yun hi barsaat me KaYa OS...

rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 10 years ago
#1
Yun hi ... kuch kuch barsaat mein...

Scene 1...
Aaj akele hi wo ghar jaa rahi thi...Ronnie bahut pehle kisi kaam se nikal gaya tha... Gusse se aankhein jal bhi rahi thi...bhig bhi gayi thi...
...Green room mein wo jati hi nahi thi kabhu.. aaj bahut der tak Kabeer bahar nahi aaya aur 9 bajne me bas 5 min reh gaye to wo hadbadakar andar gayi...
Kabeer khada tha...Vibha uske tie thik kar rahi thi...Kabeer aur Vibha ne usse dekha nahi...
"Kaisa hai sab thik???"
"Kabir aap bina tie ke jyada achche dikhte ho"
Kabeer ne Vibha ke gaal pe thapki de usse gale laga liya...
Tabhi uski nazar Ananya par pari... usne Ananya ko dekh muskuraya...Vibha bhi palti..

par tab tak Ananya wahan se nikal gayi...
apne desk par pahuch usne apna bag utha liya... wo itna tez daud ke aayi thi ki... kuch chijein gir bhi gayi thi...usne parwah nahi ki...
Usne palat kar ek baar dekha...usse laga Kabeer aayega...par Kabeer 9 baje ki news parhna shuru kar chuka tha...
Ananya ke hothon par phiki muskaan aa gayi... usne khud ko sameta...Akeli nikal gayi...
Usse na auto lene ka man tha na taxi... Badal garaj rahe they barsaat hogi...usne bhigne ka man bana liya... nazron ke saamne baar baar wahi aa raha tha...Vibha aur Kabeer ka gale lagna...
Baarish hone lagi... kafi tez thi... hare hare patton se pani zor se tapak raha tha...aesa lag raha tha maili ho chuki sab jagahon ko barish dhone aayi hai... ped jhum jhum ke Baarish me naha rahe they...
Ananya se samhalna mushkil ho gaya... usne apne haathon se muh dabaya aur fafakne lagi... andar utha sara dard aansoo ban nikalne laga... phir usne haathon ko faila diya... boondo ko hatheliyo me baandh lena chahti thi wo...
Boondein reh reh kar fisal jati... uska pyar bhi ab boondo ki tarah haatho se fisal raha tha...
Boond ho ya pyar kya baandh ke rakh sakta hai koi??
Kafi der ho gayi thi... wo chalne lagi ghar ki taraf... uske aage Kabeer ki gari aa kar ruk gayi...
Wo kuch samajh pati...ki kabeer car se bahar nikal para... Ananya ki aankho me aansoo ab bhi they...
Kabeer ne usse khincha aur uske hontho par apne honth rakh diye...
Ananya ne khud ko churane ki nakaam koshish ki... usne dekha uske saamne Vibha khari thi...

Scene 2 baad me...

Created

Last reply

Replies

10

Views

4.3k

Users

5

Likes

45

Frequent Posters

ArshiSarun100 thumbnail
Posted: 10 years ago
#2
Wow...I loved ur writing...Its Unique & Amazing...Plzzz do write next part soon...I really want to know who vibha is???
rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 10 years ago
#3
Scene 2...
Barsaat achanak hi tham gayi... Ananya ne palat kar dekha koi nahi tha... Uske khayal ulajh kar reh gaye...
Kabeer ko ab kya fikr hogi??? Boondein bhi ruk gayi thi pyar bhi...Kadam dhire dhire ghar tak pahuch gaye... Kamre me aa kar usne bag ko rakha... gile kapdo mein hi kafi der bethna chahti thi... par maa ne zabrdasti sukhe kapde pehnne bole... baalo ko tauliye se pocha usse Coffee diya...
Ananya ki aankhein phir bhig aayi...maa ko kitni fikr hai uski...aur kabeer ne ek baar phone kar ke bhi nahi poocha kaha ho kaisi ho?? ... uska man kiya ek baar phone kar le... par Aatmsamaan ya uske andar ka ahenkaar usse aesa karne se rok rahe they...
Raat ka ek ek pal bechaini se guzar raha tha...
Usne ghadi dekha abhi 11:30 hi baje they...
Phone ki ring huyi...usne tadap kar phone ko hath me liya...Richa ka phone tha... uska dil dhak se ho gaya...
Usse kisi se bhi baat karne ka man nahi tha...man masos kar usne phone uthaya "hello Ananya itni jaldi kyu chali gayi tu??"
"Aesehi tabiyat thodi thik nahi lagi"
"Ohh Tabhi Mr Kabeer sharma bhi jaldi nikal gaye Vibha ke sath...sayad tere liye... but tu wait kar ke unke sath hi jati..ajeeb hai tu"
Ananya ka man dadhakne ( burning) laga... gaal se le kar kaan tak laal ho gaye...
"Kab nikle dono ??"
"yahi 10 ke baad hi...sun kuch hua..tera awaz kaanp raha hai??"
"Phone rakhti hoon Richa"
"Ananya sun...sun"
Ananya ne phone kaat diya... phone switch off kar diya...uska poora sharir kaanp raha tha...apmaan...dhokha ye shabd uski shiraon(vein) me behne lage...
Usne zor se chillaya "Maaa"
Aur wahin zameen par beth gayi...
Uski maa daud ke aayi..." Ananya bachche..."
"Maa mujhe abhi krabhi jana hai... kuch baat hai khatm kar ke aati hoon ..."
"Itni raat ko kya hua Ananya... kuch bata...mera dil beth raha hai"
Ananya thoda samhali... wo Maa ko chinta me nahi daal sakti...
"Ek case me ulajh gayi hoon ...Ronnie Raste ke mod par hai... mai uske sath jaa rahi hoon case ke silsile mein... aap so jana... "
"Mai bhi chalti hoon..."
" please maa mai bachchi nahi hoon...mujhe bas jane do... "
Ananya ke liye wahan ek pal bhi wait karna mushkil tha...
Kapde badal kar wo bahar nikal gayi...
Private taxi me jab wo bethi 12 baj rahe they... usse kuch yaad nahi... badhawas(stunned, horror stuck) si wo bethi huyi thi...bina ruke roye jaa rahi thi...balon ko pakde...haatho se muh ko dabaye bas ro rahi thi... apmaan,dhokha,hurt,ignored sab feelings mil ke uske man ko tod rahe the ...gusse se uska pura sharir shake kar raha tha...
Kabeer ke gate par wo door bell ke sath sath darwaza bhi peeth rahi thi...
Gate khola kabeer ne... Ananya ko dekh kar wo shocked tha...
Ananya daud kar uske bed room me chali gayi...wahan koi nahi tha...
"Vibha kahan hai??? Kidhar chupaya usse..." wo chikh rahi thi...
"Ananya tum kya bak rahi ho... iss waqt Vibha mere ghar me..."
"Mujhe sab pata hai..." bolte hi Ananya ka gussa itna badh gaya ki uske hath Kabeer ke upar uth gaye...
Kabeer ne uska hath rok diya "pagal ho gayi ho tum"
"Haan pagal bana diya tumne...isiliye itni raat apni maa ko hairan pareshan chor ... tumhare paas aayi hon... uss insaan ke paas jo mujhe dhokha de raha hai...jisse meri kadr nahi...mera pyar ek khel hai..."
"Shut up...Vibha ko le kar bol rahi ho...wo meri dost hai bas... aur..."
Kabeer apni baat keh pata ki Ananya zor zor se rote huye ... room se nikal gayi..."its over...its over..nahi seh sakti main"...
Kabeer ko samajh nahi aaya..kya hua ...kya bole wo...
Wo piche se gaya...Ananya ke kamar ko dono hathon se pakad kar mod diya...uske sharir ko apne sharir ke bahut paas le aaya...
Gardan par hath rakh ...chehre ko utha kar bola..."kya hua??"...
Ananya ne usse dhakka maarte huye kaha "tumhe sab pata hai..."
Kabeer ne usse kas kar apne aur paas kar liya... Gardan par honth rakhte huye bola "na nahi pata..."
Ananya kasmasa rahi thi... "choro mujhe.."
"Nahi...iss barsaat ki raat mein...tumhe chor doon" ...
Kabeer ke chin par par daant kaat kar Ananya ne khud ko churana chaha...kabeer ke haath halke dhile pade...Ananya mud gayi...kabeer samhala aur usne Ananya ko ek hath se pakad kar khinch liya...dusre hath se uske honthon ko chuha...Ananya jab tak samhal pati...Kabeer ke honth... uske hontho ke upar they... Ananya ne honth bandh rakhe they... wo kabeer se hatna chah rahi thi...par uski koshishein nakaam hi rahin...

Dhire dhire uske man ne uske ahenkaar ka sath chor diya...

Uske honth ke sire dhire se khulne lage... kabeer aur wo ek dusre ki bahon me jakde... bahut der tak aese hi rahe...
Kabeer ne uske chehre ko jab chuha... uske aansoo sukh gaye they...
Kabeer ne uski aankho ko chuma...uske belly ko sparsh kiya...Ananya ke pure deh me bijli si chamak gayi...khud ko khara rakhna uske liye namumkin tha...ek madhoshi uske rag rag mein chaa rahi thi...
Kabeer ki saansein garm aur tez thi...wo Ananya ko aaj poori tarah apna bana lena chahta tha... uski shiraon mein dhamniyo me halchal thi...gehri halchal...
Raat dono ko hi phusla rahi thi...hadd se guzar jane ke liye...
Kabeer ne Ananya ko bahon me utha liya...Apne bed room me le jaa kar palang par lethaya...
Ananya ki aankho me pyar ki chamak thi... Baahein pheli huyi thi...kabeer bahon me sama gaya...
Dono hamesa ke liye ek dusre ke ho gaye...

rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 10 years ago
#4

Originally posted by: ArshiSarun100

Wow...I loved ur writing...Its Unique & Amazing...Plzzz do write next part soon...I really want to know who vibha is???


Thanks a lott...
rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 10 years ago
#5

Originally posted by: Diksha_1991

Lovely update👏👏


Thanks 😊
ktlovers thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
#6
Ive never read so much hindi at once
It was quiet nice
rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 10 years ago
#7

Originally posted by: ktlovers

Ive never read so much hindi at once
It was quiet nice


😆 but then also u read...thanks 😳
Lavi_dovey thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail + 3
Posted: 10 years ago
#8
it was amazing.
what an expressing way of writing.
kabir's passion was quiet vlear.
awsome.
rabzonedge thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 10 years ago
#9

Originally posted by: krazykaju

it was amazing.
what an expressing way of writing.
kabir's passion was quiet vlear.
awsome.


Thank u so much 😊
dhaakshu thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#10
Like I said, it was awesome!
Please make the scene with her mom funny 😆

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".