Sad Shayari Last Part...!!...Note pg 98 - Page 13

Created

Last reply

Replies

782

Views

136.7k

Users

22

Likes

2.3k

Frequent Posters

491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
Tere Husn Ko Perde Ki Zaroorat Hi Kya Hai Zaalim..
Kon Rehta Hai Hosh Main Tujhe Dekhne K Baad.?
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
Bas yehi adat uski mujhe achhi lagti hai…
Udaas kar k kehta hai Naraaz to nahi ho na…
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
Kon kehta hai Nafraton main Dard hai Mohsin….
Kuch Muhabbatain bhi bari Azziyat nak hoti hain!!!
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
Koi paTher sa Dil lao,
Ke Insaanon main jeena hai !!
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
Tabeebon Sy kiya Pochon Ilaaj-e-Dard-e-Dil Mohsin…
Marz jab Zindagi khud ho to 'Dawa' kesi 'Dua' kesi!!!!!
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
Tumhein bholny main humhein kuch waqt lagy ga janah
Or wohi kuch waqt humari zindagi hai…..
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
Dekho Gay Tou Mil Jayeingi Har Moor Pe Laashein…
Dhoondo Gay Tou Iss Sheher Main Qaatil Na Milega…
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
Tuhmaten To Lagti Raheen Roz Nayi Nayi Hum Per Mohsin
Magar Jo Sub Se Haseen Ilzam Tha Woh Tera Name Tha
Adorable-RH3 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 14 years ago
Dil ki lagi hai kya dil laga ke dekh,
Kabhi hasa ke dekh tou kabhi rula ke dekh,
Parwana jal raha hai tou jal raha hai kyun,
Agar ye raaz jaanna hai tou khud ko jala ke dekh.
Adorable-RH3 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 14 years ago
Jo na mil sakay wohi Bewafa

Ye bari ajeeb c baat hai.

Jo chala giya mjhy chor kr

Wohi aaj tak mere saath hai.

Mera naam tak jo na le saka,

Jo mujhy Qaraar na de saka,

Jise Ikhtiyar to tha magar,

Mjhy apna pyar na de saka,

Wohi dard meri hayaat hai,

Wohi shakhsh meri TALASH hai.

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".