2010 me jab Man ki Aawaj Pratigya show aata tha, ghar pe sab dekhte the aur mai sochti thi ki yaar kya ghatiya hero ye Krishna Singh!
Par ye trophy to Angad Singh Brar ko milni chahiye. Banda Oxford se padh kar (gold medalist) aaya hai, so called emotional/kind/dil ka Sona insaan hai. Krishna aawara tha, illiterate tha, mawali tha, criminal family se talluk rakhta tha, jahan har koi gaali bak raha hota tha, DV full display par tha... Wo saala Krishna bhi apni "Pratigya Ji" (dono ka pyar sahi mayno me shuru hone se pahle. Jab Krishna pyar nahi jid aur junoon me tha) ke liye stand le leta tha! Par ye chutiya Angad usse bhi gaya gujra hai.
Aur ye sab mai us character ke defence me nahi kah Rahi, mere khyal me to wo show bahut toxic tha aur Krishna ka character kahi se bhi hero layak nahi. Par Angad ke samne to sab hero lag rahe yar!
Krishna to apne violent, politically powerful aur anpadh ghar me apni patni ke education/job/family matters me support karta tha. Pratigya khud sanskari thi, real progressive nahi to use lagta tha ki jab wo ghar ke sare kayde maan rahi hai to uska bhi use saath dena chahiye!
I mean jab ek gunda, anpadh, criminals ka beta aisa kar sakta hai to is Angad Brar, jo kind hai, Oxford se padha hai, badi respected family se hai.. aur sabse bada difference to ye hai ki Pratigya ki kahani UP ki thi, aur ye Punjab ki kahani hai... Waise to pura India misogynist hai.. Par UP and Bihar top par hain. To Punjab ki Upper class family ko etne regressive light me dikha rahe ye log to aur wo bhi bina kisi logical explanation ke! Criminal family ke taur par dikhate to samjh aata! Ye log to ise Sanskar ke taur par dikha rahe!
Jabki Punjab me apni tarah ki problems hain par UP aur Bihar ke comparison me to wo state kafi aage hai! And haan... Pratigya bhi sanskari hote hue bhi Krishna aur uski family ke kitna against jaati thi, jabki usko bahut dar rahta tha. Again I am not praising Pratigya here. But this Sahiba!! She is independent and she has one privilege that others are not able to see. Degree education wale unemployed rah sakte hain, unhe chahe naukri na mile.. par jinke pas skills hote hain, we chahe bahut na kamaye par we kabhi khali nahi baithate, unka dhandha hamesha chalta hai. To is Sahiba ki kya majburi hai, I can't understand at all.
In recent years... Sahiba is worst female lead among all.. She has no self-respect, she supports crime when it's done by certain family members. Majbur hona ek baat hai ki ham kuch kar na sake, par Sahiba ko to Angad aur uska parivar galat hi nahi lagta. Use apni khud ki family bhi galat nahi lagti thi.