ka humare parivaar se koi lena dena nahii….
Lalit is about to leave the house with mandira , when gulshan says:- agar tum chaho tho tum is ghar mein reh sakthe ho, kyunke main nahii chahtha kii yash apne pita ke pyaar se vichilit rahe… tum reh sakthe ho yahaan lekin tab thak hii jab thak tum apne is najayaz rishthe ko humare ghar se durr rakhoge….
Lalit:- bouji please ,aap mere saath aisa nahii karr sakthe….
Gulshan:- tumhe yeh sab karne se pehle sochna chahiye tha lalit, ab is aurat ko yahaan se leke chale jao… warna shayad main yeh bhool jaun kii tum mere bete ho…. Jao……
Lalit leaves with mandira and his kid.. yahaan veena breaks down aur pallavi usse sambhalthi hai… gulshan aur preeto ke tho samaj mein nahii aatha kii yeh kaisa toofan aagaya un sabki zindagi mein…. Veena just holds on to ysh & cries her heart out….
After this incident , lalit did return home, woh apne ghar aaya kyunke he had no where to go, usne mandira ke liye rehna ka intazaam kar diya tha & he was providing her with all the financial support… lalit kabhi apne ghar wapas nahii loutna chahtha tha, mandira ko chod kar, but he knew he had some responsibilities to fulfill as the garewal house elder son, yash father.. he did not feel guilty for what he did with veena… even when he came back he regretted the day he married her.. lalit apne ghar lout tho gaye lekin us ghar ka beta bann kar nahii balki sabke liye ajnabi bankar..preeto & gulshan did not want to talk to him.. kamal did not approve of what lalit did, par he was just keeping quiet as lalit was his elder brother, pallavi did not respect her jeth anymore…  even when he came back veena tried to be good with him.. lekin shayad lalit ke liye woh kitna hii kyun na kar le lekin kum pad hii jaatha tha… lalit still used to meet mandira & his son.. pehle joh he was doing chup-chupkar ab sabke saamne he was doing it… joh respect garewal khandaan mein thi lalit kii sabki nazron mein, lalit lost that amount of respect… but lalit did not care….
Ek taraf garewal house mein yeh haal tha, tho doosri taraf in the mehra household, there were a lot more problems…
In the mehra house chetan & trishna had a daughter.. par trishna ko apni beti se koi lagaav nahii tha.. she never wanted a child, she even wanted to abort the child but the other family members convinced her not to do so.. prerna & anurag named chetan & trishna's daughter chah,  chah was 4 months old… her dadi, her dad, her badi maa and bade-papa loved her to bits…. But her own mother never gave her the old which a child would want from her mother…. The mehra's financial position was getting worse & no one could do anything about it.. chetan aur anurag ne har mumkin koshish kii hothi hai, but all in vain.. unka karobaar doob gaya hotha hai, kyunke they had signed a deal with a fraud company , aur woh company mehras ke saare paise dubakar bhaag gaya hotha hai… and they did not want to ask the garewals for money…  

Aise hii dekhthe hii dekhthe one & a half year a waqt beet gaya hotha hai, chah was now a 2 year old kid..& yash was a 2 years & 8 months old kid…. Dono gharon mein aaj bhi koi khushi na thi… dono ghar ke haalat bath se battar ho chale the….. garewal house kii baatein wohii thi, veena finally understood kii she can never win over lalit's heart, chahe woh kuch bhi kar le, and so she found solace in her son.. her only support system jiski wajah se she was living her life, agar yash na hotha tho veena ne apni zindagi ussi din khatam karr liya hotha jis din lalit got married to mandira…  itna sab hone ke bawajood veena was still performing her duties as lalit's wife & the eldest bahu of the garewals…
Yahaan doosri taraf trishna aur chetan ke beech kii durriyaan aur badthi chali gayi.. trishna ne chetan se yeh bhi kaha kii she got married to him just for money.. aur ab woh uske saath nahii reh sakthi…
Chetan & every one tried their best to convince her but trishna ne kissi ki ek nahii suni, she started having a affair with a rich man, named Hrishikesh Bajaj, he was a Indian, settled in the US , he had come to Shimla for a business deal , trishna & hrishikesh bajaj met , & they fell in love… rather trishna fell in love with Hrishikesh Bajaj's money, ealth….  one fine day trishna signed the divorce papers, handed it to chetan & left chetan & her daughter forever & ever.. she never looked back at her husband or her two year old child….  Chetan could never take this shock.. he did not have the guts to face the truth, when people , society started talking rubbish things & thus chetan gave up his life, he committed suicide… leaving his daughter alone in this world…. Stranded with nobody, nor her mother nor her father…. Anurag, prerna , gayatri took chah along with them & left Shimla, even without knowing kii kya kabhi woh log is seher mein loutenge, the seher which has taken away all their happiness, but also the seher which has given them one reason to smile in the form of chah…. The mehra's went to Delhi & started a new life there….

After five years….[1991-92]

We see that garewal house mein lalit enters with a boy, that boy is none other than swayam.. swayam is 7 years old… he is holding his dad's hand….
Gulshan:- lalit tum is bachche ko yahaan kyun laaye ho… maine tumse kaha tha na kii tum is ghar mein tab thak reh sakthe ho, jab thak tum apne najayaz rishthe ko humare is ghar se durr rakho….
Lalit:- bouji mandira ab is duniyaan mein nahii rahii… aur ab main swayam ko kahaa hod aatha bouji… mera beta hai yeh….
Even before gulshan could say anything , veena says:- bouji swayam ko is ghar mein rehne dijiye.. woh bhi is ghar mein rahega , jaise is ghar ke bachche yash, akshat , rishi, ridhimma  rehthe hai… yeh bhi issi ghar ka beta hai bouji…
Gulshan:- theek hai.. yeh yahaan reh saktha hai…
Aise hii dekhthe hii dekhthe kuch dino ka waqt guzar jaatha hai.. in kuch dino mein yash, akshat, rishi aur ridhimma ko yeh baat samaj aa jaathi hai kii swayam is too big for his age… they even understand kii swayam yash se jaltha hai… swayam even though being only 7 years of age, has that cunning brain… swayam hamesha shaitaaniyaan kartha tha, aur yash ko lalit se marr padthi thi… swayam kii wajah se slowly yash aur uske papa ke beech durriyaan baddh rahii thi… lekin yash was still the apple of the eye for others in the family… swayam started getting more attention from  lalit, kyunke he saw kii yash was getting all the love from his family… veena kii qadar tho abhi bhi lalit na karr paaya… yash being the 7 & a half year old, was wise enough for his age… he knew his mothers tears were all due to his father & so he started hating his father even more..

Ek taraf yeh mahol tha tho doosri taraf mehra's ke ghar mein phir se khushiyaan aane lagi… un sabki zindagi bohat hasi khushi katt rahii thi… chah who was nearing seven years old, used to play with her younger cousins sneha , armaan [5 years and some months old]  & kajal who was 4 years old.. yeh bachche mehra ghar kii jaan thi…  in bachon ke bina ghar bohat suna sa lagtha hai… anurag, prerna have started their new business together & now with all their efforts the business has started flourishing & reaching new heights.. they treated chah as their own daughter.. never differentiated between their children & her….

Bas aur kya tha ek taraf yash aur swayam ke beech at every stage of life competition hothi gayi & always it was yash who became the bad boy… kayi baar tho aisa hotha tha kii yash kii koi ghalthi na hone ke bawajood bhi he used to get spanking from his father.. and thus as life moved on yash stopped caring for his father… aur doosri taraf waqt ke beetne ke saath saath chah ko apne maa baap kii kahani ka patah chala, when she was 14 & tab se chah ko pyaar shabd se nafrat hone lagi thi.. she started to develop a feeling that love does not exist…

So guys this was the first part of "Hogi Pyaar Kii Jeet", main umeed karthi hoon kii aap sabhi ko yeh part pasand aaya ho… I know this part did not have yash & chah in the adult age, but I promise next part mein humare hero, heroine kii entry hogi, woh bhi poore style mein hogi… I hope this part did not confuse you people.. agar koi confusion hai, tho please feel free to ask me… I'll be waiting eagerly for your comments, compliments & suggestion.. agar you want to criticize some aspect you can do it too..  

Preview for the next part:- 13 years later…

Please do send in your comments & compliments… as you comments help me become a better writer.. & also tell me who all wants me to pm them when I update the part, so that I can add your name to the pm list…

Hope you enjoyed reading this part.. I'll surely come back very soon, with the next part of "Hogi Pyaar Kii Jeet.."

Till Then Take Care…..
Byeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee

Love
Surya….😳
Edited by sun_423 - 15 years ago
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 15 years ago

Originally posted by: angel 16

 
 
hey dee wowiiiiiiiii u av started new ff!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!🥳
🥳🥳🥳
awesome n lovely intro..............relli a different one
 
plz dee continue soonn



heenu yaar no thankoo.. i hope you like the first part too....😊

Surya.Ravi thumbnail
Posted: 15 years ago


thanku so much....😊

swetha10 thumbnail
Anniversary 16 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
Hey Surya fabulous beginning.. i luved the narration... itz amazing... Will b looking forward for the next updates... Plzz do continue asap.........
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 15 years ago

Originally posted by: swetha10

Hey Surya fabulous beginning.. i luved the narration... itz amazing... Will b looking forward for the next updates... Plzz do continue asap.........



thanks a ton.. i'll surely post the next part soon...😊

jyothi_cool thumbnail
Anniversary 18 Thumbnail Group Promotion 6 Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago
interesting gr8 part cont soon