Sad Shayari Part 2--- Closed - Page 2

Created

Last reply

Replies

390

Views

46.9k

Users

8

Likes

787

Frequent Posters

KYPH-AK thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 15 years ago
#11

Bahot Kuch Badal Jaata HaiTere Aane Ke Baad
BAhot Kuch Bichad Jaata Hai Tere Jaane Ke Baad
Woh Samundar Ki Lehrey Woh Reit Ke Mahal
Bahot Kuch Beh Jaata Hai Saahil Se Takra Jaane Ke Baad
Woh Baarish Ke Moti Woh Taaron Ki Khwaish
Bahot Kuch Bikhar Jaata Hai Khwaab Toot Jaane Ke Baad
Woh Teri Parchaiyon Se Takrana Woh Saayon Ka Lehrana
Bahot Kuch Mit Jaata Hai Andhera Cha Jaane Ke Baad
..imperfect.. thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 15 years ago
#12

kisi k haq main sahi woh koi dua to karey
woh keh nahi sakta meri suna to kare,

kabhi bataye woh aaker meri khata mujhko
woh mujh se kis liye rootha hai koi gila to kare,

main lout jaon ga wapis apni dunia main
woh shaks mujhse bicherne ka faisla to kare..!

..imperfect.. thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 15 years ago
#13
Alvida khete huay jab us ney humse talab ki koi nishani,
Hum muskura k bolay, dagh-e-judai hi kafi agar tumhay yaad rahay to...!
Edited by urooj92 - 15 years ago
..imperfect.. thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 15 years ago
#14
One of my favourites..
?Badnam Zamane main Mohabbat nahi karte ,
Dil waly tu Dushman se bhi Nafrat nahi karte ,

Ek bar Jisy Chaha sada Uss k Rahe phir ,
Hum log Amanat main Khianat nahi karte ,

Tanhai main Karte hain Yaad Aansoo baha kar ,
Zahir kabhi Hum Apni Ebadat nahi karte ,

Waqt aane par Maaloom Yeh ho jaiy ga Tumko ,
Hum Sirf Dekhawe ki Mohabbat nahi karte ,

Likhte hain Faqat ek Tumhare lye Ghazlain ,
Hr Shakhs pe Hum Aise Enayat nahi karte .....!!
KYPH-AK thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 15 years ago
#15

Originally posted by: urooj92

it was really really good👏
..imperfect.. thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 15 years ago
#16

Originally posted by: KYPH-AK

it was really really good👏

Thanku janu x
..imperfect.. thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 15 years ago
#17
Qadm Qadm pe wafa ky ujaly or bhi they,
Mohabbat ky hazar hawaly or bhii they,
hamein tu apki baten pasand agyi.........
warna is sheher me dil torne wale or bhi theyyyyy........!!
..imperfect.. thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 15 years ago
#18
Mujhe maloom hy main us k bina jee nahi sakta ,

Us ka bhi yehi haal hy per kisi aur k liye..!!
KYPH-AK thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 15 years ago
#19

Meri Ankon Ke Samandar Men Jalan Kaisi Hai
Phir Dilko Tarpne Ki Lagan Kesi Hai
Barf Ke Rup Men Dhal Jayege Ristey
Mujse Pucho Mohabbat Ki Agan Kesi Hai

Meri Ankhon Ke Samandar Mein Jalan Kaisi Hai
Aaj Phir Dil Ko Tarapne Ki Lagan Kaisi Hai
Ab Kisi Chhat Pe Charagon Ki Qatarein Bhi Nahin
Ab Tere Shehar Ki Galiyon Mein Ghutan Kaisi Hai

Baraf Ke Roop Mein Dhal Jayeinge Saare Rishtey
Mujh Se Poochho Muhabbat Ki Agan Kaisi Hai
Mein Tere Wisal Ki Khuwahish Ko Na Marne Doongi
Mausam-E-Hijar Ke Lehje Mein Thakan Kaisi Hai

Regzaron Mein Jo Banti Rahi Kaanton Ki Rida
Us Ki Majboor Si Aankhon Mein Kiran Kaisi Hai

Mujhe Masoom Si Pagal Larki Pay Taras Ata Hai
Usey Dekho To Muhabbat Mein Magan Kaisi Hai
KYPH-AK thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 15 years ago
#20

karon na yad agar kis tarah bhulaon use
gazal bahana karon aur gungunaon use

wo khar-khar hai shakh-e-gulab ki manind
main zakhm-zakhm hon phir bhi gale lagaon use

ye log tazakare karate hain apne logon se
main kaise bat karon aur kahan se laon use

magar wo zudfaramosh zud ranj bhi hai
ke ruth jaye agar yad kuch dilaon use

vahi jo daulat-e-dil hai vahi jo rahat-e-jan
tumhari bat pe ai nasiho ganvaon use

jo hamsafar sar-e-manzil bichar raha hai 'Faraz'
ajab nahin ki agar yad bhi na aon use

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".