Welcome to Suhana's shayeri collection. Here I will post some of my ashaar, most of which are in Urdu, but sometimes I write in English as well. I hope you enjoy reading them. Please comment.
------------------------------------------------------------ ------------------
Geet
Uski Aankhen Karen Kaisi Jaadugari
Hosh Jo Chheen Le Aisi Aawaaz Hai
Muskura De To Bedaar Hon Khwaahishen
Har Adaa Mein Naya Ek Andaaz Hai
Saamne Se Woh Guzre To Chhup Jaate Hain
Us Se Nazren Milaane Se Sharmaate Hain
Phir Bhi Har Ek Jhalak Ko Taraste Hain Hum
Usko Dekhe Bina Bhi Na Reh Paate Hain
Jaane Kab Tak Na Hum Us Se Keh Paayenge
Dil Ki Gehraayi Mein Jo Chhupa Raaz Hai
Humko Saare Nazaaron Mein Woh Hi Dikhe
Jhilmilaate Sitaaron Mein Woh Hi Dikhe
Woh Hi Shaamil Hai Phoolon Ki Khushbu Mein Bhi
Mausamon Ke Ishaaron Mein Woh Hi Dikhe
Aarzoo Ka Humari Woh Hi Geet Hai
Aur Woh Hi Dil Ke Armanon Ka Saaz Hai
------------------------------------------------------------ ------------------
Ghazal
Hum Khade Unka Intezaar Kiye Jaate Hain
Bewajah Dil Ko Beqaraar Kiye Jaate Hain
Keh Na Paaye Hain Dil Ki Baat Abhi Tak Hum Unse
Chupke Chupke Hi Jaan Nisaar Kiye Jaate Hain
Unki Yaadon Se Dard Milta Hai To Phir Hum Kyoon
Apna Yeh Haal Baar Baar Kiye Jaate Hain
Jisne Vaadon Ki Ahmiyat Nahin Samjhi Hai Kabhi
Kyoon Usi Par Hum Aitbaar Kiye Jaate Hain
Jinki Aankhon Mein Mohabbat Ki Jhalak Hi Na Rahi
Pyaar Hum Unse Beshumaar Kiye Jaata Hain
------------------------------------------------------------ ------------------
Will add more soon!