Sad Shayari Part 2--- Closed - Page 23

Created

Last reply

Replies

390

Views

46.8k

Users

8

Likes

787

Frequent Posters

KYPH-AK thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 14 years ago

😲😲OMG..rojiiii i loved it each and every word of ur shyari u posted 👏

..imperfect.. thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 14 years ago

Originally posted by: KYPH-AK

😲😲OMG..rojiiii i loved it each and every word of ur shyari u posted 👏

thanku
🤗
..imperfect.. thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 14 years ago
Us ajnabi ka youn na intezaar karo,
Is Aashiq dil ka na aetbar karo,
Roz nikla karen kisi ke yaad mein aansoo,
Itna kabhi na kisi se pyaar kia karo.....!!
..imperfect.. thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 14 years ago
chal tujhy dekha doon apne shehar ki veeran galiyaan "mohsin"

shayad k kuch tujhey ehsaas ho meri tanhai ka..
..imperfect.. thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 14 years ago
KahinTum Bhi Nazar Aao,
Subha Se Shaam Tak Ham Ko,
Bohat Se Log Miltay Hain,
Nigahon Se Guzartay Hain Magar,
Tum He Nahi Miltay,...
Ye Wohi Rastay Hain,
Magar Inhi Raston Main Jaan-E-Jaan,
Bohat Bechain Phirtay Hain,
Baray Betab Rehtay Hain,
Dua Ko Hath Uthatay Hain,
Dua Main Ye Bhi Kehtay Hain,
Lagi Hai Bheer Logon Ki,
Magar
Iss Bheer Main Jaana
Kabhi Tum Bhi Nazar Aao,
Kahin Tum Bhi Nazar Aao..!!
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
thanx 😊
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago

Originally posted by: urooj92

bichre Hue Logo Ki Yaden Mar Deti Hai,
Kuch Parda Nashinon Ki Adaen Mar Deti Hai,
Kisi Ko Raas Aa Jati Hai Bd-Dua,
Aur Kisi Ko Apno Ki Duan Mar Deti Hai,
Wo Shajar Se Toote Hue Bdnaseeb Patty,
...Jinhen Har Mosam Mein Hawaen Mar Deti Hai,
Kisi Ko Dosh Na Do Us Ki Bewafai Ka,
Chahne Walon Ko Apni Khataen Mar Deti Hai,
Har Ik Sitam Seh Kar B Jo Rehte Hai Wafa Par Qaim,
Aise Wafadar Logo Ko Aksar Wafaen Mar Deti Hai.

👏👏👏👏
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
chand ko zamin par lane ki zid thi
hamen unhen apna banane ki zid thi
jis raah par lakhon ghar barbaad huwe
humen bhi wo raah apnane ki zid thi
accha huwa k wo bewafa ho gaye
warna unhen pane k liye is zamane ko jalane ki zid thi
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
ek zaraa si bhool khata ban gyi
meri wafa hi meri sazaa ban gyi
dil liya aur khel kar tor diya
hamare aansoo nikle aur
unke honton ki muskaan ban gyi
491548 thumbnail
Posted: 14 years ago
sapnon se dil lagane ki aadat nhi rhi
har pal muskurane ki aadat nhi rhi
ye soch kar k koi manane nhi aayega
ab humen ruth jane ki aadat nhi rhi

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".