yadon ke siva mere paas aur kuch nahi
zindagi ke safar mein kaun kiska hota hai
chhaya bhi sath nahi deti jab andhera hota hai...
Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 30th Aug 2025 - WKV
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 30 Aug 2025 EDT
MAIRA KNOWS 30.8
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 31 Aug 2025 EDT
Monsoon Magic Micro-fiction Contest Felicitation Ceremony
Throw back! When katrina did not take 'gentle' gently from Shah!
CASE IN COURT 31.8
Vicky says Katrina hates ‘honest feedbacks’ about her acting but…..
Queen 2 Tanu Weds Manu 3 Get Rolling
Amaal has a message for his Phansss 😇
Unseen bollywood pics
Trailer - Do You Wanna Partner - Tamannaah Bhatia Diana Penty
Anupamaa 31 Aug 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Sidharth Malhotra future prediction!!! From what his future says!!!!
Anupamaa completes FIVE Years !! Fifth Anniversary Celebrations
CID episode 75 - 30th August
The Curry-ous Readers 🍛 Book Talk Reading Challenge September 2025
24 years of Lajja
Jaane kya hai dil ke andar jo chupke se toot raha hai,
Ek meherbaan ka haath jaise hathon se chooth raha hai''
Ankhon mein ashkon ka samandar hai..
lagta hai jaise koi patta shaakhon se toot raha hai''
Ashkon ko Meri Aankhon mein rehne ki aadat si ho gayi hai
Ab toh Jaise Ishq hi mujh se rooth raha hai''
kuchh farmane ki gustakhi kya mai bhi kar sakti hoon
ek masoom jazbat mera bhi zuban se phoot raha hai''
Pal bhar ka pyaar aur barson ka intezaar
jaise koi apna hi apne ghar ko loot raha hai'
Jaise insan ka rista khud apne app se hai
Mat Tor Woh Taluk Jo Teri Zaat Se Hai,
Tu Khafa Meri Kis Baat Se Hai,
Tu Bhi Na Uljha Kar Mujhse Is Tarah,
Jo Tu Achi Tarah Wakif Mere Jazbat Se Hai,
Main Kaise Ji Lon Tumse Rooth Kar,
Meri Har Saans Wabasta Teri Yaad Se Hai,
Mera Taluk Jura Hai Kuch Is Tarah Tumse,
Jaise Insan Ka Rishta Khud Apnay Ap se Hai……!!!!
Palkon pe aanso'on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka
zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka
jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso'on ko chupaya na jaa saka
kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka
bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka
woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka
tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka.