“‘Khush rahiye Shaurya Sir’ yeh kaha tha na tumne anokhi
Kaise yakeen dilaun tumko anokhi ki meri khushi tum se hai,
Jitna khush tumhare saath rehta hoon utna khush in 30 saalon mein kabhi nahi hua
Mujhe nahi pata tha engagement ke baare mein anokhi
Badi maa ne aise suddenly announce kar diya
Agar mujhe pata hota toh…”
“Aapne kuch bhi nahi bola…”
“Main khud shocked tha anokhi,
Itna sab arrangements tumhare birthday ke liye kiye the, to make it special.
Main sirf tumhare hothon pe hasi dekhna chahta tha,
Na ki aansu.
Please mat ro anokhi, main nahi chahta ki tum apne birthday ke din…”
“Birthday kaha PS, woh toh apka aur shagun ma’am ka pre engagemnt celebration tha, haina?"
"Aur Main kaise yakeen karu PS?
Date pe bulaya mujhe, baithi thi woh
Birthday mera, lekin celebration koi aur
Aap keh rahe hai aapko pata hi nhi tha
Kya aapko yeh bhi nahi pata tha ki shagun ma’am yaha kyu aayi hai?"
“Aapki puri family ki pasand shagun ma’am hain, main honestly aapki family mein fit hi nahi baithti
Aapko Acp Ahir ka mere aas paas rehna pasand nahin,
Lekin mujhe toh bahut acha lag raha hai na ki shagun ma’am aur aapki sagai ho rahi hai
Isi liye toh kuch bhi nahi bol rahi hu
Bilkul gussa nahi hoon mai
Na hi jealous hoon PS, sorry, sir
Ab toh haq nahi raha na.
Meri kisi bhi feeling ka koi wajood nahi hai,
Kyuki humare rishte ka hi koi wajood nahi hai.
Aur jab wajood nahi hai, toh haq kaisa?”
“Aisa mat kaho anokhi,
Tumhara hi toh haq hai anokhi,
Haq hai tumhara.”
“Yeh hi kahege kya aap, jab apke ungli mein aap dono ki sagai ki anguthi hogi?”
“Yeh hi toh baat hai na shaurya sir, aapke pyaar pe shaq nahi hai mujhe,
Lekin yeh pata hote hue ki aapke sagai ki announcement hui hai aaj,
Main kaise?
Kaise?”
"I am sorry PS, main yakeen karna chahti hun,
Mujhe itna toh pata hai ki woh sab jo aapne kiya mere birthday ko acha banane ke liye
Woh jhoot toh nahi ho sakta,
par party mein jo hua woh bhi toh jhoot nahi hai,
Kyun ho raha hai sab?
Aur kya ho raha hai?
Kyun?"
She takes few steps back, turns in the opposite direction,
And she runs away as fast as she could, as far away as she could.
Ensuring to take the broken pieces of her heart with her,
With the determination that she won’t let her heart break into more pieces
Shaurya wanted to stop her, he found himself with the same thoughts again,
‘Kyun humare saath hi aisa hota hai anokhi, baat bante bante bigad jaati hain’
Anokhi might not believe him right now, but he obviously isn’t going to get engaged.
“Mujhe nahi samjh aa raha hai ki kya ho raha hai?
Aur kyun?
Par main sirf itna jaanta hun anokhi,
Main tumhara hoon anokhi,
Aur tum meri.
Ek din tum yeh zaroor yakeen karogi,
Aur tum apna haq jata bhi paongi,
I promise.
Lekin tum aise mujhe chodh ke nahin jaa sakti anokhi,
nahin jaa sakti,
main aise nahin hone de sakta,
phir se nahin."