This weekend on Hungama โ Ismail Darbar's world's biggest Garba.
Neha: ๐ Hello and a very warm welcome to Hungama. Main hoon Neha Bhasin aur aaj mere paas aap logon ke liye kuch khaas hai. Jaise ki aap jaante hain, pichle hafte Ismail ji ne ek garba host karne ka elaan kiya tha. Kuch din pehle, yeh garba Surat mein laga. Aur Ismail ji ke saath wahan jaa pohunche SaReGaMaPa ke sabhi contestants aur gurus. Aur humari Hungama team bhi. To chaliye hum aapko dikhate hain wahan kya Hungama hua!
(Cut to scene)
Neha: Mere saath hai is Garbe ke host, Ismail Darbar. Ismail ji, kaafi acchi tayyari ki hai aapne. ๐
Ismail: Shukriya. Yeh to bas upar wale ki karam aur baaju wale ki madad se poseebal hua hai.
Neha: Baaju wale? Matlab aapke padosi?
Ismail: Ab padosi bolo, dost bolo, dushman bolo.. main to ab usko guru bolta hoon โ SRGMP mein mera baaju waala, Himesh. Agar woh mereko album nahi dilaata, to yeh garba karne ke liye paisa kahaan se aata. ๐
Neha: Accha Ismail ji, yeh bataiye ki aapko Surat aake kaisa laga?
Ismail: Arre tu to aisa bol rahi hai jaise main pehli baar aa raha hoon. Yaad rakh beta, main Surat mein hi paida hua tha, aur Surat main hi maroonga. Abhi tu meri villain jaisi surat se camera hata aur jaa kisi aur ka interview le โ yahan bahot hero log hai. Yeh le, ek to aa bhi gaya - apna Shekhar.
Just then, Shekhar joins them.
Neha: Shekhar ji, what do you think of the garba.
Shekhar: This is a very well organized garba, I must say. Ismail ji, Vishal and I would like to say that we are very proud to have you as a colleague, and we have the highest respect for you. ๐
Ismail: Shekhar, respect to meri nazar mein teri badh gayi hai โ sach bata, tere itne saare ladkiyaan fans kaise ho gaye? ๐
Shekhar: Ismail ji, pleaseโฆ meri biwi aur bacchi bhi yahan hain. ๐ณ
Ismail: Kya baat hai. Isko bolte hain chhota parivaar, sukhi parivaar. Ek biwi, ek bacchi, aur ek wohโฆ internet waali. ๐
Both Shekhar and Neha looks visibly embarrassed. Just then Vishal comes over.
Ismail: Aaja mere ujde chaman. Tera hi intezaar tha.
Shekhar: Hey Vishal.
Neha: Hello Vishal ji. ๐
Vishal responds by simply punching his chest.
Vishal: Nice party. Where's Himesh and Bappi da?
Shekhar: Here comes Bappi da.
Bappi Lahiri comes dressed in a kilt.
Bappi: Hello everyone. Bohot occha party diya Ismail tum. Tumko maloom hai na, gorba homara favorite donce hay.
Ismail: Arre Bappi da, sab ke favorite to aap ho.
Shekhar: That's true. Bappi da, me and Vishal have nothing but the greatest respect for you. ๐
Bappi: Thank you Shekhar. Lekin opna Himesh kahan hay?
Vishal: Who knows? Late as usual. ๐ค
Just then Himesh walks up to the group.
Himesh: Yahan meri buraai chal rahi hai kya?
Shekhar: No Himesh, nothing like that.
Himesh: Okay fine. I admit. Main naak se gaata hoon. Khush?
Vishal: What are you talking about? ๐
Himesh: Nahi, mujhe pata hai mere bahot critics hain.
Bappi: Nohi Himesh. Tum to homara favorite ho.
Himesh: Lekin one day I will win all the critics over. Dekh lena.
Ismail: Accha mere bhai โ yeh bata ki tujhe der kyon hui?
Himesh: Kya bataaon Ismail ji. Main to aane wala hi nahi tha. Bilkul mood off tha. ๐
Ismail: Aisa kyon?
Himesh: Jab se Salman bhai ko jail hui hai, gale se ek niwala nahi nikla. ๐ญ
Bappi: Haan, hom bhi bahot sad hay. Woh homara most favorite hay.
Shekhar: Yes, that's really sad news. First Sanjay Dutt, and now him.
Bappi: Sonjay bhi homara most favorite hay. ๐ณ