forgiveness thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 14 years ago
#1
Tere Ehsaason Mein HaMein Har ek Pal Muskurana Achha Laga,
Phir Unhi Muskurahaton Se Palkein Bhigona Achha Laga,

Ek Tera Mujhe Apni Aagosh Mein SaMetna Mujhe Mera Har Khwaab Sacha Laga,
Hakikat Se Wakif The HuM Phir Bhi NaMuMkin se Khwaab Bunna Achha Laga...

Meri Aankhon ko Palak Jhapkaye Bina Tera Dekhna Mujhe Achha Laga,
Meri Zulfon ko Suljhate Suljhate Tera In Mein Ulajhna Achha Laga...

Kehne Ko Hai Akele Hai HuM Tanha Is Zindagi Ke Safar Mein,
Tere Qadmon Ka Saath Mere Soone Raaston Ko Achha Laga...

Mohabbat Ke Ehsaas Se To Ho Gaye The HuM Naaraz Kab ke,
Phir Bhi Na Jane Kyon Tujhe Chahna HaMein Achha Laga

Har Shab, Seher, Har Dua Mein, Har Sajde Mein Maanga Tujhe,
Na Jaane Kyon Tera Har Ek LaMhe Pe Ikhtiyaar HaMein Achha Laga,

Rooh Tadapti Rahi Meri Har WaQt Tere Paas Aane Ki Khwahish Mein,
Teri Masoom Mohabbat Ki Tapish Mein Jalna Phir Bhi Achha Laga...

Kisi Ke Naam Ki Hogi Shayad Tune Apni Tamaam Gazlein,
Aaj Tere Alfaazon Mein Shaamil Hona Hamein Achha laga...

Created

Last reply

Replies

13

Views

2k

Users

4

Likes

36

Frequent Posters

forgiveness thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 14 years ago
#2
kuch is tarah se nazar-andaaz kar diya logon ne humein..

jaise ezaafi lafz the hum unki zindagi ki kitaab mein..

forgiveness thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 14 years ago
#3
Paane se khone ka maza aur hai,
Band aankhon mein rone ka maza aur hai,

Ansoo bane lafz aur lafz bane gazal,
Aur uss gazal mein tere hone ka maza aur hai.

forgiveness thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 14 years ago
#4
Usne raat ke andhere mein
Meri hatheli pe apni ungliyon se
Likha tha ''Mujhe Pyar Hai Tumse''
Jane kaisi syahi thi ki woh
Lafz mitte bhi nahi
Aaj tak dikhe bhi nahi

forgiveness thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 14 years ago
#5
Main bhi hamesha dil se hi guftagu kiya karti hoon,

Hairan hoon tere dil tak mere lafz kaise nahin pohche..!

KYPH-AK thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 14 years ago
#6
I really really Love all the shayri u post...its just simply so touchyyy👏
forgiveness thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 14 years ago
#7
tere har lafz ko hum bandh ankhon se parh jayenge
teri har soch ko hum sochtey reh jayenge
muskuraoge tum jo hum bhi khush ho jayenge
aaoge jo milne humko raahon mein palkein bichayenge
alfaaz kuch na kehna tum sab kuch hum samajh jayenge

forgiveness thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 14 years ago
#8
heere dheere hi bolte hain dewaane
bina shor ke hi to jalte hain parwane

lafzon se nahi nazron aur saanson se hi ab baate hongi
sunega dil aur dhadkno se hi mulakaaten hongi

mil jaye kuch aise hum-tumm jaise phool aur khusbu
na duriyan hongi ab na deewaren hongi

forgiveness thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 14 years ago
#9
Tere Ehsaason se bhi ab meri Aankhein nam hone lagi hai......
IShQ hai tujhse iss kadar ki Tamaam Duniya mere Lafz bolne lagi hai......

Guzarte WaQt se Zindagi bhi ab Shaam ke Saye mein Dhalne lagi hai.....
Sisakti Yaadon mein bhi ab teri Parchaayi khone lagi hai.......

Tere Ehsaason se bhi ab meri Aankhein nam hone lagi hai..

forgiveness thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 14 years ago
#10
tum raah ho,
tum hi manzil bhi
mera aur koi humraaz nahi
Main tum pe yeh zaahir to kar doon
Mere paas magar alfaaz nahi

Tumhaare Ghar par jhoomti ghataaon mein
meri aarzoo hai ghuli hui
Mere iqraar ki khushboo
tumhaari saari fizaa mei hai ghuli hui

Yeh hawaa, yeh fizaa, yeh ghataa, sabko hai pataa
Tum ko bhi yaqienan ilm hai, mera tumse chhupaa koi raaz nahi
Main tum pe yeh zaahir toh kar doon
Mere paas magar alfaaz nahi

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".