Originally posted by: holysoul
dear ..its sounds really
interesting... the prologue is too good yrr ..
update asap..
keep smiling...
Bigg Boss 19: daily Discussion Thread- 1st Sept 2025.
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 01 Sep 2025 EDT
Mannat Har Khushi Paane Ki: Episode Discussion Thread - 26
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 31 Aug 2025 EDT
CASE IN COURT 31.8
UMAR KHAYID 1.9
Bacha chor is such an incompetent lawyer🤦♀️
Why she gets bollywood movies
In this gen Cliff wali legacy maut will not happen
Happy Birthday wat_up 🎂
Celebs pictures during Ganesh Festival
I wanted Abheera’s fate for Akshara
Jee Le Zaraa Is Happening
Janhvi Kapoor In Talks For Chaalbaaz Remake
Mrunal Thakur Called Mean Girl
Originally posted by: holysoul
dear ..its sounds really
interesting... the prologue is too good yrr ..
update asap..
keep smiling...
Originally posted by: -whitepearl-
awesome prologue girl
I really liked it
continue soonish
Khushi
Originally posted by: newmoon18
I luved the prolouv
It was awsme
Would luv to read it
Pm me for sure
PART-1 Pouring My Heart Out....
So the story starts from sanyukta's mom calling randhir to meet her in the cafe...
Randhir(roaming around the table): pata nhi aaj sasu ma ko meri yaad kaise aa gyi ...(he started rehearsing how he will greet her and then he suddenly bumps with a waiter and water is spilled on his shirt and he start arguing with the waiter and holds his collar and then suddenly sanyukta's mom comes and sees the scenario...)
S.mom: (in mind) yeh ladka jab dekho ladta rehta hai pata nhi sanyukta ko is mein kya dikha and she starts leaving from there...
Randhir: aunty ji... and he went after her outside the cafe
S.mom: (turns around) dekho randhir main yahaan tumse sirf baat karne aayi thi par mujhe aisa lagta hai ki tumhe ladai ke siva kuch aur aata hi nhi hai...
Randhir: dekhiye aunty ji main jaanta hun ki mera bahut achcha impression nhi hai aap par aur main yeh manta hun ki mujhse bahut galtiyaan hui hain phir chahe woh engagement par hua tamasha ya phir aaj jo bhi kuch hua par aunty ji main un sab ke liye aapse apologise karna chaahta hun...
S.mom: tumhe kya lagta hai tum bas ek baar sorry kahoge aur sab theek ho jayega...
Randhir: aunty main jaanta hun sab theek nhi hoga par aap mujhe ek mauka toh de sakti hai na...
S.mom: kyun dun main tumhe mauka?...
Randhir: sahi kaha aunty aapne, aap mujhe mauka kyun dengi jab mere apne parents ne kabhi mujhe apne paas tak aane ka mauka nhi diya toh aap mujhe mauka kyun dengi? Aunty sach toh ye hai ki na toh mujhe apna anger control karna aata hai, na hi kisi ko respect karna aur na hi jhoot bolna isliye main aapse jhut nhi kahunga ki main sanyukta ke liye sabse perfect insaan hun , par main yeh zarur kahunga ki mujhse zyada pyaar sanyukta ko koi nhi kar sakta...aunty sanyukta ne hi mujhe pyaar ka matlab sikhaya hai , aur yakeen maniye aunty ki main sabse zyada kisiko admire karta hun toh woh sanyukta, uski dreams aur uski simplicity hai ...aur yakeen maniye aunty ki agar aaj main jee rha hu toh sirf sanyukta ke liye ab tak main apni zindagi sirf kaat rha tha...aur main apne aap ko prove karke dikhaunga...
S.mom: (feeling the intensity and truthfulness in his voice) tumhe kuch prove karne ki zarurat nhi hai, tumhaari sachchai tumhaari aankhon mein dikhti hai par main ab bhi tumse kuch puchna chahti hun ...jab sanyukta ne sabke saamne apne pyaar ka izhaar tumse kiya tha tab tumne mana kyun kiya , tab tum dar gaye the ya tab tak tumhe apne pyar ka ehsaas nhi hua tha?
Randhir: aunty ji dara toh main kabhi bhi nhi tha aur apne pyaar ka ehsaas mujhe bahut pehle hi ho chukka tha lekin agar main us din sabke saamne is baat ko maan leta toh sameer aur uski family ko sanyukta ke character par sawal uthane ka mauka mil jaata joh main kabhi bhi tolerate nhi kar sakta
S.mom : ek akhri sawaal, agar kabhi sanyukta ko apni family aur tum mein se kisi ek ko chunna padha aur woh tumse madad maangti hai toh tum us se kya kahoge?...
Randhir: aunty bachpan se akela rha hun main aur jab sanyukta meri life mein aayi toh aisa laga jaise sab kuch mil gaya ho, par phir bhi agar kabhi aisi situation aayi toh main sanyukta ko wahaan jaane ke liye kahunga jahaan uski sabse zyada khushi hai, uski jaan basti hai apni family mein aur uski khushi ke liye agar mujhe us se dur bhi hona pada toh main peeche nhi hatunga par aunty maine uska haath chhodne ke liye nhi pakda tha aur main jaanta hun hamaara pyaar itna kamzor nhi hai ki aisi situations se deal na kar paaye...
Precap: randhir's reaction on an incident and S.mom's decision
I am sorry guys am posting so late and i know its short but had a lot of homework , i know it was very boring but this was very essential conversation, i will try to give a longer update next time and i will post it soon... plz give some comments appreciation and criticism both are welcome...😊
Love😊
Lakshita⭐️😳
Originally posted by: -whitepearl-
awesome update
loved it
I hope show mein bhi aisa hi ho
continue soon
Khushi