Sad shayari Part 1 Closed - Page 14

Created

Last reply

Replies

437

Views

93.7k

Users

17

Likes

884

Frequent Posters

..imperfect.. thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 15 years ago
ae barish tujhy aaj kis ne rula diya hai

barasti hi ja rahi hai mere sheher me.....
..imperfect.. thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 15 years ago

Mohhabat Ka GhuM HoTa BohuT Hai,
K ab Ye Lafz Bhi Ruswa BohuT Hai,
UDasi Ka Sabab Main Kiya Bataon?
Gali Kochon Mein SanaTa BohuT Hai,
Na MiLne Ki QasaM Kha K Bhi Main Ne,
TuJhe Har Raah Mein DhunDa BohuT Hai,
Ye Aankhein Aur Kiya Dekhein Kisi Ko,
Inn Aankhon Ne TuJhe Dekha BohuT Hai,
Na Jaane Kyun Bacha Rakhe Hein Aanso,
ShayiD MuJhe Rona BohuT HaI,
TuJhe MaLooM To HoGa MeRe HuMDuM,
TuJhe Aik Shakhs Ne Chaha BohuT HaI.!

.Hussain. thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago

Todkar Mujhko Jo Dekhogey Bikharna Mera
Lutf De Jayega Ye Jaan Se Guzarna Mera
Na Milen Phool To Kantein Ho Ki Angaray Hoo
Jo Bhi Taufiq Ho Daman Kabhi Bharna Mera
Toonay Dekha Hai Ulajhtey Hue Toofaan Se Mujhey
Dekh Ab Bad E Bahari Se Bhi Darna Mera
Lakh Zehnoo Se Jhataknay Ki Karogey Koshish
Itna Asaan nahi Zehnoo Se Utarna Mera
De Raha Hai Merey Jeeney Ki Nafasat Ka Saboot
Zair E Khanjar Bhi Ye 'Darwesh' Sanwarna Mera

KYPH-AK thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 15 years ago
This one is a bit long but bear it...😆
Yun chalte phirte rahon mein,
jab tum humse takraoge,
dil ki baat kahoge per,
Tum humse keh naa paoge,


Rote hue jab dekhoge,
To dil bhi tumhara roega,
Tum apna hath barhaoge,
per ansu puhunch na paoge,


Jab tumse kuch kahunga mein,
to unsuna tum kardoge,
meri baat to sunna chahoge,
per afsos....k sun na paoge,,


jab kaghaz per mad-hoshi se,
tum naam jo mera likhoge,
uss naam ko choona chahoge,
per likh ker tum mitaoge,

jab tere qareeb na honge hum,
chup ke se humein pukaroge,
tum humko dekhna chahoge,
per afsos,,,k dekhna paoge,


koi esa din bhi aega,
k koi humsafar tum paoge,
hum tumko bhul na paenge,
to kia jo tum bhulaoge!!!
KYPH-AK thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 15 years ago
Guzre hue lamhon ka, zakhm hai dil par
Bichdi hui yaadon ka, asar hai hum par
Ghut ghut kar jeena bhi, taqdeer hai apni
Yeh badnasibi hai meharbaan hum par
Raaton ko jagna fitrat hai apni
Dard-e-dil ko seena bhi kismat hai apni
Bewafaa hone ka ilzaam hai hum par
Guzre hue lamhon ka zakhm hai dil par
KYPH-AK thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 15 years ago

Tujhe kya khabar teri yaad ne mujhe kaise kaise sata diya,
Kabhi khilwato me hasa diya,kabhi mehfilo me rula diya,
Tere ishq me kabhi yun hua ke namaz meri qaza hui,
Teri aarzu ne kabhi kabhi mujhe mere rab se mila diya..
KYPH-AK thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 15 years ago
Ajeeb Tarha Se Socha Hai Zindagi Ke Liye
Ke Zakhm Zakhm Main Ghulta Hon Har Khushi Ke Liye
Woh Mujh Ko Chor Kar Gaya To Phir Yaqeen Aaya
Koi Bhi Shakhs Zarori Nahin Kisi Ke Liye

KYPH-AK thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 15 years ago

Hum Nay Kab Tum Se Mulaqat Ka Wada Chaha
Door Reh Kar Bhi Tumhay Tum Se Ziada Chaha
Bari Shiddat Se Yaad Aaye Tumhari
Jab Bhi Tumhay Bhoolnay Ka Irada Chaha...
KYPH-AK thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 15 years ago
Zehn k khayalon mein
Rooh k ujalon mein

Zindagi ki jheelon mein
Zaat ki faseelon mein

Ratjagon k daman mein
Khawahishon k aangan mein

Dil k khushk sehra mein
Chashm-e-tar k darya mein

Dard k jahan mein bhi
Ashq-e-be zuban mein bhi

Aur khuch nahin rehta
"Teri Yaad Rehti Hai"
KYPH-AK thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 15 years ago

khaali shishe bhi nishaan rakhte hain...
tute hue dil bhi armaan rakhte hai...

jo khaamoshi se guzar jaaye,
woh dariyaa bhi dil me toofan rakhte hai...

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".