Aik baat kehni thi tujhsay
Jo khudh say bhi na keh paayi
teri mohabbat ek saza hai
yeh aaj samajh main aayi
Kyun main tujhay khudhsay
Juda nahi kar paati
Kyun teri yaadein ab
Dil say door nahi jaati
Kyun meri hansi ab
Labon pay khatum ho jaati
Kyun har umeed mujhay
Teri orr kheench laati
Pyar ki yeh kaisi keemat
Tu mujh say le raha hai
Kya mujh say itni nafrat
Jo har lamha gham de raha hai
Ab tu hi bataa
Keh mera kasoor kya hai
Tujh say mohabbat kar kay
Mainay kya jurm kiya hai