forgiveness thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 14 years ago
#1
Khuda ko tumhe mera naam batana hoga
Jab arthi saji ho meri tumhe hi aag lagana hoga

Har haal mein nibha dena waada tum wafa ka sanam
Tuta jo tera wada ,hume khud ko mitana hoga

Har shakhs mujhe ab tere hi naam se janta hai
Tu nahin to fir mujhe benaam hi jeena hoga

Har bar maut k nam se hi darti rahi hun main
Teri judai jo hogi mera maut se saamna hoga

Haste hain to hasne de, kya gam hai zamane ka
Kal hamari yaad mein inhe bhi ashk bahana hoga

Bhul jaa k teri maut pe aansu bahaungi main
Mere jaane k baad hi tera uss jahaan me aana hoga…!!!

Created

Last reply

Replies

6

Views

6.8k

Users

2

Likes

16

Frequent Posters

forgiveness thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 14 years ago
#2
Juda hokar bhi ab tak wo mujhme rukaa huaa hai
Ek dard bankar meri aahon mein chhupa huaa hai

Jo khud mere zikra ko chhupaya karta tha kabhi
Aaj usi zubaan se har raaz duniya se bayan huaa hai

Mujhe nasihat de gaya wo dil na lagaane ki kabhi
wo kya jaane kis thokar se ye dil itna toota huaa hai

fursat jinhe meri tamaam chaahton se na thi ab tak
aaj mujhe dekhne bhar se hi wakt unka zaaya huaa hai

Uske waadon ki zanzeer hai mere paanv mein aisi
Kadam bhar bhi mushkil ab to mera chalna huaa hai

kiski chahat reh gayi uske seene me koi bataaye to
Mere zakhm dekh kar aaj use kyon dard sa huaa hai

Kahaan dhoodte ho meri khaak jahaan bhar mein tum
dhool banke Intezar tere har kadam par bikhra huaa hai…

forgiveness thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 14 years ago
#3
kyun aaghaz kiya tune ek bhujte chiraag se safar
roshni toh teri zindagi mein mere mitne ke baad aayi

reh gayi main kitab ke panno mein kahaani bankar
tune mujhe apne seene se khaak hone ke baad lagaaya

ki fakat mere gunaahon ko zaahir kiya har baat mein
jab bhi aaya tujhe likhna mera zikr-e-barbaad aaya

kis pal mein jeena chahte ho ab tum mujhe khokar
tumhe yaad aaya jeena bhi to mere mar jaane ke baad aaya

forgiveness thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 14 years ago
#4
Ek Zakhm.. Ek Dard... Ek Aha... Ek Armaan...



Kab se hai intezaar tera, tum bhi kabhi apni jalak dikhao na,
Rulaya hai zamane ne mujhe, aab tum to mujhe rulao na,

Logo se suna hai milte ho har ek ko tum,
Humare pas ane me tum yuh der aab lagao na,

Duniya ne tukraya hai aab koi tikana nahin mera,
tera hi asra hai aab, Khuda ke liye tum to mujhe apnao na,

Mera hona ya na hona ek barabar hai,
Talab hai zindagi se door tume mujhe apne sang lejao na,

Duayen aur ansoon tumara rasta rokhenge zaroor,
Wasta hai Khuda ka, aye Maut, mujhe le jane ke irade me tum aab gabrana na!

forgiveness thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 14 years ago
#5
Lakh koshish karti hu khud ko hasane ki,
per har baar aansuo ki barsat hogi
malum naa tha,

har din ek nayi asha jagti hai merre zehen mein,
per har bar mayusi se mulaqat hogi
malum naa tha,

lagta hai ab kuch nahi bacha jeene ko,
lekin dil mein ummeed ki ek qayanat hogi
malum naa tha..

Koi jazbaat mehsus nahi hota ab toh,
kisi k chale jane se beimaani si har baat hogi
malum naa tha..

forgiveness thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 14 years ago
#6
Zindagi rehne tak khushi dene ka wada kiya tha mene use NaSir

Mere maut par bhi use khushi mili, aisa deewana kahin dekha hai tumne

Forgotten-Toy thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago
#7
ye bhe sahe hain😆

o sory ap ki poct par ab like button kam nahi kar raha think 50 bar kar chuka hon,,to main kal like bhe kar don ga,,😊



muje shayri bohat achi lagti hai ak waqat tha main har shayri ka ans de deta tha shyri main ,,par ab siraf parta hon,,,😆


kuch log shayri ko shyri he samjhte hain par mere jeise pagal sharyi se bohat kuch keh dete hain or bohat kuch samj jate hain😆

mere pas eysi sharyi hai ke main kisi se sab kuch keh sakta hon😆ager koi samjhe to,😊
Edited by ansarSsssS - 14 years ago

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".