ab jo bhi ho sach tera ,tu mujhe har haalat me qubool hai
teri khushiya hain ab apni aur tera har gam bhi saath me qubool hai
meri mohabbat itni naajuk nahi ki tut jaaye mamuli hawa ke jhonke se
ab mohabbat ki hai to ye bhi har tufaani raat me qubool hai
kya hua jo shabdo ke jariye jud na paaye ham ek duje ke ab talak
par dekh kaise meri nigaahon ko to teri nazar har baat me qubool hai
kya hua jo khuda ne gham diye kuchh tujhe aur kuchh mujhe
sang paaya hai tera to ab uski ye khudayi bhi saugaat me qubool hai
tu utni hi ajeez hai mujhe jitni ajeej hai baarishein sukhi jamin ko
aur jaise asmaan ko ek akela chand taaro ki baarat me qubool hai
qubool hai tu mujhe is jindgi me aur har us zindgi me me jo hai mere naam likhi
jo likhwa ke aaye naam tera bas vo hi lakeer ab mere haath me qubool hai

5