@nithiya-i said hi 2 u maybe u missed seeing itđ
@muski-c i'hv written dis poem on asad's ankahee baatein...hope u lyk itđł
Kehna chahta hu jo lafzo mein bayan nahi ho sakta
Karna chahta hu jo haal-e-dil samajh nahi sakta
Ye kaisa do rah mein hu jiska fasla nahi kia ja sakta
Ajab hai ye dil ki kashmakash jo asan nahi ho sakta
Shayad tum bin kahe hi samajh jati
Kash tum yuhi mujh mein sama jati
Aise ki shayad aur kash ki naubat hi na ati
Aur main tumhe sari umar bhar jatan kar pata ye jan kar tum jhum uthti
Par hayye ye dhai akshar do prem ke
Jo beech mein aise hai jhapkae palke
Aise hi lamho mein beet na jae jazbaat muhabbat ke
Koshish pe dunia qayam hai ye irtija hai ummeed ke
Meherban ae zuban mera jo bolne ki takalluf uthae
Par tumhare paas ate hi na jane deewana mann mera kaise sitar bajae
Tumhe dekhte hi saasein ye mera tez rafter chalae
Woh kehte hai pyar mein insan dil harke bhi sab kuch khushamat pae