Sharart na hoti sikayat na hoti,
Neno me kisi ke nazakat na hoti,
Na hoti bekrari na hote hum tanha,
Agar jahan me kambhakt ye mohabbat na hoti,
Na hote ye sapne na khwabo ki duniya,
Kisi ki chahat ki tamanna na hoti,
Na zulfon ki chaya na phulon ki khushbo,
Yaddon me unki ye raten na kat ti,
Jo na hoti mohabbet ye aansu na hote,
Dil bhi na khota, Aaj tanha na rota,
Diwano si aapni ye halat na hoti,
Agar jahan me kambhakat ye mohabbat na hoti....