Faraz Ahmed's SOS #2 [CLOSED] - Page 11

Created

Last reply

Replies

385

Views

28.4k

Users

10

Likes

875

Frequent Posters

491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
Kahin Tanha Na Kar Dey Tujhe Munfarid Rehne Ka Shok FARAZ…
Jab Din Dhalay To Kisi Se Haal-E-Dil Keh Diya Kar.
Forgotten-Toy thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago
Meri Palkon Ka Ab Neend Se Koi Tal'luq Nahi Raha,...

faraz

Woh Kaisy Hain is S0CH Mein Meri Raat Guzar Jati H

Forgotten-Toy thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago

Kal Raat Maine Apne Dil Se Bhi Taluk Torr Diya"


faraz,,




Kambakht Tujhe Bhool Jane Ki Baat Karta Tha..
Forgotten-Toy thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 2
Posted: 14 years ago

Originally posted by: fruity1996

Sunaa Hai Bole To Baaton Se Phul Jhharte Hain
Ye Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain

Sunaa Hai Raat Use Chaand Taktaa Rahtaa Hai
Sitaare Baam-E-Falak Se Utar Kar Dekhte Hain


Sunaa Hai Hashr Hain Us Kii Gazaal Si Aankhen
Sunaa Hai Us Ko Hiran Dasht Bhar Ke Dekhte Hain

Sunaa Hai Din Ko Use Titaliyaan Sataati Hain
Sunaa Hai Raat Ko Jugnuu Thaher Ke Dekhte Hain

Sunaa Hai Raat Se Barh Kar Hain Kaakulen Us Ki
Sunaa Hai Shaam Ko Saaye Guzar Ke Dekhte Hain

Sunaa Hai Us Kii Siyaah Chashmagii Qayaamat Hai
So Us Ko Surmaafarosh Aah Bhar Ke Dekhte Hain

Sunaa Hai Us Ke Labon Se Gulaab Jalte Hain
So Ham Bahaar Par Ilzaam Dhar Ke Dekhte Hain

Sunaa Hai Aa'inaa Tamsaal Hai Jabiin Uski
Jo Saadaa Dil Hain Ban Sanvar Ke Dekhte Hain

Sunaa Hai Jab Se Hamaail Hain Us Ki Gardan Mein
Mizaaj Aur Hii Laal-O-Gauhar Ke Dekhte Hain

Sunaa Hai Chashm-E-Tasavvur Se Dasht-E-Imkaan Men
Palang Zaave Us Kii Kamar Ke Dekhte Hain

Sunaa Hai Us Ke Badan Ke Taraash Aise Hain
Ke Phuul Apanii Qabaayen Katar Ke Dekhte Hain

Vo Sarv-Qad Hai Magar Be-Gul-E-Muraad Nahi
Ke Us Shajar Pe Shaguufe Samar Ke Dekhte Hain

Bas Ek Nigaah Se Lutataa Hai Qaafilaa Dil Ka

So Rah-Ravaan-E-Tamannaa Bhii Dar Ke Dekhte Hain

Sunaa Hai Us Ke Shabistaan Se Muttasil Hai Bahisht
Makiin Udhar Ke Bhii Jalve Idhar Ke Dekhte Hain

Ruke To Gardishen Us Kaa Tavaaf Karti Hain
Chale To Us Ko Zamaane Thaher Ke Dekhte Hain

Kise Nasib Ke Be-Pairahan Use Dekhe
Kabhii Kabhi Dar-O-Diivaar Ghar Ke Dekhte Hain

Kahaaniyaan Hi Sahi Sab Mubaalage Hi Sahii
Agar Vo Khvaab Hai Taabiir Kar Ke Dekhte Hain

Ab Us Ke Shahar Men Thaharen Ki Kuch Kar Jaayen

"Faraz" Aao Sitaare Safar Ke Dekhte Hain

nice Shafaq,,,,,,,,👏

samiheenu thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 14 years ago
Wo kehta tha tere jism ka saaya hoon fArAz...
Shayad issi liye andheron mein saath chhor gya...
samiheenu thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 14 years ago
Dard Itna Tha Zindagi Men,

Dharkan Sath Dene Se Ghabra Gai FARAZ, . .

Band Thi Ankhein Kisi Ki Yaad Men, Mout Aai oR Dhoka Kha Gai..
samiheenu thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 14 years ago
Milnay ki gharz ho to chalay aatay hain apnon ki tarha "", FARAZ

Dil bhar jaye to jawaab dena bhi gawaara nahi kartay..
samiheenu thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 14 years ago
Ishq ki rahon me Do hi Manzilein hain FARAZ... !

Ya dil may utar Jana....

Yaa dil say utar Jana.....!!
KYPH-AK thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 14 years ago

Originally posted by: samiheenu

Wo kehta tha tere jism ka saaya hoon fArAz...
Shayad issi liye andheron mein saath chhor gya...

Excellent 👏...rest r awesome as well
samiheenu thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 14 years ago
wo roz dubte suraj ko dekhta hai FARAZ

kash main b kisi SHAAM ka MANZAR hota.

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".