Haan andhera ho gaya hai, aur aisa hi andhera meri zindagi mein bhi ho gaya uss waqt jab mujh se mera sab kuch cheen liya gaya
Yes this place has gotten dark, and a similar darkness engulfed my life when i was robbed off everything
Phir bhi mein yahan aaye, taake aap sab ka andhera dur kar sakun
But still i came here, to remove darkness for your lives
Main yahan aaye taake iss andhere mein aap sab kuch kho na dein
I came here so that you guys do not lose anything in this darkness
Main yahan aaye taake aap sab ki aankhon se jhoot ki patti hatta ke aik bohat bara sach saamne la sakun
I came here to remove the blindfold of lies for your eyes; to reveal a big truth
Aur woh sach tha Kosi Devi aur unke Pati ka
And that truth was about Kosi Devi and her husband
Jine woh duniya se chupa rahi theen...unke rishte ka sach
the truth she was hiding from the world...the truth of their relation
Lekin sochne wali baat ye hai ki Vaani Oberoi aisa kyun kare gi, uska toh iss sach se...iss parivaar se koi rishtaa nahin hai
But it's a thing worth pondering...why would Vaani Oberoi do that when she has no relation with this truth and this family
Haan Vaani ka koi rishtaa nahin hai, par uska rishtaa hai jo iss ghar mein kabhi bahu ban kar aaye thi
Yes Vaani has no relation, but that girl has a relation who once became of daughter-in-law of this house
Jisne iss ghar, iss parivaar ko poore mann se apnaya...lekin phir aik din usse issi ghar se nikaal diya gaya
Who accepted this house and this family wholeheartedly...yet one day she was thrown out of this house
Thappar maar ke, beizzat kar ke woh bhi bina kisi ghalti ke
She was slapped, she was insulted without a single fault
Koi ghalti nahin thi uss bahu ki, jisne apne parivaar ko bachaane ke liye apne har kadam par laraai ki
That daughter-in-law was not wrong, who fought at every step to save her family
Koi ghalti nahin thi uss patni ki, jis ne apne pati ko bachaane ke liye apni jaan tak dao pe laga di
That wife was not wrong, who risked her own life to save her husband
Uss Thapki ki koi ghalti nahin thi, jis ne hamesha se sahi ko sahi aur ghalat ko ghalat saabit karne ki koshish ki
That Thapki was not wrong, who always tried to prove right as right and wrong as wrong
Woh Thapki jisse pyaar aur vishwas ki jagge iss ghar ke har aik shaqs ne dhoka diya
That Thapki who instead of love and trust got betrayal by every member of his house
Jiska saath dene ki jagge, uske apni pati ne usse akela marne ke liye chor diya
Instead of supporting her, her husband left her all alone to die
Haan mein Vaani Oberoi nahin hoon, mein Thapki hoon, aap sab ki Thapki