Sad Shayari Last Part...!!...Note pg 98 - Page 75

Created

Last reply

Replies

782

Views

136.5k

Users

22

Likes

2.3k

Frequent Posters

KYPH-AK thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 14 years ago

Originally posted by: urooj92

waj0od sheEshey ka ho to pathar0n se muhabbat nahi kartey
mohsin,


ehsaas-e-chahat na miley to wajood bikhar jaya kartey hain..!!

rojjiii all of them r superb but really loved this one!! 😊
610378 thumbnail
Posted: 14 years ago
All are amazingg Every1!! keep posting
KYPH-AK thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 14 years ago

Aansuo'n Se Bhar Gaya Daaman Mera

Haath Tou Maine Uthaye Thay Dua Kis Ki Thi

Edited by KYPH-AK - 14 years ago
KYPH-AK thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 14 years ago

Kabhi Ghum Ki Aag Main Jal Uthe
Kabhi Dil ka Dagh Jala Dia

Ay Janoon-e-Ishq Bata Zara
Mujhe Kyun Tamasha Bana Dia

Gham-e-Ishq Kitna Ajeeb Hai
Ye Janoon Se Kitna Qareeb Hai

Kabhi Ashk Palkon Pay Ruk Gaye
Kabhi Main Ne Darya Baha Dia

Mera Jazba-e-Shoq To Dekhiye
Meri Bandgi Hai Wo Bandgi

Abi Kar Rehe Ho Tum Ibteda
Mera Keh Raha Hai Ye Tajruba

Tumain Zindagi Ki Hai Arzu
Mujhe Zindagi Ne Mita Dia'..!!!

KYPH-AK thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 14 years ago
Tairi aarzoo main jo bhikar gay

Mairi khawahishoo'n kay woh gulab thay

Na tum milay,na sakoo'n mila na hi dard thama

Mairi taamam zindagi ka hasil

Shikasta khawab thay

Hum Dil ki wairaneo'n ka gila

Kahan tak kartay

Tumharay Intazar k mousam bhi to

Bay hisab thay

Aakhir shab

Dard say thein bojhal palkei'n

Yah ratjagoo'n k silsalay,Kitna bara aazab thay!!!
KYPH-AK thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 14 years ago

Old one but yet one of my fav. :) ai maut! unhein bhulaaye zamaane guzar gaye
aa jaa ki zahar khaaye zamaane guzar gaye

o jaane vaale aa ki tere intazaar mein
raste ko ghar banaaye zamaane guzar gaye

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se nijaat paaye zamaane guzar gaye

kya laayaq-e-sitam bhii nahin ab main doston
patthar bhi ghar mein aaye zamaane guzar gaye

jaane bahaar phuul nahin aadmi hun main
aa jaa ki muskuraaye zamaane guzar gaye

kya kya tavaqqoat thi aahoN se ai 'Khumar'
ye teer bhi chalaaye zamaane guzar gaye

Adorable-RH3 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 14 years ago

Originally posted by: KYPH-AK

Old one but yet one of my fav. :) ai maut! unhein bhulaaye zamaane guzar gaye
aa jaa ki zahar khaaye zamaane guzar gaye

o jaane vaale aa ki tere intazaar mein
raste ko ghar banaaye zamaane guzar gaye

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se nijaat paaye zamaane guzar gaye

kya laayaq-e-sitam bhii nahin ab main doston
patthar bhi ghar mein aaye zamaane guzar gaye

jaane bahaar phuul nahin aadmi hun main
aa jaa ki muskuraaye zamaane guzar gaye

kya kya tavaqqoat thi aahoN se ai 'Khumar'
ye teer bhi chalaaye zamaane guzar gaye

amazing one sehr 👏
CSSK thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Fascinator 1 Thumbnail
Posted: 14 years ago
Badle The Wo, Mausam Humein Keh Gaye,
Acche The Wo, Bura Humein Keh Gaye,
Humein To Ki Thi Har Pal Unse Wafa,
Nibhai Khud Se Na Gai, To Bewafa Humein Keh Gaye.
CSSK thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Fascinator 1 Thumbnail
Posted: 14 years ago
Yu Na Nazren Chura Mujhse Pyaar Jata Ke,
Kah De Jo Gila Hai Mujhse Tujhe,
Sah Na Sakenge Teri Nafrat Ko Hum,
Bahut Chaha Hai Humne Tujhe Sanam,
Dil Tod Ke Na Ja Meri Duniya Se,
Tu Nahi To Kya Karenge Is Jahan Ka Hum.
CSSK thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Fascinator 1 Thumbnail
Posted: 14 years ago
Ishq Ke Raston Mein Judai Na Mili Hoti,
Hume Pyaar Mein Ye Bewafai Na Mili Hoti,
Khush Hote Hum Bhi Auron Ki Tarah,
Agar Hume Unse Ye Ruswai Na Mili Hoti

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".