Posted:
Kal rat ka episode dekha usme Mauli itni tension me thi, kiske liye, Kunal ke liye lekin ye aisa admi hai jiske liye ab wo purana maal ho gayi hai, sirf ek karz, jo uske liye koi mayne nahi rakhta
Nandini ko hug kar sakta hai lekin ab purana maal ko hug bhi nahi kar sakta hai, uske dard ko samajhna to dur ki baat hai. Nandini to fir bhi Mauli ke liye feel karti hai, Kunal sirf aur sirf isliye Mauli ke sath hai kyonki Nandini uske sath rahne ko ready nahi hai 😡
Lekin baat ye hai ki agar wo Mauli ko use kar kar ke tang a gaya hai to wo use chhod kyo nahi deta, Nandini uske pas aye ya na aye, ye to pata hai na usko ki wo Mauli ko pasand nahi karta hai, Kam se Kam Mauli ko to pata ho na ki ye kaisa admi hai