Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 24th Sep '25
TRAUMA KAHA 🤧24. 9
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 24, 2025 EDT
🏏T20 Asia Cup 2025: IND vs BD, Match 16, A1 vs B2 - Super 4 @Dubai🏏
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 25, 2025 EDT
All the activism/feminism is reserved for kachara FL?
Pranit killed it today
Farhana constantly goes on family
Back to square one: Tosu is forgiven 🤣🤣🤣
ROOM SERVICE 25.9
Happy 200 MANNAT❤ ....MHKPK🥳
Suggest Name For Vicky Katrina Baby
Deepika to reunite with Vin Diesel for XXX 4?
Hawt Geetmaan Moments 🔥🔥💋💋
Movies of Sonam Kapoor's which I enjoyed
Important Questions
🏏T20 Asia Cup 2025: PAK vs BD, Match 17, A2 vs B2 - Super 4 @Dubai🏏
Originally posted by: seema_17
my most favourite by Pankaj Udhaas:
Mohe aayi na jug se laaj
Main itna zor se naachi aaj, ki ghungroo toot gaye
Mohe aayi na jug se laaj
Main itna zor se naachi aaj, ki ghungroo toot gaye
Ki ghungroo toot gaye, ki ghungroo toot gaye, ki ghungroo toot gaye
Kuch mujh pe naya joban bhi tha
Kuch pyaar ka paagalpan bhi tha
Ek palak meri teer bani
Ek zulf meri zanzeer bani
Liya dil saajan ka jeet
Liya dil saajan ka jeet
Vo chede payaliya ne geet
Ki ghungroo toot gaye, ki ghungroo toot gaye, ki ghungroo toot gaye,
ki ghungroo toot gaye
Main basi thi jiske sapnon mein
Vo ginega aub mujhe apnon mein
Kehti hai meri har ungdayi
Main piya ki need chura layi
Main ban ke gayi thi chor
Main ban ke gayi thi chor
Ki meri paayal thi kamzor
Ki ghungroo toot gaye, ki ghungroo toot gaye, ki ghungroo toot gaye,
ki ghungroo toot gaye
Dharti pe na mere pair lage
Bin piya mujhe sub gair lage
Mujhe ang mile armanon ke
Mujhe pankh mile parvanon ke
Jub mila piya ka gaon
Jub mila piya ka gaon
To aisa latchka mera paon
Ki ghungroo toot gaye, ki ghungroo toot gaye, ki ghungroo toot gaye,
ki ghungroo toot gaye
Mohe aayi na jug se laaj
Main itna zor se naachi aaj, ki ghungroo toot gaye
Ki ghungroo toot gaye, ki ghungroo toot gaye, ki ghungroo toot gaye,
ki ghungroo toot gaye
Originally posted by: teens1432004
Nice topic! 👏
My favorite is from "Marasim" by Jagjit Singh...
shaam se aankh mein nammi si hai
aaj phir aap ki kami si hai
shaam se aankh mein nami si hai
dafan karr do humme ke sans mille
nabaj kuch derr se thami si hai
aaj phir aap ki kammi si hai
waqt rehta nahin kahi tikk karr
iski aadat bhi aadami si hai
iss ki aadat bhi aadami si hai
aaj phir aap ki kammi si hai
koi rishta nahin raha phir bhi ek tasvir lajmi si hai
shaam se aankh mein nammi si hai
aaj phir aap ki kammi si hai
I like another old Gazal , by Talat Mahmood
Ashkon nay jo paya hay wo geetoon main dia hay
Us per bhee suna hay kay zamanay ko gila hay
Jo taar say nikli hay wo dhun sab nay suni hay
Jo saaz pay guzri hay wo kis dil ko pata hay
Hum phool hay uroon kay liye laye hain khushboo
Apney liye ley day kay bas eik daagh mila hay
Thanks Dawn, thanks to you guys i have one more singer in my favourites now 😊
Originally posted by: Tashu_US
My favotie is
apni marzi se kahaN apni safar ke hum haiN
rukH hawaaON ka jidhar ka hai udhar ke hum haiN
pehle har cheez thi apni magar ab lagta hai
apne hi ghar meiN kisi doosre ghar ke hum haiN
waqt ke saath miTTi ka safar sadiYoN se
kisko maaloom kahan ke haiN kidhar ke hum haiN
chalte rehte haiN ke chalnaa hai musaafir ka naseeb
sochte rehte haiN kis raah guzar ke hum haiN