Tum se ab hum kya gila karain
Khud say shikayat kartay hain
Kyun na maneen wo batain
Jo log kaha kartay hain
Kay miltay hain dukh un ko
Jo pyaar kia kartay hain
Rog-e-Ulfat jab say lag gaya hum ko
Hum bhi ab yehi kehtay hain
Kay chaltay hain rah-e-mohabbat main jo Log
Wo aksar akeelay hi chaltay hain !!
author: unknown